Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

The Politics Of News Channels In Pakistan.

Politics
 
 
 
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:28th Aug 2008, 5:23am
 

The Politics Of News Channels In Pakistan.

Agar ye kaha jaye k Pakistan main politics politician k bajaye news channels kartay hain tou ghalat na hoga, Jab say media azad hoa hai tab say Pakistan ki siyasat bhi change hogaye hai, ab sirf goverbment main mojood party ki hi nahi chalti , oposition aur mukhalif partiyon ka kirdar bhi buhut eham hogaya hai. Media ki azadi Pervazi musharaf ki marhon e minnat hai, warna ajtak kisi nay bhi media ko azad karnay ki koshish nahi ki, (warna kalay dhanday pakray jatay).....ye step bhi Pervazi musharraf ki bahaduri ka moun bolta soboot hai, likin afsoos kuch media anasir nay (SPecially News Channels) bajaye Neutral Kaam karnay k apne mufadaat aur pasand ko ehmiyat di hai, jissay Pervazi musharraf ki hokomat ko kaafi nuksan uthana para hai.....(yani paalto janwar nay hi apne malik ko das liya......)

Geo Channel Pakistan Ka behtareen Network mana jata hai jisnay buhut say trend set kiyai hain dosre tv networks k liyain, specially Geo News nay hi Pakistan main Khabron ko riwati andaz say hat kar pesh karnay ki riwayat daali, jis say har aadmi ko khabron main dilchaspi peda honay lagi hai.......

Geo ka apne baray main buhut dawa hai k wo fair aur matwazi khabrain peh karta hai, yani k neutral way main rehta hai aur apni powers ka ghalat istamaal nahi karta. Likin Dosre taraf jab hum dekhtay hain Geo main pesh honay walay programs tou is say is baat ka saaf pata lagta hai k geo unhi opinions say agree karta hai jismain usko khud bhi interest ho, aur zyada tar opposite view points ko ignore kardeta hai....

..Misaal k tor pe Geo nay ch iftekhaar ko temporary chief justice say hatnay k baad  pervaiz musharraf k khilaaf apni propaganda machine ka aghaaz kiya (pehle say hi tha magar raftar sust thi), aur takreeban geo k har political program main pervaiz musharraf k khilaaf batain shuru hogaye thi, geo ki dekh dekhi har channel nay bhi yehi tareeka apnaya, jiskay nateejay main media pe ban lagaya gaya.......Ban lagtay hi Geo nay khulay aam musharraf k khilaaf muhaaz khara kardiya aur nakay government ko support karay balkay government ko badnaam karna shuru kardiya....aur apne one sided honay ka soboot diya na kay neutral honay ka.........

Pervaiz musharraf ki bad media policy ki badolat unko media nay kaafi nuksan pohonchaya, agar ye kaha jaye k pervaiiz musharraf ki makboliyat ko kam karnay main media ka bara haat hahi tou ghalat na hoga, Geo samaait different news channels pe musharraf k mukhaalfeen akar musharraf k khilaaf batain karjatay thay likin bajaye usko edit karnay k live dekhaya jata tha......
suicide bombings hon ya lal masjid, Geo, Ary aur ajj tv wounded logon k images baar baar dekhatay thay (ab kyun nahi dekhatay)....takay logoun k dilon main nafrat ki aag panpay.Dr shahid masood aur dsray anchors ki taraf say openly support anti musharraf ko aur operations main opposite party ki khuli side li jaati thi jesay lal masjid k terrorist say raabta karna aur unsay contact kiya jata tha, kabhi kisi nay dekha hai k usa main saddam hussain say kisi nay raye lenay ki koshish ki ho ?????kabhi bhi koi achi baat nahi bataye jaati thi hamesha anti government batain chalti rehti thi............

Geo ki anti musharraf policy a is baat say soboot miljata hai k after november emergency, Toronto main Pro-musharraf raily ki coverage say Geo nay inkaar kardiya, Geo official nay iska ye reason bataya k unko sirf anti-musharraf raily ki coverage ka order hai......

