Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Articles
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Pleasant Marital Life.

Articles   >>  General Articles
Gallstoes
Gallstones -causes, Symptoms and Treatment
Abortion
What You Should Know About Abortion
Allergy Products
Allergy Control Products
Anemia Information
Information on Anemia
Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:31st May 2008, 2:41pm
 

Pleasant Marital Life.

Marital life dunia me bahot bari cheez hai kuin k dunia me wo hi log successful hootay hen jin ki gharaylo zindagi pleasant hooti hai aur wohi auratain life ko enjoy kerti hen jin k husband k saath relation achay hootay hen aur sach tu ye hai that aisay husband-wife ko dunia me hi jannat mil jaati hai jin k relations pleasant hootay hen.

      Marital life ko na tu women ki beauty pleasant bunna sakti hai aur na hi husband ki wealth aur fame.balkay beauty tu sirf kuch din hi husband ko garvidaa bunnaye rukhti hai aur jaisay hi emotions saard hootay hen tu husband me wife k liay pelhay si attraction baki nahi rahti.lakin wo women jo apnay husband k mizaaj aur tabiyat ko sumajh ker khud ko husband k mizaaj k motabik dahaal laiti hen aur husband ki tabiyaat ko sumajhe laiti hen wo humesha husband k liay aik attraction hooti hen.es liay her married women ko chahiay that wo mizaaj shinaaz bunnay aur es tara mard ko bhi chahiay k wo apni wife ki tabiyat ko sumjhay.tabiyat shinaasi bahot zuroori hai aur jin husband-wife me mizaaj shinaasi aur in nichay likhi hui baatoon k poora kernnay ki salahiyat aur koshish hooti hai un k relations her din k saath bather hootay jaatay hen aur un ki mohabat se phir ghar jannat bun jaata hai.

Husband ko kin baatoon ka khayal rukhna chahiay.

·      Marital life ko pleasant rukhnay k liay wife k saath humesha patience behave kerain aur ghaltiyoon ko ignore kerain kuin k ghaltiyoon per criticize kernay se halaat ahista ahista kheraab hootay jaatay hen.

·      Wife ko apni khaadma ya khiloona mat sumjhain wo aap ki life partner hai aur es k binna aap ki life incomplete hai.life ki vehicle chalaanay k liay aap ager aik tire hen tu wo dosera tire hai.ye aap ka farz hai k aap zindagi k her qaam me uss se cooperate kerain aur uss ka opinion hasil kerain.

·      Wife ki burayi ko apni burayi sumjhain ager uss k ander kisi qisum ki kaami hai tu wo doseroon ko batanay se dourr nahi ho gi.aap hi aik doseray ki desires ko thiek thiek sumajh saktay hen aur apni ghaltiyoon ki sahi tara islaah ker saktay hen.

·      Aurat ko marna aur daantna sahi baat nahi because es se aurat aur bhi zayada sirkash ho jaati hai.humesha apni sumajhdari,ability aur achay behavior se uss ko apna hum khayal bunnana chahiay.

·      Apni wife ki friends,relatives aur uss k parents ki respect kernni chahiay.

·      Apni wife ki zurooriyaat ka khayal rukhain aur uss ki beauty ko humesha admire kertay rahain

·      Apni wife k aagay doseri women ka ziker aur uss doseri aurat ko admire mat kerain

·      Daily apni wife ko aisi stories soonatay rahain jin me koi lesson ho.

·      Wife se humesha mohabat se baat manwaya kerain bcoz aurat argument ko nahi pyar ko maanti hai.

·      Her time apnay business me hi na lagay rahain balkay apni wife ko bhi time diya kerain.

·      Kabhi bhi apni wife ko kam dowry ka tahnna mat dain.

·      Wife ki jaiz baatoon me interest laina sunnat hai.

·      Wife k saath husn-e-mashrat sunnat hai.

·      Wife k saath narmi kerain.

·      Wife k jazbaat ka layhaaz rukhna sunnat hai.

