|
Maryam |
Posted on : Thursday, 29th January 2009, 2:03am |
Group:
Members
Joined: 17th May, 2008
Topic:17
Post:3051
|
Sofi bhai acha agar sab yehi soch k jate rahe to waqai hi yahan koi nahi rahega aap plz aya karain na yahan myrizvi sahib aik bohat achay member aye hain unhain read kar k aap ko bohat khushi hogi.
|
|
SOFI |
Posted on : Thursday, 29th January 2009, 2:10am |
Group:
Members
Joined: 09th Jun, 2008
Topic:10
Post:532
|
Maryam baji bohat ache baat hai mai na to abhe tak read nahe keya karonga INSHAALLAH.
Ap sonaeya kayse hai ap aur apka bacha kaysa hai aur seemi baji aur babar uncle redchilli sahiba kaha hai.
|
|
Maryam |
Posted on : Thursday, 29th January 2009, 2:49am |
Group:
Members
Joined: 17th May, 2008
Topic:17
Post:3051
|
Sofi bhai aap seemi k liye dua kiya karain k Allah unhain mukamal sehatyaab kare . chilli bhi theek hain lekin aaj kal nahi arahi hain aur babar bhai ki tabiyat bhi kharab thi isliye woh bhi kuch din se nahi arahe hain. main aur bachay theek hain shukar hae Allah ka .aap aaj kal kahan hotay hain?
|
|
SOFI |
Posted on : Thursday, 29th January 2009, 2:58am |
Group:
Members
Joined: 09th Jun, 2008
Topic:10
Post:532
|
Baji Allah tamam Musalmannana Islam ko sahata ajala kamala aur mustamarra da aur tamam ke parashaneyo ko door kara mai Saudiarab ma he hoo Ramzam ma gaya tha Kauit aur India tamam ULLAMA ke meating the jis ma is na cheez ko bhe dawat de gae the kher ap mara leya bhe dowa kara mai bhe dowaoo ka talabgar hoo.
|
|
Maryam |
Posted on : Thursday, 29th January 2009, 3:15am |
Group:
Members
Joined: 17th May, 2008
Topic:17
Post:3051
|
sofi bhai ameen Allah pak aap ki duaon ko sab k haq mein qabool farmaye. koi khas meeting thi kiya? yani kis bare mein yeh ijtehad huwa tha ? kyun k maine mufti Taqi sahib k column mein read kiya tha k TV waghaira pe koi Ulma ka ijtehad huwa hae jis mein aisi baatein jo TV se bahar jaiz hain unhain TV pe bhi jaiz qarar diya gaya hae. kyun k media k zariye Islam ko bohat hi ghalat paish kiya jaraha hae to Ulma agar TV pe akar islahi program karte hain to is main koi uzar nahi. aap logon ka ijtehad kis maqsad k liye tha?
|
|
Raja Taqi |
Posted on : Friday, 30th January 2009, 4:14am |
Group:
Members
Joined: 31st Jul, 2008
Topic:34
Post:1968
|
sofi beta wellcome back sunaein kesy hein aur aap ki sehat waghaira kesi he
|
|
System |
Posted on : Friday, 30th January 2009, 10:39am |
Group:
Members
Joined: 03rd Jun, 2008
Topic:15
Post:853
|
Sofi welcome back
Log bhi yahan hain aur badle bhi nahee hain...
|
|
SOFI |
Posted on : Friday, 30th January 2009, 11:47pm |
Group:
Members
Joined: 09th Jun, 2008
Topic:10
Post:532
|
Maryam baji Raja uncle & System bhai jan Maryam baji:-Tamam Ullama ka maqsad serf yahe tha ka kaysa Musalmano ko sahe rasta par laee aur jis tarah Midia ka zareya Islam ko noqsan pohanc raha hai osko kaysa roka iseleya tamam Ullama issa motafeq howa hai ka Sharae ozar sa TV par koe bhe Alim asakta hai keyo ka TV aek aysa zareya hai jis ka zareya har kese tak baat pahonch sakte hai keyo ka aj ka door ma koe ghar aysa nahe jis ma TV na hoo aur jo aham masla tha jis masla ka leya ham motahed howa tha woh tha ja dosra Farqa ka loog Hanafiyo ko Kafer qarar da raha hai to is masla ko kaysa hal kara aur on ka sawalat jo Hanafiyo ka leya tha on ka jawabat bhe deyagae hai woh keya sawalat tha on ka jawabat mai ya nahe batana monaseb nahe samajta keyo ka yaha har Ferqa ka loog hai is wajah sa.
India jana isleya howa keyo ka waha DAHSHADGARDE par aek jalsa monaqed howa tha jis ma sherkat karna ka leya sare Donya sa Ullama aee tha jo bohat bara jalsa howa aur kameyab bhe raha India ka kafe mashoor Ullama sa bhe molaqat howe kafe koch sekhna ko mela.
Raja uncle:- Mai theek hoo ap sonaeya ap kaysa hai ap ke tabeyat kayse hai ap ka waswasoo ka haal keya hai abhe sahe howe ya nahe ap ke tabeyat ALLAH ap ko sahata kamala ata farmaee AMEEN.
System bhai jan:- JAZAKALLAH istaqbal karna ka leya mai on logoo ke baat nahe kar raha hoo jo old member hai mai on ke baat kar raha hoo jo new hai old members to waysa he hai jaysa pahla tha aur kafe old member bohat kam ata hai ya bhe mai na mushaheda keya hai is ka.
|
|
Maryam |
Posted on : Saturday, 31st January 2009, 1:20am |
Group:
Members
Joined: 17th May, 2008
Topic:17
Post:3051
|
Sofi bhai aap ka bohat shukriay aap ne itna detailed reply kiya Allah pak aap k darjat buland farmaye aur isi tarah Deen ki khidmat karte rahain
|
|
SOFI |
Posted on : Saturday, 31st January 2009, 1:29am |
Group:
Members
Joined: 09th Jun, 2008
Topic:10
Post:532
|
Baji JAZAKALLAH Dowa dana ka mai to Dowaoo ka he mohtaj hoo ALLAH ap ke Dowa ko khobol kara AMEEN.
|
|
|