Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Duties of Wife: Respect of Husband

Articles   >>   General Articles
 
 
Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1937  Age:   
Posted on:23rd Aug 2008, 5:13pm
 

Duties of Wife: Respect of Husband

Duties of Wife: Respect of Husband

Respect ki desire inherent hoti hai,laikin her koi es ko dainay ke liay readily willing nahi hotta.aap ke husband jab pora din ghar se bahir hotay hen tu bahot saray logon se contact me hotay hen.un me se kuch impolite aur insulting hotay hen jo ke person ko eventually upset kertay hen.jaisay ke aap un ki wife han tu wo aap se ghar me respect aur encouragement expect kertay hen.es se un ki raise hoti hui ego ko khatum kerain.

Husband ki honor aur respect aap ki value ko kisi bhi tara kam nahi keray gi,laikin ye energy aur better life ki struggle ke liay tendency provide keray gi.aap ko humesha un ko milna chahiay aur humesha greeting me aap un ko bahot respect aur deep admiration dain.jab wo talk kerain tu dermayan me interrupt mat kerain.courteous aur polite hon jab aap un se baat ker rahay hon aur un per shouting mat kerain.jab aap kisi se milnay ja rahay hon tu un ko pelhay meeting me enter hoonay dain,doseroon ke aagay un ki tahreef kerain.apnay children se apnay husband ki respect kerwayain aur ager wo apnay father ki teruf discourteous hon tu un ko sumjhayain.guest ke aagay un ko respect dain aur guests ke saath un ki needs ki teruf bhi attentive rahain.jab wo door per knocking kerain tu aap smile se door open kerain aur happy expressions dain.ye happiness ka small act itna effect rakhta hai ke ye man ki tired spirits ko refresh ker daita hai.kuch women soochti hank e ye behaviour strange hai.imagine kerain apnay husband ki greeting ko jaisay ke wo aik guest hon.ye correct attitude nahi hai because man pora din family ke well-being ke liay stugle kerta hai tu uss ko kuch consideration aur respect chahiay jab wo ghar return hotta hai.ye first greeting big impression create kerti hai aur jo kuch guest ke liay good hai wo family members ke liay bhi good hai.

Nabi(sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya:'woman ki duty ye hai ke wo door per call ka answer day aur husband ko welcome keray.

Imam Sadiq(AS) fermatay hen ke'wo woman jo apnay husband ki respect kerti hai aur ussay harass nahi kerti,wo fortunate aur prosperous ho gi'.

Nabi(sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya:aik wife husband ke hands wash keranay ke liay basin aur towel ko arrange kernay ke liay duty bound hai."

Nabi(sallallaahu alaihi wasallam) ne irshaad fermaya."ke ager main kisi ko doseray ke liay sajda kernay ka hukam daita tu aurat ko hukam daita ke wo khawant ko sajda keray".

Nabi(sallallaahu alaihi wasallam) ne irshhaad fermaya ke 3 logon ki namaz qabool nahi hotti aur na koi naiki ooper uthti hai,faraar hoonay wala ghulaam yahaan tak ke wo wapis apnay malik ki teruf  lotay aur apna haath un ke haath me rakh day,wo aurat jis ka khawant uss se naraz ho aur nashay wala jab tak hoosh me na aye".

Careful rahain ke husband ko humiliate mat kerain,un se harshly baat na kerain,un ko abuse mat kerain,un ke liay inattentive mat hoon aur un ko kisi obscene title se call na kerain.ager aap unhain offend kerain gi tu wo in return aap ki insult kerain gay.eventually,love aur trust ki spirit khatum ho jaye gi.consequently,aap dono ke constant quarrels aur arguments hon gay jis se divorce ho sakti hai.even ager aap aik saath rahain gay bhi tu life bahot saray turbulent moments se fill ho jaye gi.antagonism aur psychological disturbance ki feelings se couple's life hazardous ho jati hai jo ke crime ki teruf lead kerti hai.folloing stories aisay hi kuch points ko illustrate kerti hai:

"aik 22 year old man ne apni 19 saal ki wife ko tab mar diya jab wo uss se abused hua.court me uss ne kahaa:meri shaadi uss aurat se aik saal pelhay hui thi.begining me meri wife meray se bahot pyar kerti thi.laikin zyada time nahi hua tha ke wo change ho gayi aur uss ne mujhe humiliate kerna start ker diya.uss ne her possible occasion aur her smallest issue me mujhe per abusive language use ki,aur mera mazaakh uurwaya,meri left eye me squint ki wajja se wo mujhe "blind ass" bulati.aik din uss ne mujhe aisay hi bulaya ke mujhe ghussa ah gaya aur mainay uss ko 15 bar knuif se mara."

"aik 71 year old man ne apni wife ko mar diya aur explain kiya:'uss ke manners meray liay suddenly change ho gaye thay aur uss ne mujhe ignore kerna start ker diya tha.aik bar uss ne mujhe intolerable man kahaa."mujhe realize hua ke wo meray se pyar nahi kerti,main uss per suspicious ho gaya aur ussay axe se kill ker diya",.

Rasool Allah(sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya:"meri ummat ki auratoon me sub se afzal wo hai jo apnay khawand ke saath husn-e-salook se paish aye aur apnay khawand ki khowaish ke motabik fermabardari kerti rahay,siwaye in qamoo ke jo gunnah ke han.tu aisi aurat ko raat aur din me aisay hazaar shaheedoon ka sawaab milta hai jo khuda ki rah me saber ke saath shaheed hotay hen aur es ajar ki tawaqa khuda se rakhtay han".