·      Wife ko hilaal khilayain

·      Jab husband khaana khaye tu apnay bivi aur buchoon k saath khaye

·      Wife ki talkh qalami(harsh wording,harsh behavior) per saber kerain

·      Wife per bud goomani kernay aur uss ko marnay ki momanayat ki gayi hai.

·      Nabi(saw) ne fermaya beshak aurat mard ki rib se bunni hai aur aurat tumharay bataye huay rastay per kabhi sidhi na ho gi aur ager tum uss se kuch faida uthaana chahoo tu es tara uthaa saktay ho k wo tahri hi rahay lakin ager tum chahoo k us ski kaaji ko dourr ker lo tu tum uss ko sidhaa kertay kertay torr do gay jes ka tornna e ski talaaq hai.

·      Aurat ki hoobiyoon aur bhalayiyoon per nazer rukhni chahiay aur in ki khamiyoon per saber kernna chahiay.

·      Jab bhi wife delicious food bunnaye tu wife k khanay ko admire kerain es se uss ko khushi milay gi jo aap uss ko wealth se nahi day saktay.

·      Apni mother aur wife me lerayi mat hoonay dain ager aisa ho jaye tu phir uss ka forum azalaa kerain.

·      Wife ki her baat aur zuroorat ka khayal rukhain but life me itni zayada luxury mat layain that aap ki wife bhi fazool khaarch ho jaye aur aap bhi illegal sourse se earning shoru ker dain.

·      Religion k matter me aurat ko aazaad mat chorain balkay es k liay parday ka ahtamaam zuroor zuroor aur zuroor kerain.

·      Apni family per apni istatahat k motabik kharch kerain qayamat k din jo cheez sub se pelhay naki k parlay me rukhi jaye gi wow o ho ga jo uss ne apni family per khaarch kiya.

·      Apni wife ko kabhi abuse mat kero

·      Apni bivi ko fahashi ki baatoon aur zubaan deraazi se baaz rukhoo.

 

Wife ko kin baatoon ka khayal rukhnna chahiay.

·      Husband se humesha soft aur sweat lahjay me baat kerain.

·      Husband ki respect aur khidmat ko apna farz sumjhain.

·      Husband bahir se aye tu uss per questions ki barish mat ker dain balkay uss ki khidmat ki teruf tawajoo dain jab wo beithay gat u khud hi baat start ker day ga.

·      Husband ko criticize aur uss per zuban deraazi kisi soorat na kerain

·      Husband se itni fermaishain mat kerain k uss ko qarz laina perh jaye.

·      Relatives aur apnay sister brothers k aagay apnay husband ki baatain mat kerain.

·      Fazool friends se milnna na rukhain aur aawara auratoon ko bhi ghar me mat aanay dain.

·      Husband k liay bun sanver ker rahain ager aisa nahi kerain gi tu husband k dil me nafrat paeda ho jaye gi.

·      Jab tak husband,mother in law,father in law na khaana khaa lain itnay tak mat khayain.

·      Mard se her khowahish ka poora kera laina ye aurat ki aqal maandi aur maamla fahmi hai.humesha mooqa daikh ker baat kerain

·      Husband ko qaaboo me kernay ka sub se bara raaz us ski raaza joei hai jo aurat husband k aagay harsh words nahi use kerti us ski her khushi me khush rahti hai wo wahishi se wahishi husband ko bhi gharvida bunna laiti hai.

·      Husband k mizaaj ko sumajhnay se kaheen talkhiyaan dourr ho jaati hen es liay husband k mizaaj ko samnay rukhtay huay her wo qaam kerain jis me husband ka interest ho.

·      Ager husband ki income limited ho tu uss me guzraa kerain aur poverty me uss ka saath dain.

·      Namahrum mardoon se zayada khool ker baatain kernay se khud ko rookain kuin k aurat ka asal zaywer us ski sharum aur haya hai.

·      Aurat parda keray kuin k market me bun sanver ker jaana shareef auratoon ka qaam nahi hai aur pardaa na kernay k bhi baray noqsan han.

·      Aurat apnay husband k bachoon ka aur uss k ghar aur raazoon ka khoob khayal rukhay,uss k bachoon ki terbiyaat,un ki education,ghar ki daikh bhaal ka her tara khayal rukhay.

