Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:25th Aug 2009, 11:05pm |
|
|
Aik Choti Si Naiki Asslam O Alikum.main aaj aik thread start karney ja rahi hon.umeed karti hon k aap sab ko acha lagey ga.shayad pehle ye thread start hoa ho.lekin mojhey nahi pata na dhondney pe mila.
Ramadan ka mahina hai.is lie maine socha k sirf main hi nahi hum sab yahan pe daily kuch ahadees post karein ge.ya kuch esi batein jis se hume sabaq hasil ho.
jese k likhte hain:
ALLAH Kay Nafarman Banday Or Bewafa Banday..
ALLAH ne Hazrat Dawood AS se kaha mere nafarman bando ko khushkhabri suna do to Hazrat Dawood kehne lagey nafarman bando ko khushkhabri??
khushkhabri to farmabardaro ko sunai jati hai to kaha kia sunaon to ALLAH ne kaha un se kehdo ek aurat ya ek mard itne gunah kare itne karay kay ek mard ya ek aurat kay gunah asman ki chatt ko lag jaein or bas ek bar mere pass a kar keh dey YA ALLAH meri tuaba mein us kay sare hi maf hi kardunga.. SUBHANALLAH...
aur app ko ek baat bataon koi bhi mard ya aurat itne gunah kar hi nahi sakta kay asman ko laga sakay to kitna kareem ALLAH hai to hum kyun is bewafa duniya mein pare hian is mein hai hi kia,chand shamein hain chand subha hain phir wohi luat key chale jana hai .
NA JANAY PIYA BULA LE KIS GHARI REH JAE THAKTI KHARI KI KHARI
|
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:25th Aug 2009, 11:28pm |
|
|
Dua k qudrati piyaley (bowl)
Aj ap ko ek piyala (bowl) batati hon aisa jo qudrati ALLAH nay diya hai jese bhikari bheek mangta hai us ko to lena parta hai piyala humare pass to qudrati piyala ALLAH nay diya hai wo kese Jab App Dono Hatho Ko Milate ho uper thora andar to ban jate haina piyalay ban jate haina to yeh ALLAH nay qudrati piyalay diye hain mangne kay liye is ki qadar karo Chor (theif) kay hath kat diye jate hain Islam mein saza hai bilkul sahi hai saza wo in pyalo ki qadar nahi karta ALLAH say nahi mangta is piyalay se to ALLAH leleta hai wapis yeh piyala tow app log bhi qadar karo mangoo ALLAH Say warna yeh le liye jaegein ALLAH humein naik amal ki taufeeq de...
|
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:25th Aug 2009, 11:35pm |
|
|
Aik Kantey Ka Darakht Ek Kantay Ka Darkht Kisi Kay Ghar kay samnay pada hogaya parosiyo ney kaha is ko aa kar ukharo us ne kaha
kal, kal aa kar kantey ge aur kal kal karte karte darkht ney apni jagah
mazboot bana li or ukharney wala budha hogaya to hum sab ko bhi chahye
key buri adaton ko nazar andaz mat karein.
yeh dil mein aase jam jae gi kay hume hosh bhi nahi hoga or is hi halat mein ALLAH kay pass chale jain gey.
jaldi koshish kar key himat ki bazi mar lein aur ALLAH ko PAA lein
|
waseem08 |
Group: Members Joined: 27th Apr, 2009 Topic: 13 Post: 1304 Age:
31
|
|
Posted on:26th Aug 2009, 6:39am |
|
|
be happy realy thak you soo much and happy ramadan kareem. |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:26th Aug 2009, 7:26am |
|
|
be happy jazakAllah bohat hi acha topic start kiya hae. Allah pak hum sab ko in par amal ki taufeeq atta farmaye ameen |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4214 Age:
|
|
Posted on:26th Aug 2009, 9:41am |
|
|
be happy masha Allah bohot achi baatien share ki hain aap ne...
