BADNAZRE KA NOQSANAT
BADNAZRE KA NOQSANAT
1- Allah Tala ka nafarman hai badnazre Haram hai Allah Tala ka irshad hai PARAH 18 SURAH NOOR AYAT 29. Aye Nabi ap iman walao sa kahdegeya ka apne negaho ko neche rakha yane namahram ko aur larko ko na sadkha jo badnazre kar raha hai woh Allah ke mokhalefat kar raha hai Allah ke mokhalefat karna yane haram ka mortakeb horaha hai yane Allah Tala ke Nafarmane karna hai. 2- Amanat ma khayanat karna wala badnazre karna wala Allah Tala ke amanat ma khayanat karta hai Allah Tala ka irshad hai PARAH 24 SURAH AL MOMEN AYAT 18. Allah Tala ankho ke khayanat aur dil ka razoo sa bakhabar hai is Ayat ma khayanat ka lafez bata raha hai ka ham apne Ankho ka malik nahe hai Ameen hai khodkashe bhe isleya haram hai ka ham apna jisam ka malik nahe hai Allah Tala na batora amanat hama jisam ata keya hai keyo ka ya amanat hai isleya malik ke marze ka khelaf isko istamal karna ya isko noqsan phoncha na ya isko khatam kardana jaez nahe hai agar ham jism-o-jan ka malik hota to har qesam ke chot hote keyo ka malik ko apne melk ma har kesam ke akhteyar hota hai Allah Tala ka banda ko ya akhteyar na dana dalil hai ya jism hamara pas Allah ke amanat hai aur malik ke amanat ma kheyanat karna jorm hai jo shakhs badnazre karta hai woh Allah ke dehowe amanat ma khayanat karta hai aur khayanat karna wala Allah ka dost nahe hota.
3- Malon ka khetab ka mostahaq banjata hai badnazre karna wala par Hozor ke bhe lanat otarte hai Mashko Sharef ke Hades hai HOZOR KA IRSHAD HAI ALLAH NAZER AUR MANZOR DONO PAR LANAT KARA yane jo badnazre kara is par bhe aur jo badnazre ka leya khod ko pash kara apna hoson ko dosro ko dekhae os par bhe Allah ke lanat hoo agar badnazre mamole jorm hota ho Allah ka Rasol kabhe ayse baddowa nahe karta ap ka baddowa dana dalel hai ka ya fail intahae galat hai aur lanat ka mana hai Allah ke Rahmat sa dore aur jo Allah ke Rahmat sa dor hogaya woh Nafs ka shar sa nahe bach sakta keyo ka Nafs ka shar sa wahe bach sakta hai jo Allah ke Rahmat ka saee ma hoo keyo ka Allah Tala farmata hai PARAH 13 SURAH YOUSUF AYAT NO 52 Nafs kaser-ul-amar besoo hai yane bohat zeyada borae ka hokom karna wale hai pher Nafs ka shar sa kon bach sakta hai issa ya baat sabit hote hai ka Nafs ka shar sa bachna ka leya aek he wahad rasta hai woh hai Alla ke Rahmat ka saya hai.
4- Badnazre karna wala ahmaq bad aqal mana jata hai keyo ka har gonah badaqle aur hemaqat ke dalel hai keyo ka itna bara Malik ko naraz karna hai jis ka qabza ma hamare zendage aur moot,tandoroste,bemare,rahat-o-chaen hai badnazre intahae hemaqt ka gonah hai na melna na melana moft ma apna dil ko tarpana dakhna sa woh hosn mel nahe jata laiken dil baichan hojata hai aur iske yaad ma tarapta rahta hai
5- Allah ka gazab aur lanat ka mostahaq ban jata Allah ka dar sa badnazre nahe keya to dil ko jo halawat imane ata hoge Allah ka qourb ke jo lazzat melage is lazzat ka samna sab heach maloom hota hai.
6- Dil kamzor hojata hai badnazre sa harwaqt os hosn ka khayal ata hai jis sa dil kamzor hojata hai badnazre karna wala ka tamam aaza bhe harkat ma ajata hai aath paer wagera is mahboob ko hasel karna chata hai aur badfaile ka karta hai jaha sharamgaho ke hefazat nahe hote aur dono jahano ma roswa hojata hai.
|