Quran recitation
Assalam walekum Internet pe sab kuch na kuch dhunte rehte hain kuch time paas karte balke me bhi aisa hi karti thi. Lekin hum net surfing karte waqt kuch sawab bhi karskte hain. Quran ki tilawat chaleke or isse ghar me bhi barkat hogi InshaAllah. YE site urdu translation ke sath hai aur app quran padhte waqt isse sunege to app pure dil ke sath padenge aur appko acha lagega. http://www.quranurdu.com/Quran_SS/ Aise to bohot kam log hain jo quran ka tarjuma padhte hain jab ke tarjumma janna bht zaruri hai. Aur is tarike se bht assan hoga tarjumma janna.
Mene isko download karliya he app bhi ZARUR ek baar dekhle appko jarur acha lagega.
App jitna deen ke kareeb jayenge apko usse aur lagao ho ga. Aur jo deen aur ibadat se dur rehta hai uske dil pe ZANG lag jata hai. kam se kam quran ki 10 ayat roz padhne na hukm hai. 10 ayat ko kitni der lage gi lekin shaitan hume usse dur rakhta hai aur hume wo bht bada kam lagta hai aur din bhar me hum kitne kaam karte hain lekin ALLAH ke liye hamare paas 24 ghanto me se 10 min nahi nikal pata kitne afsos ke baat hai EK BAAT HAMESHA YAAD RAKHNA SHAITAAN HAMESHA HAMERE SATH REHTA HAI AUR HAME BEHKATA HAI NEKI KARNE SE ROKTA HAI, GUNNAH KARWATA HAI LEKIN JAB HUM USS GUNNAH KE WAJAH SE PARESHAAN REHTE HAIN TO SHAITAAN HAMERE SATH NAHI REHTA HUME PARESHANI ME AKELA CHOD DTA HAI. Phir bhi hum ussi shaitaan ka sath dete hain. Jabke ke hum achi tarha se jante hai ki shaitaan hamara khula dusman hai. Isliye namaz padha karo din me Allah ke liye sirf 5 baar waqt nikal lo. appki duniya aur akhirat sudhar jayegi. Akhirat me sabse pehle app ki namaz dekhi jayegi agar apki namaz sahi nahi to apke dusre koi amal nahi dekhe jayenge.
Aur apne gunahon ki mafi mang liya karo. apne gunaho ko gunah samjha karo. Allah toba karne walon ko maaf karta hai. Allah hafiz |