Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Articles
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Getting Serious About Boyfriend-Girlfriend Relationships in Islam!!

Articles   >>  Islamic Articles
Gall Bladder
What is Gall Bladder?
Irregular Menses
Suffering From Irregular Menstrual Cycle
Liver Failure
Liver Failure – Causes, Symptoms and Treatment
Hepatitis
Cause, Symptoms and Treatment of Hepatitis
Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:11th Sep 2008, 7:29am
 

Getting Serious About Boyfriend-Girlfriend Relationships in Islam!!

Getting Serious About Boyfriend-Girlfriend Relationships in Islam!!

meray dear sisters aur brothers main idhar kuch important talk kerna chahti hon.main aap ko kuch boy-girl relationships,sex aur marriage ke baray me batana chahti hon.mujhe patta hai ye bahot hi personal aur delicate matter hai discuss kernay ke liay.laikin ye aap ki lives,muslim ummah, aur islam ke future ke liay bahot zuroori hai ye wo matters han jinhain humain discuss kerna chahiay.islam me ye clearly pataya gaya hai ke un males aur females me kya acceptable hai aur kya acceptable nahi hai jo married nahi han,tu ager sub kuch life me sahi ho raha hotta tu mujhe kya zurorat thi idhar ye sub likhnay ki,laikin sub kuch sahi nahi jar aha.please es ko sumjhanay ki koshish kerain jo main aap ko batanay ja rahi hoon aur ye sub sirf es liay aap ko batta rahi hon main islam se pyar kerti hon aur aap sub ki future safety,happiness aur aap ki lives me success ki care kerti hon although hum kabhi milay nahi han.

 

Jo kuch mainay read kiya,jo mujhe parents ne bataya aur jo mainay bahot saray muslim brothers aur sisters se discussion ker ke confirm kiya ke zyada muslim youngs boys aur girls ke relationship ke guidelines ko follow nahi kertay jo islam ne un ke liay set ki han.islam jo kuch kahta hai wo sahi aur clear hai ke marriage se pelhay boy aur girl me kisi qisum ka koi contact na ho.aaj ki dunia me kitnay young muslims han jo opposite sex se relationship rakhtay han jab ke wo clearly islam ki limits se bahir hai.in sub relationships ki range bazahir innocent friendship se complete sexual relationship(jo ke sirf married ke liay sahi hai) tak hai.

 

Aap ko patta hai Allah ne unmarried male aur female me her qisum ka relationship manna kiya hai wo es liay nahi ke wo chahtay han aap sub fun na kerain,balkay e ski reason ye hai ke Allah ne right relationship ke liay rules set kiay han kuin ke uss ko patta hai aap ke liay as a individual kya best hai aur as a ummah kya best hai.Allah chahta hai aap acha time guzarain aur male-female relationship ka wonderful pleasure enjoy kerain.laikin uss ko patta hai aap greatest joy  kisi harm ke binna tab hi experience ker sakain gay jab aap ka sexual-relationship Allah ki batayi hui guidline ke motabik ho ga.

 

Wonderful Benefits and Serious Responsibilities of Humans

 

Es message ko read kernay se pelhay main aap ko kahti honk e apnay mind ko open rakhain.aap ko ye tu patta hai ke insaan life me jo kuch bhi kerta hai phir ussay uss ka music face kerna hotta hai tu phir ager insaan brief moments ke liaay wronh ways se sexual satisfaction hasil kerta hai tu us ski bhi bari cost pay kerni ho gi.Allah ne dono male aur female me extremely strong sexual desire rakh di hai ke wo sexual-relationship ko experience ker sakain so ye feelings hoona entirely natural hai aur Allah ki marzi hai.jab hum animal ka behaviour dekhtay han,tu dekhnay me aata hai jab un ka jee chahay sexual pleasure hasil ker saktay han aur es tara Allah ne un animals ka world per survival kiya.ye mat bholain ke human beings animals nahi han,although humari bodies animal bodies ke quite similar han,aur basic needs animal ki basic needs ke similar han,laikin es sub ke saath jab hum paeda huay tu Allah ne humain shahoor atta kiya.ye special sirtual nature humain wonderful benefits daiti hai.,laikin es ke saath humari bari serious responsibilities han.