Kya is hi Geo aur Genay Do kehtay hain....Media ka kaam bhi agar neutral nahi hoga tou phir kiska hoga......ajj power media k haath mai hai, wo jiska chahay takhta ulat sakta hai, likin ye bhi sochna hai k takhta apne mufaad ki khatir ulta jaraha hai ya Pakistan ki khatir......




salmi Group: Members  Joined: 23rd Aug, 2008  Topic: 4  Post: 28  Age:  29  
Posted on:28th Aug 2008, 6:53am
 

Kia ap ka matlab ha.

Kia ap ye kehna chahty ho k ager koi bura shaks dikhawy k liye koi acha kam kary to geo os badha chara kar dikhaye or os ko awam ki nazron me Positive show kerny ki koshish kary.

Muhatrem!MUSHARRAF SAB KI SARI HAKEEKAT YE HA K WO AIK AISA BANDA HA JIS NE mASJID K TAQADDUS KA EHTRAAM NI KIA THEN Y WE SHOW HER POSITIVE ACTIVITIES ......AGER AISA KIA JATA TU YE WO JO PAISY DE KER REALLY ME BULY GY LOGO KI WAJA SE aLME ISLAM ME YE TASOR PAIDA HOTA K MUSALMA MOSQUE PER  HAMLY KI HIMAYET KAR RAHY HA.

 




qassimf Group: Members  Joined: 09th Jul, 2008  Topic: 16  Post: 109  Age:  31  
Posted on:28th Aug 2008, 7:13am
 

Media is Gr8

Media ne jo kiya woh ek Jihaad tha. Media abi b kisi party ki taraf nahi hai. Jo b hamkoomat galat kam kare ge Media sab ka Ihtesab kare ga Inshaullah. Actually they are truely presenting the Awam.




sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4638  Age:  37  
Posted on:28th Aug 2008, 7:14am
 

salmi

ap log har bat ghoom phir kar wahin le ate hue..jahan apki sui attki hui hai.

apke khayal me un Maulviyon ne Masjid ke Taqaddus ka ehtaram kiya tha?jo unhe wahan betahasha asslah chupa kar rakha tha?kya unhe ye zeb deta tha ke wo Hukamooat se apne mutalbe pure karwane ke lye masoom bache kidnapp kare aur unki Maut ke kasoor war bane?

agar apka jawab han me hai to meri nazar me ap ye Tasur paida kar rahi hain ke ap Masjid par hamle karne aur karwane ki Himayat karti hain.

Hitman..

Geo is one and the only channel jo ke neutral nahi hai...actually inhe malum hi nahi hai ke ek news channel ko kaisa hona chahye..ek news channel ko kissi bhi party ka nahi hona chahye aur na hi unhe chahye apne private khayalat ka izhar kare..News channels ka kam sirf News faraham karna hai.

aur mai samajhti hun awaam ko aksane aur khilaf karne me sab se ziyada Hath Geo ka hi hai...jab Geo par bain laga tha,tab unki seena zori dekhne wali thi apni Ghalti ko man.ne ki bajaye unhon ne mazeeb cartoons banaye jinse wo dikhana chah rahe the ke humare muh band karwa diye gaye hain..etc..

ye sab sirf awaam ko uksane wala kam hai aur khud ko best aur neutral channel sabit karne ki nakaam koshish....

re..Geo official nay iska ye reason bataya k unko sirf anti-musharraf raily ki coverage ka order hai......

zahir hai is se log anti musharaf peaples ko mazeed uksana chahte hain kyoonke unhe malum hain ke betahasha parhe likhe log bhi unki baton par andha yaqeen rakhenge

Geo aur geeno do apni hi policy pe chal nahi pata wo dusron ko kya sikhayega...




Sami144 Group: Members  Joined: 10th Jun, 2008  Topic: 13  Post: 546  Age:  37  
Posted on:28th Aug 2008, 4:15pm
 

Azad Media

news channels pe jo kuchh hota hay es main on ka koe qasoor nahi.. on becharoon ne b to kahen na kahen se to Rupee kamane hote hain.

wo kehte hain na Fouji main aqal nahi hoti.. thheek hi kehte hain.. kyun wo ek fouji they syasaydan nahi. es ley onhon ne Kafi sare TV channels ko Pakistan main apni nashyat ki ajazat di. on se pehle jitne b Leader they wo syasatdan they on ko pata tha agar kafi sare channels Pal ley to ek din ye hi hamen kat khaen ge. wo log baqi galtyon k sath sath Musharf ki ye b galtiman rahe hoon ge keh ye kya museebat dal di hay. Tabi to pichhle dinon Prime Minister sahin ne PTV se kaha tha keh Prime Minister k bare main koe b khabar Tasdeeq k begair na nashar ki jae. yani nashar karne k ley ajazat nama ly ajae.

