Iss ki wajah sey baaz logon ko tanau (erection) nahi hota. Aisi sorat mein agar erectile dysfunction 1 year sey ziyada rahey to phir amooman surgery ki zaroorat hoti hai. Iss beemari ki amomi wajah vitamin E ki kami hoti hai baaz aauqat yeh masla khud hi theek hojata hai.
Bisyaar Khori (Over Eating)
Zyada khana aur motapa bhi erectile dysfunction (jinsi karkardigi mein kami) ki ek wajah ban sakta hai lehaza weight ko kam rakhain.
Doosri Beemariyan (other diseases)
Neechey dii gaee beemariyon ki wajah sey bhi erectile dysfunction ka masla paeda ho sakta hai.
-
Blood ki naaliyun ki beemari vascular disorders maslan blood pressure etc
-
Jigar ki baaz beemariyan maslan cirrhosis
-
Dil kay amraaz
-
Hormones ka ghaer mutawazin hojana maslan prolectan ki zyaditi
-
Paet, prostate ya pelvis kay cancer ka operation
-
Cholestrol ki zyaditi
|