Allah aap ko in ka ajar de de....
acha to lage haathon main bhi kuch share karna chahta hoon, shaied beshtar logon ko pata hoga in k baare main, bas main remind karna chahta hoon.... main aur aap log amal karne ki koshish kejiega...
neki itni mehngi nahi hai jin ko ham hasil nahi kar sakte, bohot chote chote amaal se ham kaafi bari bari nekhian kama sakte hain, jis par hamara kuch bhi nahi jaata, kuch bhi mushaqqat nahi karni parti.... for example...
agar ham masjid ko jaane lage namaz ki niat se, to jese hi azaan ho jaie to azaan ko apni moon se bhi repeat kar le..... es se shaitan door bhaagta hai aur dher saari nekian milti hai....
azaan sunte hi namaz ki tayari karni chahie, aur masjid jaane k lie lamba rasta ikhtiar kare, q k hadith main aata hai k jo koi namaz ki niat se masjid ja raha hota hai to ghar se le kar masjid tak jitni bhi qadam woh uthata hai utni hi ziada nekian milti hai, Sahabah kiraam ka bhi yahi amal tha k jab namaz ka time ho jata to namaz k lie lamba rasta ikhtiar kar lete aur chote chote qadam lia karte they ta k nekian ziada kama sake.......
namaz k baad Alhamdu lillah, Subhanallah, aur Allah-o-Akbar ka zikar kam az kam 100 martaba duhraie, har ek lafz k parhne se ek neki milti hai, goya 100 martaba repeat karne se 100 nekian milti hai, aur esi tarha 5 waqt namaz parhne k baad ham log rozana 500 nekian extra kama sakte hain.....
namaz parhne k baad qasd kar le k aane wale namaz ko bhi parhoonga, hadith main aata hai k jis ne aisa qasd kia, aur phir us ne aane wala namaz ada kia to in donon namazon k doran us ne jitne bhi kaam kie hain illa (jis se mana farmaya hai) woh ibaadat main shumaar kie jaate hian, esi tarha agar esha ki namaz k baad kisi ne qasd kia k subha ka namaz ada karoonga aur phir us ne ada kar lia, to us raat ki neend bhi ibadat main shumaar kia jata hai...... Subhanallah......
yeh baatien to kehne main choti hai, lekin faida bohot bara hai, Allah hamein yeh sab karne ki tofeeq ataa farmaie... Ameeeeeeeeeeeeeeeeeeeeen.... |
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:26th Aug 2009, 7:23pm |
|
|
Gunnah ki 2 daleel aur alaamat Humare Pyare Nabi (S.A.W) Nay
Farmaya Jab Koi Insaan Gunah Karta hai to us ki 2 daleel hain agar wo
horahi hain to wo samjh le kay mein gunah karaha hon
1: Dil Mein Khatak Paida Hojae
Kisi gunah se gunhagar khud mutmain nahi hota
isliye gunah k baad wo sharminda hota hai koi admi naik kam kar kay
sharminda nahi hota
sharmindigi ka hona 1 alamat hai
2: Aur tum ko yeh baat Dil mein arahi ho koi dekh na lein koi jan na jae.
Ab Dekhne se kiu bach rahe hain k koi dekh na le dekh liya to kia sochega
to Sarwar-E-Do-Alam (S.A.W) ne 2 daleel batadi hain INSHALLAH app jo kam karegein in do baton ko dil mein zarur paegein
to apne liye yeh forumla rakh lein aur aik yeh baat ALLAH humein Dekh rahe hain. |
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:26th Aug 2009, 7:26pm |
|
|
2 all thanks ... for ur kind appreciations.
|
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:26th Aug 2009, 7:38pm |
|
|
Hadith Syedna Abdullah Bin Umar R.A Kehtay hain kay Rasool ALLAH Salalaho Alaihe Wasalam ne mere kandhay pakar ker farmaya:
"Duniya me is terhan reh jese misafir rehta hai"
Aur,
Syedna Umar R.A Kehte the jab subah ho to sham ka muntazir na reh aur
sham ho to subah ka muntazir na reh aur apni sehat me se bemari k
wastay aur zindagi me se mout ke wastay hissa rakh le."
(BUKHARI: KITAB-AL-RIQAQ)
|
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:26th Aug 2009, 7:49pm |
|
|
Hadith Rasool ALLAH Salalaho Alaihe Wasalam ne Farmaya,
"Jis rat mujhe mairaj hoi (us safar k douran) mera guzar aise afraad
k pas se howa jin k pait makano'n ki terhan (baray baray the) Un
(paito'n me) saanp bharay hue the jo un k paito'n k bahir se
nazar a rahe the,Meine kaha Jibra'eel ye log kon hai? Jabra'eel ne
kaha ye Sood khanay walay (log) hain."