Benefit ye hai ke human animal se kaheen zyada prolonged sexual pleasure hasil ker sakta hai laikin responsibility ye hai ke sexual desires ko sir fuss manner me direct kerain jo Allah ne insaan ko right way bataya hai.sexual pleasure sirf man aur woman experience ker saktay han jo married hon.kabhi ye new human being ko world me lanay ke liay hai tu kabhi strong sexual desire aur closeness se man aur woman me bonding ko increase kernay ke liay takay aik strong family bunay,jo good aur right muslim generation ko family me raise keray.es se wo evil forces se moqablay ki salahiyat bhi rakhain gay.

 

Influence of Heavily Sexualized Society on Young Muslims

 

World me zyada young muslims highly sexualized society se heavily influenced han,jis society ke log jitna possible ho sakay sexual pleasure experience kertay han aur wo consequences ki parwa bhi nahi kertay.ye ho hi nahi sakta ke as a muslim teen aap ne unmarried teens ko movies,songs,sites aur atories me sexual pleasure enjoy kertay na dekha ho.un ko dekh ker kuch muslim tens ke mind me ye aata ho ga ke wo aisay fun hasil ker saktay han tu main kuin nahi ker sakta.tu idhar main aap ko ye yaqeen dilla don ke jis ko "free sex" kahaa jaata hai ye sirf free sex nahi hai es ke saath future me kitni aur cost pay kerni hotti hai.

 

So-Called Benefits of Girlfriend-Boyfriend Relatinships

 

Pelhay ye ke es ke benefits kya han?well aap relationship hasil kertay han tu aap ki loneliness further khatum ho jaati hai jo ke aaj ki dunia me common hai.aap ye soochtay hank e aap ke peers ko kya patta modernization kya hotti hai,aap khud ko cool sumajhtay han.aap khush hotay han un restrictions ko break ker ke jo religion aur culture ne aap per khud se impose ki han jo aap ne khud apnay liay choose nahi ki.aap feel kertay hank e sub jo ye amal kertay han tu main bhi sub me shamil ho gaya hon,es se aap better feel kertay hank e koi aap ko like kerta hai aur koi aap ko sumjhta hai,of course saath fun aur physical pleasure bhi ho ga jo sexual relation me natural hai.

 

Ye sub sexual desire ko fulfill kernay ke benefits,even wrong han.in me se kuch so-called benefits aap ki will ke bhi against han kuin ke aap per secular materialistic society ka influence hai jo ke muslim ummah ke outside exist kerti hai.ager aap uss American lifestyle aur freedom jo ke media per dekhatay han aap uss se jealous han tu zara khud se ye sawaal poochain.ke"kon better zindagi guzarnay ke decisions lay sakta hai kya aik American teen jis ne Allah aur islam ka naam bhi nahi soona ya aik muslim teen jis ko at least Allah ki existence ka patta hai aur wo kuch jaanta hai islam ke baray me?"ager aap ye nahi jantay ke aap aik average godless,pleasure seeking American se better han aur ghalut se sahi jannay me tu aap ke liay better ho ga ke jo brain Allah ne aap ko diya hai uss ko use kerna stat ker dain.

 

Severe Consequences and Costs of Pre-marital Relationships

 

Ab main aap ko un costs ke baray me batati hon jo aap ko in premarital relations ya even sexual relationship se future me pay kerni hon gi.list thori long ho gi kuin ke costs hi itni zyada han.tu app in costs ko read ker ke khud ki judjement se honest hon aur dekhain ke main aap ko sahi kah rahi honk e ghalut.in costs ko present kernay ka koi particular order nahi ho ga but main koshish keroon gi ke koi miss na keroon aur meri dua hai ke aap uin me se kuch cost bhi experience na kerain aur meray dear young muslim brothers and siaters main kabhi nahi chahoon gi ke aik temporary pleasure ke liay aap itni costs future life me pay kerain aur itnay consequences face kerain.

 

1.       main aik really ugly cost se start keroon gi,disease.illegal aur frequent sexual relations se kitni tara ki sexual diseases hotti han.in diseases ka effect simple pain,discomfort se doseri life long diseases jaisa ke cancer,children ka paeda na hoona aur itni severe condition ke death ho jaye.aap ko patta hai wo females jo 3 ya zyada people ke saath life time me sooti han in me cervical cancer ka 215 times zyada chance hotta hai.in facts ka zara andaza ker lain ager aap shaadi se pelhay illegal relations rakhna chahtay ya chahti han tu.