Musharaf k achhe kamoon main ek ye b hay onhon ne Pakistan main TV channels ki barmar kar di... jo koe doosra leader na karna chahta tha...




Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:28th Aug 2008, 4:55pm
 

Sami bhai

sahi baat hai media ko azaad kar k musharaf uncle ne aik karnama kiya lekin Media ka tu kaam hi har cheez dikhana hia, chahay woh ghalat ho ya sahih..  Jab media karachi mein City Nazim k doray ki coverage karta hia tu sab khush hotay hien, lekin jab yehi media wakeelon per lathi charge dikhata hai tu us per ban lagta hai.. Yeh kya baat hoi...  Aap aisay kaam hi kyon kartay hien k media us ko dikhaye..

America mein Clinton or Monica ka scandal media ne kitna uchala tha k baat resignation tak aa gayi thi... Tony Blair or Mrs. Blair ki aik aik harkat ko british media cover karta tha...  Baat sirf yeh hai k apnay baray mein sachayi koi sunna nahi chahta.. Jab media Pervez Musharaf k doron ko cover karta tha tu baray khush hotay thay lekin jab 12 may ko cover kiya tu Media per janibdaari ka ilzaam laga diya... 

Waisay bhi yeh information age hai.. Kis kis ko kahan tak roka ja sakta tha... Media ko azaad karna waqt ki zaroorat thi.. Internet k zariye har koi halaat e hazra se aagah rehta hai... Kya Pakistan mein Internet bhi nahin hona chahiye tha? Agar GEO per janibdaari ka ilzaam hai tu kya BBC bhi janibdaar hai.. BBC ki sites per bhi Musharaf hakoomat ke karnamay mojood rehtay thay.. Kya un ko bhi band karna chahiye???



Sami144 Group: Members  Joined: 10th Jun, 2008  Topic: 13  Post: 546  Age:  37  
Posted on:28th Aug 2008, 5:14pm
 

Internet

Media ko azaad karna waqt ki zaroorat thi.. Internet k zariye har koi halaat e hazra se aagah rehta hai

 main ne ye nahi kaha keh Medya nahi hona chahye. main sirf ye batane ki koshash ki hay keh ye kam pichhle 8 saloon main huwa hay.

main aap ko haqeeqat par mabni information deta hoon. har bat main Musharaf ko na ghaseeta karen.

main 1996 main Diploma of Associate Engineer pass kar lya tha. aur mera erada tha keh main BCS kar loon. lakan tab tak Hamare Shehar Bahawalpur main Computer nam ki koe cheez nahi thi. 1999 k start main wahan chand Colleges main computer classes start hue theen.

age bat karte hain. pakistan main kitne log ese hain jin ko Internet available nahi hay. shehr waloon ko pehle b channles ki zroorat nahi thi. on k pass internet tha, cable network tha. lakan aap jo b sochen zara Gaon (Villagers) ko b samne rakh kar sochen aur karen. aap k khayal main kitne Village ese hoon ge jahan Internet hay.???? hamare gaon main 1500 abadi hay aur sirf hamare gar Internet hay.wo b koe 4 sal pehle aya tha. ye Pakistan TV channels hi hain jis k zareya am admi tak khabar punchti hay.

masala sirf yahi hay keh, aur jis par main hamesha zor deta hoon na koe syasat dan aur na hi syasat pe behs karne wale, kabi b Gaon walon k bare main nahi sochte. sirf Shehri zindgi Lahore Islamabad Karachi etc. main jo b bat karta hoon Village ki zindgi ko samne rakh kar karta hoon.

aap shaed sher main hi rahi hoon gi es ley app ko in batoon ka indaza nahi ho ga.




Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:28th Aug 2008, 5:34pm
 

Sami bhai.

re: 1999 k start main wahan chand Colleges main computer classes start hue theen.

