Magar ba'az log maq'ad (anus) aur peeshab ki naali mein koi cheez daakhil kar kay bhi jinsi lutf uthatey hain. Maq'ad aur peeshab ki naali mein koi cheez daakhil karna muhlik ho sakta hai. Iss sey har soorat bachna chahiyie. Mera ek client apni peeshab ki naali mein kabhi pencil, kabhi tinka daakhil kya karta tha.
Humarey haan sab sey zyada ghalat baatein (myths) musht zani kay hawaley sey mashhoor hain. Jinhon ney naujawan nasal ko pareshan kar rakha hai. Musht zani mein fard hath sey apni jinsi khwahish ko poora karta hai. Naujawan iss amal ko haftey mein ek ya do baar kar letey hain. Merey ba'az client rozana aur ba'az ek din mein 6 ya 7 baar tak kar letey hain. Mera ek shadi shuda client 24 ghanto'n mein 15 dafa tak karleta tha. Iss ney aisa kaee baar kya. Yani woh jagtey mein taqreeban har ghantey mein ek baar kar leta tha, woh abhi zinda hai, kaee bachon ka baap hai. Kitabon mein ek aisey fard ka bhi zikr milta hai jo har ghantey mein 3 ya 4 baar musht zani kar leta tha.
Hindustan, Pakistan mein naujawanon ka sab sey ahem masla musht zani hai. Yeh masla mardon mein zyada aur aurton mein kam hai. Mukhtalif researchers (muhaqqaqeen) kay mutabiq 95 ta 99% mard iss aadat ka shikar hain. Ma'aroof researchers sherry,hyte kay survey kay mutabiq 99% mardon ney kabhi na kabhi musht zani ki hai. Mashhoor mahir e nafsiyat Fryde ka khayal hai kay saarey mard kabhi na kabhi khud lazzati kartey hain albatta 95% iqraar kartey hain aur baqi 5% jhoot boltey hain. Magar research aur mera clinic ka tajurba fryde kay iss khayal ki tardeed karta hai yani 1% khud lazzati nahin kartey
|