2.       aik aur cost divorce hai.islam me ye hai ke aik married couple humesha married rahay aur family ke saath relations ko death tak enjoy keray tu reality ye hai ke wo couples jo ke shaadi se pelhay illegal sexual relations rakhtay han un ko divorce ho jati hai.

3.       ye bari sad cause hai ke jitney aap ke shaadi se pelhay relationships hon gay utnay hi aap shaadi ke bahd bhi rakh saktay han aur apnay life partner ko cheat ker saktay han,aur aisay wo person bhi ker sakta hai jis se aap ki shaadi hui ho aur jo pelhay already in illegal relations me involve ho.koi good marriage adultery ko tolerate nahi ker sakti.adultery  married couple ke liay great unhappiness hai aur ye good family life jo ke right society ke liay necessary hai uss ko destroy ker daita hai.kya ye logical nahi hai k eager aap shaadi se pelhay rules ko follow na kertay hon tu aap shaadi ke bahd bhi nahi kerain gay.

4.       bahot sari young girls unmarried motherhood,unwanted children aur abortion ke un ki life me ho.laikin ye terrible things life me kabhi kabhi hotti han jab aap illegal sexual relationships me involve hon tu.unwanted pregnancy,aap apnay parents ko kaisay batayain ke aap pregnant han?ye aur bhi worse ho ga ke aap aik unwanted child ko dunia per lana chahain aur us ski care kerna aur uss ko bara kerna then jab wwo bara ho tu us ski society me value kya ho?aur abortion ke baray me kya aik ghalti tu ker baithi han phir aik aur bara gunnah ke apnay ander grow kernay walay cghild ko aap kill ker dain gi?kya ye baat aap ko sad nahi keray gi?kya aap guilty nahi feel kerain gi.

5.       loss of virginity..jab aap shaadi se pelhay apni virginity ko loss ker dain gi tu kya shaadi ke bahd aap es ko chppa payain gi apnay husband se?kya aap ka husband aap se satisfy ho ga?ya ho sakta hai divorce tak baat ah jaye.

6.       aik aur depressing statistics hai suicide.sexually active boys zyada lke liay zyada likely hai ke wo depress hon aur ten times zyada chance hai ke wo suicide kerain un ladkoon ke moqabilay me jo shaadi ka wait kerain.teenage girls jo premarital relatyions rakhti han un me three times zyada chance hotta hai depression ka aur aisi ladkioon me suiside ka bhi three times zyada chance hotta hai jio sexually active hotti han shaadi se pelhay.

7.       es ka end bara kawless ho ga,start me aap aik bar illegal sex kerain gi/gay aur start me aap ko hard bhi lagay ga aisa kerna then aik bar aap start ker dain tu phir second time,third time,foth time aur so on…aap phans jayain gi es ko kernay me aur aik aur baat ke mard aur aurat dono equily responsible han in wrong relationships ke.

8.       aap sirf ye es liay kerti hank e aap soochti han ke aap ki shaadi uss insaan se ho gi tu aisa kernay me wait kuin kiya jaye..jab ke statistics show kertay han ke jo shaadi se pelhay sex kertay han wo aik doseray se kabhi shaadi nahi kertay.

9.       kuch log believe kertay han ke jo shaadi ke bahd sex me perfect hoonay ke liay shaadi se pelhay sex ki practice hoona zuroori hai otherwise shaadi kamyaab nahi ho gi.jab ke studies show kerti hai jo log shaadi tak wait kertay han wo shaadi ke bahd zyada satisfaction aur marital contentment hasil kertay han.meray khayal me es se bather aur romantic kya ho ga ke aap ko aik aisa partner milay jis ne pelhay kabhi kisi ke saath sexual relation na rakha ho.

