Ek aurat kay liye har bar orgasm hasil karna zaroori nahi hota. Bohut si aurton kay liye qurbat ka ahsas, touch honay ka ahsas, hath phaerna aur husband ki taraf sey foreplay zyada lutf angaez hota hai jis sey woh jinsi lutf aur sukoon hasil karleti hain. (Zakir)
Aurton Kay Liye Har Bar Orgasm Hasil Karna Zaroori Hai?
(How To Get Orgasm - Sexual Climax)
Aam khayal hai kay khushgawar azdawaji zindagi kay liye aurat ko mubashrat (Intercourse) mein har bar orgasm hasil karna chahiyie jab kay haqeeqat mein aisa nahi. 1994 mein America ki university ki ek research kay mutabiq sirf 33% sey kuch kam aurtein hamesha orgasm hasil karti hain. Shaadi kay shuru mein yani jawani mein aurtein kam orgasm hasil karti hain jab kay 30 saal kay baad aurtein zyada orgasm hasil karti hain. Ek survey mein 50% khawateen ney tasleem kya kay woh hamesha orgasm hasil nahi karti magar inki azdawaji zindagi bey hudd khushgawar hai. Doosri taraf bohut si khawateen ney bataya kay woh hamesha orgasm hasil karti hain magar inki azdawaji zindagi bohut khushgawar nahi. Agarcha khushgawar azdawaji zindagi kay liye orgasm zaroori hai magar sirf orgasm kafi nahi bul kay ek mohabbat aur khayal rakhney wala insan bhi zaroori hai. (Zakir: Stefan)
|