(Ibn-e-Maaja,Kitab-ut-Tajarat,Hadees:58) |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:26th Aug 2009, 8:10pm |
|
|
Be Happy... mashallah your post is very nice... :))
and jazakAllah for sharing it....
sunny007...nice sharing.. |
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:27th Aug 2009, 12:30am |
|
|
Hadith of the day Nabi Kareem Salalaho Alaihe Wasalam Ne Farmaya,
"Rastay me baithne se bacho or ager baithe ho to uska haq ada kero."
Pocha gaya k rastey ka haq kia hai?
Farmaya,
1- Apni nigahain nechi rakho.
2- Kisi ko takleef na do.
3- Salam ka jawab do.
4- Achi bat ka hukum kero.
5- Buri bat se mana kero.
(Muslim Shareef)
|
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:27th Aug 2009, 12:34am |
|
|
Hadith Nabi Kareem Salalaho Alaihe Wasalam Ne Farmaya,
"ALLAH k haan dua se berh ker ba-izat koi chez nahe hai."
Aik aur Riwayat me hai k Nabi Kareem Salalaho Alaihe Wasalam Ne Farmaya,
"Tumhara RUB bara ba-haya aur karam Wala hai,jb banda (be-chain ho ker)
dua k lie hath uthata hai to inhe khali lotanay me ise sharam ati
hai."
(Tarmizi:Abwab-ul-Daawa'at)
|
waqas rehm |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2009 Topic: 1 Post: 22 Age:
27
|
|
Posted on:27th Aug 2009, 12:43am |
|
|
hi alls fr hi phely to hod morning. ak kiya chal rahan hai koi topic hai ya bas esi hi |
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:27th Aug 2009, 12:57am |
|
|
waqas rehm
Asslam o Alikum. sab se pehle to aap ko is forum pe & mere thread me khosh amdeed.aap new member hain is forum k....aur dosri bat "Hi", "Hello" ki jaga ager aap "Asslam o Alikum" kahein ge to ziyada acha lage ga.
aur kia aap ko is thread me kuch chalta hoa nazer nahi aa raha?aap pichle page se read karein aapko sab kuch chalta hoa nazer aa jae ga.aur plz aap mere topic ko khrab na karein.ager aap chatting karna chahte hain to plz aap chatting category me ja ker chatting kar lein.thanks
|
waqas rehm |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2009 Topic: 1 Post: 22 Age:
27
|
|
Posted on:27th Aug 2009, 1:25am |
|
|
sorry Be happy mujhe topic ka pata nahi tha par jo topic apne suna hai wo bohut acha hai or jo hadees sunai hai wo bhi bohut achi hai. or humian bas in pa Allha amal krne ki tofeeq de.ya Allha hunhare gunahoo ko maaf farma h=or hum sub muslim bhaiyoo ki neqi ka rha dekha. Ameen |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:27th Aug 2009, 3:33am |
|
|
good ye hui na bat
bht acha thread hai ye
keep it up |
waqas rehm |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2009 Topic: 1 Post: 22 Age:
27
|
|
Posted on:27th Aug 2009, 3:38am |
|
|
zed mujhe ap logo ka sath chahiye yar ap log yahan par bohut achi batian krte hon or yahan ek cheez or hai k yahan larkioo se koi galat batian nahi karta matlabesi koi bat jes se kesi ko bora lage . keu k yahan ka mohul bilkul frienly hai or asa hi hona chahiye. |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4214 Age:
|
|
Posted on:27th Aug 2009, 5:47am |
|
|
hadith Hazrat abdullah RA farmate hain k Rasoolullah SAW ne ramzaan ka zikar karte hoie farmaia, "jab tak chaand na dekho roza shoro na karo, esi tarha jab tak chaand na dekh lo roza mwqoof na karo aur agar abar (baadal) chaa jaie to 30 din poore kar lo"
(bukhari o Muslim) lu lu ul marjaan.. |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:27th Aug 2009, 4:38pm |
|
|
Aik Choti Si Naiki "TOHFA"
Ek martaba Hazrat Muhammad S.A.W Majlis may Waaz Farma rahe eth ke Tum Log aik dosre ko Tofa dete raha kero,
Ek shaks ne pocha ke Ya Rasool Allah S.A.W! ager ksi k pas tohfa na ho to?
Hazrat Muhammad S.A.W ne farmaya
"Kia tum kisi ko apni "Muskurahat" bhi nahe de sakte?"
|
|