10.   kuch log kahtay hank e sex koi big deal nahi hai,log es ko big deal bunna daitay han.un ke khayal me wrong sexual relation rakhna koi itna wrong bhi nahi hai aur ager wrong hai bhi tu tiny wrong hai.Quran me illegal sexual relation ki seriousness ki ranking ker di gayi hai ke pelhi major sin Allah ke saath kisi ko shareek thahrana hai,second most major sin hai murder aur third most major sin illegal sex hai.mainay ghalut kah diya illegal sexual intercourse sirf wrong nahi hai balkay baghot,bahot major wrong hai.ye mat bholain ke illegal sex ke aisa crime hai jis ke baray me Allah ne opunishment bhi batayi hai aur hai aur thi ke job hi illegal sex keray uss ko 100 cane ke strokes lagaye jayain.

11.   phie aisay bhi han jo kahtay han sex wrong nahi hai kuin ke ye aik fun hai aur koi bhi cheez jo fun ho wrong nahi ho sakti.aap ko patta hai shaitaan aap ko aisa sub kernay per majboor kerta hai jo aap kerna bhi nahi chahtay ya jo right bhi nahi hotta.kya aap ne soccha hai shaitan pori koshish kerta hai aap ko sahi rastay se hutanay ki.shaitan insaan ko khuda se dour kernay ki her koashish kerta hai aur wo chahta hai ke aap ko jannat kabhi na milay.aik bari koshish jo shaitan kerta hai wo ye hai ke insaan ye hi bhool jaata hai ke wo ghalti ker raha hai woe s ghalti ko fun sumajhe laita hai aur uss ko kuch hosh nahi rahta kya ghalut hai aur kya sahi.jab aap ke dil se imaan khatum ho jaye tu phir aisay amal kerna aap ko acha aur ahsaan lagay ga.

12.   kuch log ye kahtay han ke sex natural hai ye wrong ho bhi nahi sakti aur wo example animals ki daitay han ke wo jab chahain sex ker saktay han jab ke insaan me aisa nahi hai,insaan me aik proper time hai sex kernay ka.aisay log insaan ko animal ke level per lay aatay han.phir insaan aur janwer me difference kya hua jab ke Allah ne insaan ko well developed brain bhi diya hai.

13.   kabhi kabhi muslim teen jo sincerely stray nahi kerna chahtay sirf boyfriend ya girlfriend ko justify kertay han relation se laikin un ka irda sex ka nahi hotta un ke intension avoid kernay ke aur noble hotay han unfortunately studies show kerti hai ke jitney time couple alone hon gay chance bhi utna hi zyada ho ga ke uss ka wind up bed me ho ye true hai ke wo start avoid kernay ke intensions se kertay han but wo aisa ker nahi pattay.ap ko patta hoona chahiay ke aap kabhi itni opportunities milay per apni sexual desires ko control ker payain gay…ager aap ye sumjhtay hank e aap control ker lain gay tu aap kis yaqeen se ye sub kah saktay han.

14.   kya aap sinecerly dua kertay aur rozay rakhtay han?jab aap es sex ke matter me khuda ki marzi ke khilaaf ja saktay han tu aap zyada likely hai ke aap doseray matters me bhi Allah ki will ke against hon ya phir eventually islam bhi chor dain.ye aap ki life aur pori muslim ummah ke liay kitna terrible hai.jo sex ke pleasure ke liay wait nahi ker saktay pori dunia un ki wajja se islam se benefit nahi hasil ker sakti.kitni huge price pay kerni parhti hai.

15.   kya ho ager qyamat ke din aap ko in unlawful activities ki price es tara pay kerni paray ke aap ko jannat ki jagga dozukh me daal dain?kuch muslim jo kamzoor muslim han wo judjement day ko bhi nahi soochtay jab ke hum soochtay han wo certain hai aur sub kuch ho ga uss din jo Allah ne bataya hai.phir aap uss din kya fel kerain gay.es se bather hai aap apnay temporary pleasure ke liay aisa kuch na kerain.