Agar mein yeh kahoon k Islamia University, Bahawalpur mein MCS ki classes 1995 se start ho gayin thi or BCS ki classes 1998 mein start ho gayi thin tu aap kya kahein ge..? Is k ilawa unhi dinon mein Govt SE College mein BSc Computer Sc or ICS ki classes bhi ho rahi thin... Aap ghalat information de rahay hein..

1999 mein shehroon k ilawa, jahan jahan PTCL ki service thi wahan PakNet ki Internet services bhi kaam kar rahi thin.. Bohat kam aisi jaghein aisay gaoon thay jahan PTCL tu ho lekin Paknet na ho... Mera gaoon bhi Punjab ka aik backward gaoon hai lekin wahan 1999 mein Internet tha.

Mera kehna yeh hai k waqt ki zaroorat se hum nahin bhag saktay.. Pakistan ko azaad media ki zaroorat hi, Musharaf sahab ne acha kaam kiya k us ko azaadi di, lekin us pe ban lagana ghalat baat hai.. Aap aisay kaam hi kyon kartay hein k logon k samnay aap ko sharmindagi ho..



Sami144 Group: Members  Joined: 10th Jun, 2008  Topic: 13  Post: 546  Age:  37  
Posted on:28th Aug 2008, 5:45pm
 

RE:

Agar mein yeh kahoon k Islamia University, Bahawalpur mein MCS ki classes 1995 se start ho gayin thi

Es ka simple jawab ye hay keh meri post main zara gor se parhen to aap ko pata chale ga. mera Diploma 1996 main huwa tha. aur main BCS karna chahta tha. MCS BCS k bad aata hay. DIPLOMA k baad BSC hi ki ja sakti hay.

or BCS ki classes 1998 mein start ho gayi thin tu aap kya kahein ge..? Is k ilawa unhi dinon mein Govt SE College mein BSc Computer Sc or ICS ki classes bhi ho rahi thin... Aap ghalat information de rahay hein..

 Jee han BCS ki classes 1998 main start hue theen. aur session 1998-1999 ka tha. yani addmission sep-oct 1998 main hue the. aur SE college aur Govt Degree College One One Unit choak main PDG (Post Graguate ki classes start hue theen. BCS to os k b baad main start huwa tha.

ab es main aur meri last post main kya farq hay.. agr muje pata hota keh aap Bahawal pur se hain ti main pehle hi itni detail se likhta.

 

aur ek khas bat:- main galt information nahi deta. agr muje pata na ho to main khamosh rehne ko tarjeh deta hoon.


 




Sami144 Group: Members  Joined: 10th Jun, 2008  Topic: 13  Post: 546  Age:  37  
Posted on:28th Aug 2008, 5:50pm
 

PTCL

ki sevices on shehroon min thi jo barhe shehroon k qareeb they. bahawal se 30 KM door Lal Suhanra main b Bahawalpur ka city code chalta tha. aur buht mehdood numbers they. baad main shaed wahan PTCL ki xchange bani to PTCL land line aam ho gae. on gaon main to aj b land line nahi hay jin ki mian bat kar raha hoon. mere gaon main land line nahi hay. ham Internet PTCL wireless se net chalate hain.

hamare area main ab ja keh jaz, U phone aur Telenore ka net work aya hay to Comunication aam hue hay.




Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:28th Aug 2008, 5:58pm
 

Sami bhai

re : main 1996 main Diploma of Associate Engineer pass kar lya tha. aur mera erada tha keh main BCS kar loon. lakan tab tak Hamare Shehar Bahawalpur main Computer nam ki koe cheez nahi thi. 1999 k start main wahan chand Colleges main computer classes start hue theen.

With due respect but aap ne kaha k 1996 mein wahan computer naam ki cheez nahin thi but wahan 1995 mein MCS ki classes ho rahi thi.. KYa MCS ki classes baghair computer ke ho rahi thin....  phir aap ne kaha k 1999 mein wahan chand colleges mein computer classes shoro hoi thi lekin 1995 mein MCS or 1998 mein BCS.. is k ilawa ICS, BSc or PGD bhi ho raha tha.... .. tu kya aap in ko computer classes consider nahin kartay...

aap plz is ki wazahat kar dijiye :)
Sami144 Group: Members  Joined: 10th Jun, 2008  Topic: 13  Post: 546  Age:  37  
Posted on:28th Aug 2008, 6:17pm
 

Wazahat Hazir hay.