·      Husband k order ki tameel keray.

·      Namaz ki qabooliyat k liay husband ko raazi rukhnay ki taqqed ki gayi hai.

·      Husband ki ghibaat mat kerain.

·      Apnay husband se dushmaani mat rukhain.

·      Nabi(saw) ne fermaya tera khawand teri jannat hai aur dozukh hai,ager tu apnay husband ko khush rukhay gi tu jannat me jaye gi aur ager wo tujh se naraaz ho ga to tu dozukh me jaye gi.

·      Rasool(saw) ne fermayya jo aurat 5 waqt namaz perhay,ramzaan k rozay rukhay,apni hifazat keray(burayi se buchay) aur apnay khawand ki fermaberdari keray tu wo aurat jannat me jannat k jis derwazay se marzi hai dakhil ho.

·      Husband ki permission k binna ghar se bahir qadum rukhnna bhi ghalut hai.

·      Wife apnay husband k maal me khyannat bhi na keray.

·      Obedient wife ko jannat ki basharat hai.

 

At the end husband aur wife dono ko ye kahnna hai that perfect partner milna possible nahi hai es liay jo kuch bhi aap ko milay uss se compromise kerain aur ager aap apnay partner me kherabiyaan talash kertay rahaan gay ya phir uss ko criticize kertay rahaan gay tu aap ka ghar kabhi abad nahi hoo sakay ga.sub ka better hal ye hai that partner shaadi se pelhay khuda se ye dua keray k Ae Allah es me jo bhalayiyaan tu nay rukhi hen mujhe aata ker aur es me jo shur ki baatain hen un se mujhe humesha apni pannah me rukh.

  

 

Kali Zuban Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1792  Age:  28  
Posted on:31st May 2008, 4:23pm
 

sooth: very good work

agar aap ne yeh article khood likha ya translate kia hai tu really yeh very good work hai.

lamba article bahut kam log read kerte hai. lehaza aap ko mera mashwarah hai keh article chote se chota likhe, takeh ziadah se ziadah log read kar sake. log read kare ge tu discuss bhi kare ge, feedback bhi mile ga, aur article likhne wale ko khooshi bhi hogi. lamba article na log read kare ge, na os par discussion ho gi na hi feedback mile ga. iss tarah mushkil se likhe gaye articles ka poora mehnat zaaye ho jaaye ga.

aap apne tamam articles ka url likh de, mai ose aik list ki soorat mai tarteeb de doo gi. aur aap ke har article ke saath aap ke previous articles ki list bhi add ker dia karoo gi. takeh members aap ke tamam articles read ker sake. yeh baat mai as a moderator keh rahi hoo.

Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:31st May 2008, 4:30pm
 

thnx kali baji

i'm soo happy kal inshallah main aap ko list day doon gi:-)
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:31st May 2008, 4:34pm
 

Sooth Baji

سوتھ باجی! کالی باجی نے بہترین مشورہ دیا ہے۔ آپ چھوٹی پوسٹ کو ترجیح دیا کریں اور اگر زیادہ لمبی بات کہنی ہو تو اس کو دو پوسٹس میں تقسیم کر لیا کیجیئے۔ اس طرح ہم جیسے کام چور بھی پڑھ لیا کریں گے جو اتنی لمبی پوسٹ دیکھ کر ہی ڈر جاتے ہیں۔

Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:31st May 2008, 4:46pm
 

seemi baji

thiek hai
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2116  Age:   
Posted on:16th Jun 2008, 3:08pm
 

Sooth Baji

Very nice article! Keep it Up!!

Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:16th Jun 2008, 4:46pm
 

eagle fly

thnx and aap aur bhi articles read ker sakti hen just click article catagory and read which u want:-)
1
Allergy: Causes, Symptoms, Treatment
Causes, Symptoms, And Treatment For Different Types of Allergies
Fracture Information
Detailed Information on Fractures
Bone Fracture
Bone Fracture: Types & Healing
Myasthenia Gravis Information
Detailed Information on Myasthenia Gravis
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012