16.   ye list tu khatum hi nahi ho gi tu main es point ko last bunnati hon,laikin es me kuch bahot hi special hai,aur bahot precious bhi kuin k eager baki sub costs in young boys aur girls ke relations ko wrong na kerain tu ye aik hi kafi hai kuin ke e ski bari high price hai pay kernay ke liay.es cost me marriage ke bahd husband aur wife ke relationship shamil han.InshAllah aap ki shaadi ho gi aur aap ka long time relationship ho ga jo her tara se special aur wonderful bhi ho ga.reality ye hai ke shaadi ke se pelhay ke aap ke opposite sex ke saath relationship aap ke shaadi ke bahd ke husband-wife ke relationship ka charm khatum ker dain gay.Allah chahtay hank e aap ke shaadi ke bahd ke relationship me itni care ho aur wo itnay strong honk e koi bhi partner shaadi ke bahd divorce aur adultery na keray tu es relationship ko wonderfull aur special hoona chahiay.jitna zyada married couples me share kernay ko ho ga utna hi special aur uniques ye relationship ho ga.tu shaadi  se pelhay ke relationship aap ke husband ya wife ko less special ker dain gay kuin ke aap nee s ko pelhay se hi kisi ke saath experience kiya hua ho ga.uss shaadi ke din ke special moment ka na aap ko wait ho ga aur na aap uss ko special bunna payain gay.ye shaadi se pelhay ke relationships ke sub aspects me se true hai.laikin e ski khaas impotance un khaas sexual parts se related hai kuin ke ye Allah ki teruf se aik precious gift hai.ye gift first time sex kernay se hi wapis lay liya jatta hai tyu kya ye sahi nahi hai es gift ko sir fuss special person ke liay use kiya jaya jis ke saath aap ne pori life spend kerni hai?

 

I hope es girl-boy relationship ki discussion ke bahd aap jaan gaye hoon gay ke kitni bari qimat adda kerni parhti hai.khud se honest hon,kya aap sumjhtay han mainay sahi kaha hai?ye nazer aata hai ke marriage ke bahd marriage se pelhay wait kernay ke bahot benefits han.

 

For Those Who Had Already Gone Beyond the Limits of Islam

 

Aap me se kuch tu ho sakta hai pelhay hi islam ke beyond ja chokay hon marriage se pelhay hi.tu main aap ko ye kah ker scare nahi kerna chati ke aap ka happy aur success marriage ka koi chance nahi ho ga.good marriage abhi bhi possible hai,laikin sadly less likely.tu ager aap ne already ye oppoertunity lost ker di hai ke apni marriage ko special bunayain tu aap ab bhi future ka khayal ker saktay han aur es sub ko chor ker pori koshish kerain ke aap ki shaadi successful ho.ab jo kuch hua hai uss ke liay khuda se maafi manghain aur ye promise kerain ke ayainda aisa kuch nahi kerain gay aur ye ke jis se aap ki shaadi ho gi uss se aap ne love,tenderness aur kindness se rahna hai aur uss ke ilawa kisi aur ko nahi dekhna.


Allah ne insaan ke liay right limits rakhi han takay wo happy aur successful marriage experience keray aur mmujhe patta hai modern world ka pressure,peers ka pressure,media ka influence kaisa hai tu es sub ko lay ker main kuch suggestions daina chahti hon jo ke aap ne jo ghalut kiya uss ke severe effect ko aap ki future marriage per kam ker dain gay.


first main uss common pattern ko idhar likhna chahti hon jis se boy-girl ke ye relationship start hotay han then eventually wo kuch ghalut ker jatay han.hum jo kuch bhi kertay han kabhi bhi direct apnay behavior se us ski fullness tak nahi poonch saktay sub kuch small steps me hotta hai.possible steps jo wrong relation ko develop kernay me hotay han wo ye han:

 