Jesa keh main arz kya tha keh muje tab kissi college main BCS ki koe class nahi mily. to main ne 1997 main Govt. degree College One Unit choak BSc main addmission le lya. 2008 ki samar vacations main kuch local ivesters ne kuchh investment karke private Center banae. lakan College level pe abi tak es ko pzerae nahi mili thi. samar vacation se kuch pehle ya shaed samar vacation 2008 main Ateeq-ul-Rehman sahib ne Hamare college k Hostel main Computer Department banaya tha. Summer vacation main kuch shart course start hue phir PGDSE ki classes start hue theen. PGDSE k pehle group main mera Barha Bhae Jan b they. es ley muje pata hay keh Graduation level pe wo pehla group tha.

aur ek khas bat tab Govt. degree college ki Lab main sirf ek Computer pe internet allow tha. only main server pe.

agr private centers ki bat ki jae to 1999 k start main hamara apna b Center tha. Genious Computer center....

so mera kehne ka maqsad tha College level yaani Graduation level.

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:28th Aug 2008, 6:34pm
 

sahih hia

Wazahat qabool ki jati hia :) 
Sami144 Group: Members  Joined: 10th Jun, 2008  Topic: 13  Post: 546  Age:  37  
Posted on:28th Aug 2008, 6:44pm
 

thanks God

seemi jee thanks.

es pe main es ley zyada sure hoon kyun keh on dinoon jitne b computer center they taqreeban sare hi doston k they. aur main ne b PFDSE kya huwa hay. lakan ye aur bat hay keh amin Civil Engineering ko apna Future bana lya hay.

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:28th Aug 2008, 6:46pm
 

sahih hai

Chalein acha hi kiya jo aa ne Engineering ko apna field choose kiya.. Ab aap Pakistan ja kar sarkein tu bana sakein ge.
Sami144 Group: Members  Joined: 10th Jun, 2008  Topic: 13  Post: 546  Age:  37  
Posted on:28th Aug 2008, 6:49pm
 

hahahaahah

wo nobat nahi aae gi... main yahan hi setal hone ki koshash kar raha hoon. INsha Allah.
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:28th Aug 2008, 6:54pm
 

Sami bhai

Waisay apas ki baat hai,, Pakistan ki mojooda halat ki aik waja yeh bhi hai k brain drain ho raha hai.. tamam qabil loug mulk se bahar chalay jatay hein or peechay siyasatdaan reh jatay hein larnay k liye...

Koi Pakistan mein kaam karna pasand nahin karta.. Aik ALLAH ka banda Holland mein apni job chour kar aaya, Pakistan ko serve kiya or us ko jis tarah zaleel kiya gaya, woh bhi sab k samnay hai...

Mein tu plan kar rahi hoon wapas janay ka... Ab aap is ko bewaqoofi keh saktay hein lekin mein yehi manti hoon k Pakistan ki youth hi Pakistan mein change la sakti hai.

Aap bhi Pakistan aa jayein.. bahawalpur ki roads kafi tooti hoi hien. Aap kam se kam roads hi theek kar diya karna..
Ultra_Safe Group: Members  Joined: 12th Aug, 2008  Topic: 5  Post: 54  Age:  31  
Posted on:29th Aug 2008, 1:33am
 

i agree Hit man

HIt Man I agree... .....(yani paalto janwar nay hi apne malik ko das liya......)
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:29th Aug 2008, 1:36am
 

ultra safe bhai

I agree with you... (Palto janwar ne apnay malik ko das liya... Pak fouj ne apnay malik ko hi kaat liya)
Ultra_Safe Group: Members  Joined: 12th Aug, 2008  Topic: 5  Post: 54  Age:  31  
Posted on:29th Aug 2008, 1:37am
 

Geo sach nhi dekhata

Geo ki policy hamesha se hi galat rahi hia.... Geo hamesa Govt ke khelaf hi chalta raha..... Harkatey to aisey kartey hai Geo waley lagta hai in se accha kowee hia hi nahi:-j lekin sabjantey hai ARY Network is the best network not only in Pakistan all over the wold.

Geo Sudhar jao warna agla Kadam logo ka tmharey taraf hogaya.. log Siyasatdan ko kam or Geo ko galiyaa dengey...

1 2  >>
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012