Naik aur fermaberdar bivi ke liay jannat ki basharat hai.

Nsbi(sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya"aurat jab paanch waqt namaz parhay,ramzan ke rozay rakhay,apni sharum gha ki hifazat keray aut apnay khawand ka hukam maay tu jannat ke jis derwazay se chahay ander dakhil ho".

Nabi(sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya jo aurat es haal me mar jay ke uss ka khawant uss se khush ho tu wo jannat me poonch gayi".
Hypnatysm Group: Members  Joined: 26th Jul, 2008  Topic: 1  Post: 14  Age:  32  
Posted on:6th Sep 2008, 3:38pm
 

Sooth

Aap ney bohat acha Article likha hey,

Per Wife keh bhi kuch rights hein, aur aaj kal her Husband un ko pora kerta nazar nhi arha.


nikama Group: Members  Joined: 15th Oct, 2007  Topic: 47  Post: 1808  Age:  35  
Posted on:6th Sep 2008, 3:48pm
 

soooth..

  batain tu tumhari sari theek hain.. ya tu ho giya wife kee junnet ..

 husband kaisay junat main jayee ga.. i mean wat qulities he should have to secure his fortune

Goddi Group: Members  Joined: 12th Apr, 2008  Topic: 9  Post: 93  Age:  28  
Posted on:7th Sep 2008, 7:04am
 

Goddi

sooth aap ka ye article bhi acha hai...sooth ne kaha the ke wo ye articles duties of wife ko complete ker ke duties of husband start kerain gi.
Najma36 Group: Members  Joined: 20th Mar, 2009  Topic: 4  Post: 56  Age:  41  
Posted on:20th Mar 2009, 7:45pm
 

Very nice and very true

sooth sahiba..excellent article.I wish kay  girls schools aur colleges mein alag classes hon jahan unhai islami kay hawaly se sex eduction kay saath islam ki roshni mein aik husband ki farmabardar biwi banana skhiya jai aur islam mein shoher ka maqaam batana chahiye taa kay women apni merital life achhi guzaar sakain aur husband ki farmanbar ho ker gunah say buch sakain.

very good read.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:22nd Mar 2009, 5:21am
 

mard ki jannat

nikama

aurat k shauher ki khush.noodi haasil karkay jannat maiN aur oski naa farmaani karkay jahannum maiN jaaayegi .... jabkay

mard, apni mother ki khush.noodi haasil karkay jannat main aur oski naa.farmaani karkay jahannum maiN jaayegaa........... aik qareebul.marg shakHs ki jaan nahi nikal rahi thee aur woh sakht takleef maiN thaa. jab hamaray piyaray nabi saw ko yeh baat pata chali to aap nay oski maaN say raabitah kia. pataa chalaa woh maaN ka sakht naa farmaan thaa. aap saw nay maaN say safarish ki k beTay ko maaf karday..magar maaN nay yeh kah kar maaf karnay say inkaar kardia k iss nay sari zindagi mujhay tang kia hai maiN issay maaf nahi karsakti... tab hazoor saw nay lakRiyaaN jalakar allaa'o jalanay ka hukm dia takay iss martay howay shakhs ko jalaya jasakay... jab iss baat ki ittelaa oss aurat ko howi to oss nay kahaa k meray betay ko kiyoun jalayaa jaraha hai... hazoor saw nay farmayaa k iss nay jahannum ki aag maiN to jalnaa hi hai. lehaza kiyouN nah yahaaN hi jalaa dia jaye... yeh sun kar oss aurat nay apnay betay ko maaf kardia phir oski jaan easily nikal gayee.

yani yeh do rishtay etnay aham hain k aurat ki jannat /jahannum ka daromadaar oskay shauher say oski dealing par aur mard ki jannat /jahannum ka daaromadaar oski maaN say oski dealing par hai...

waisay shauhar k faraiz apni jagah hai... biwi bachoun k liyeh rizq kamanaa ibadat main shamil hai. aap saw nay farmaya k tum maiN say behtareen shakhs (mard) woh hai jo apnay ghar waloun k haq maiN behtar ho... biwi ki khushnoodi ki khaatir oss say be.zarar jhooT bolnay ki bhi hazoor saw nay ijazat di hai... aap saw nay farmayaa k aurtaiN kamaan ki maanind haiN... agar tum onhaiN (teer ki tarah) seedha karnay ki koshish karogay to onhaiN toR daalogay... agar onki (biwi ki) ki koi baat tumhaiN pasand nahi to oski bahoot see batain tumhaiN pasand bhi hongee> etc etc

shauher aur biwi dounoun k aik doosray par haqooq o faraiz hain magar shauher ka darjah boland hai etnaa k biwi ki jannat shauher ki khush noodi maiN rakh dee gayee hai.......... issi biwi ka darjah as a maaN boland kardia gaya hai aur iskay jumlah betoun (sons) ki jannat oskay qadmoun talay rakh di gayee hai.

lehaza mard ko apni mother ko nahi bhoolna chahiyeh aur biwi ko apnay shauher ko naheeN.. yehi Allah ka farmaan hai, yehi rasool Allah ki taleem hai. Allah hum sab ko amal ki taufeeq day. aameen

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:12th Apr 2009, 10:08am
 

a nice article by sooth

should be read n discuss.
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Student In Harvard University  How to take professional photography  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us