aap class me kisi opposite sex ke person ko deklhtay han uss me aap ko aap ko attraction nazer aati hai then aik din aap uss ko smile pass kertay han;next aap uss ko hello kahtay han jissay aap like kertay han;phir aap regularly uss se talk kertay han;then aap uss person ko batatay hank e aap uss ko like kertay han;phir aap aik couple ki tara ho jatay han;phir aap date arrange kertay han;phir aap arrange kertay hank e kaheen akelay milain;aap hands hold ker saktay han,ya hug kertay han ya phir saath kissing;kissing se ap ki desires increase hotti hai aur kuch wrong touching hotti hai laikin sexual intercourse nahi;phir aap es tara kertay kertay complete illegal sexual intercourse ker laitay han aur phir bar bar kertay rahtay han;phir aap ke kitnay partners bhi change hotay han ye aap ki habit bun jati hai aap phans jatay han;eventually aap uss ke harmfull consequences face kertay han.ye baat mujhe sad kerti hai ke aap me se meray kitnay young brothers aur sisters ke saath aisa hua ho gay a phir mujhe yaqeen hai aap ko ilm ho ga ke kisi ke saath aisa hua hai.main in increasingly behaviors ke pattern se nahi chati ke aap ki life berbaad ho aur aap ka wrong girl-boy relationship ho.tu main un ko ye suggestion daina chahti hon jo Allah ke ahkaam ko follow nahi kertay.un wonderful young muslims ke liay ye suggestion nahi hai jo islam ko aur Allah ko sahi follow kertay han(main aisay insaan se bahot khush hon aur Allah ki aur bhi blessings aap per hon).laikin wo muslims jo ke right aur wrong me difference nahi ker saktay tu un ke liay aik suggestion hai ke at least itni limits bhi na cross kerain ke apni aur doseroon ki life aur future marriages ko hi berbad ker dain.aap un special parts ko steal mat kerain jo Allah ne insaan ko gift kiay han aur jo sirf special person ke liay han jis se insaan ki marriage ho.ager aap sumajhtay han ke dosera insaan aap ko harm day sakta hai jis ko aap ko pori life face kerna parhay tu aisay insaan se relation cut off ker dain.beside this 2 opposite sex ka alone hoona hi society me ban honna chahiay aur aap ko ye bhi khayal kerna chahiay ke ager aap kisi ko harm kerain gay es tara tu aap ki aur uss doseray insaan ki value aur honor society me kitni down ho jaye gi ke doseray jin me aap ki society ke log,aap ke peers sub aap se nafrat kerain gay.es ke ilawa aap ye soochain ke aap ke bahd aanay wali generation ya aap ke young sister brothers,aap ke peers aur pori ummah per es ka kya influence ho ga.pelhi baat hai ke aap aisay illegal relation rakhain hi na aur ager phir bhi aap ghalut rah per chal parhain tu limits rakhain aur laikin ye mat soochain ke aap sahi ker rahayy han kabhi bhi alone nah on aik saath.bahter hai ke koshish kerain humesha wohi kerain jo Allah ka hukam hai kuin ke uss ko patta hai hum sub ke liay bather kya hai…


meri ye dua hai ke ye jo mainay ooper discussion ki hai boy-girl relationship,marriage aur sexual relation ke baray me tu aap apni life ke important area me right decision lain.please aisa kuch mat kerain apni life me jis se aap kabhi recover na ho sakain.aap young muslims ummah ka future ho aur es dunia me islam ka future ho tu Allah ki commands ko follow kerain aur apnay liay aur apni future family ke liay aik wonderful marriage ensure ker lain.dunia se influence lainay ki jagga wrong se lesson sikhain aur right kerain.

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2115  Age:   
Posted on:11th Sep 2008, 2:24pm
 

Sooth Baji

Nice Article.
searcherr Group: Members  Joined: 06th Sep, 2009  Topic: 0  Post: 5  Age:  27  
Posted on:6th Sep 2009, 3:01pm
 

nice but!

main ne aap ka artical perha hai. bohat achha likha hai aap ne. bus ek masalah hai. wo yae k LADKYAAN URDU ENGLISH KO GHOL KER UN KA BAIDA GHARAK KYON KER DETI HAIN. ya to urdu main likhyae ya phir mukamal english main likhyae. abb aap ka artical per ker aisa lag reha hai ki kissi bachay ne english main mazmoon likhne ki koshish main is ki matt mar di hai. 

Baqi aap ki baatain muje waqai pasand ai hain is lye main ne jawab likha hai.
PakBrain Group: Members  Joined: 23rd Jun, 2009  Topic: 2  Post: 38  Age:  38  
Posted on:6th Sep 2009, 5:04pm
 

good article by sooth

sooth ki achchi koshish hai, thori bahut khami ko nazar andaz kya ja sakta hai. tamam pakistani english read nahi ker sakte, lehaza aise member jinhai english nahi aati, on ke liye sooth ka article behtreen hai.

1
Male Fertility
Increasing Male Fertility
Male Sexual Health
Benefits of Exercise on Male Sexual Health
Handsome Men
Facial Exercise Keeps Men Handsome
Male Libido
Male Libido Enhancers - How To Enhance Low Male Libido
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012