Final Days of Our Beloved Prophet MUHAMMAD (SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM)
Brings a tear to ones eyes!!!! ========= Final days of our Beloved Prophet MUHAMMAD (sallallaahu alaihi wasallam) The beginning of Beloved Prophet MUHAMMAD (sallallaahu alaihi wasallam) Sickness: Monday 29th Safar 11ah ko Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) Jannat Al-Baqee me janaazah me shamil huay.wapis aanay per raastay me Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ko headache start ho gaya,Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ka temperature itna high ho gaya ke turban per bhi heat effect ko feel kiya ja sakta tha. Though Aap(sallallaahu alaihi wasallam) sick thay but Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne phir bhi bimari ki halat me 11 days muslims ke saath guzaray.Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ke sick days total thirteen ya forteen thay. Jab Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ki sickness severe hoonay lagi tu Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne apni wives se poocha:"main kal kidher stay keroon?mujhe kidher stay kerna chahiay?"wo sub sumajhe gayien ke Aap(sallallaahu alaihi wasallam) kya chahtay hen.tu unhoon ne allow ker diya ke Aap(sallallaahu alaihi wasallam) jidher chahtay hen stay kerain.Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne lean position me Hazrat AISHA(RA) ke room me move kiya-jab ke Aap(sallallaahu alaihi wasallam) FADL BIN ABBAS(RA) aur ALI BIN ABI TALIB(RA) ki support se chal rahay thay. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne apnay feet ko drag kiya yahaan tak ke room me ah gaye aur phir udher Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne apni life ka last week spend kiya.es period me HAZRAT AISHA(RA), Al-Mu'awwidhat(Quran ki Suras 113 aur 114) read kerti rahein aur baki wo sub jo Aap (sallallaahu alaihi wasallam) ne unhain pelhay se sikhaa rakha tha. Five days before Beloved Prophet MUHAMMAD (sallallaahu alaihi wasallam) death: Wednesday ko,Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ki death se 5 din pelhay, Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ka temperature extremely high ho gaya jo ke aap(sallallaahu alaihi wasallam) ki disease ki severeness ki singnalling ker raha tha.Aap(sallallaahu alaihi wasallam) fainted ho gaye aur Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ko pain hoonay laga. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya that 7 Qirab(water skin pots) Aap(sallallaahu alaihi wasallam) per pour kerain. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) aisi jaga per baithay thay jo usually washing ke liay use hotti thi. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) per water pour kiya gaya untill Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya:"itna kafi hai.itna kafi hai." Phir Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ko itna acha feel ho raha tha ke Aap(sallallaahu alaihi wasallam) masjid me enter ho saktay. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) lean head ke saath udher enter huay aur menber(pulpet) per baith gaye aur un logon ko aik speech di jo udher jama thay:" Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya ALLAH ka curse jews aur christiens per ho ga kuin ke wo Prophet ke tombs ko worship ki places bunnatay hen.meri tomb ko worship idol mat bunnana". Phir Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne khud ko offer kiya aur logon ko invite kiya ke wo un injuries ka repay kerain jo Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne un logon ko di ho aur ye kahaa ke"wo jis ki back per mainay lash kiay han,main ussay apni back offer kerta hoon ke wo meray se revenge lay.jis ki honor ko mainay blaspheme kiya ho,main apnay honor ko offer kerta hoon ke wo revenge lay sakay". phir Aap(sallallaahu alaihi wasallam) menber se neechay uteray aur noon prayer offer ki.again Aap(sallallaahu alaihi wasallam) pulpit per wapis gaye aur udher baith gaye.phir Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne aik speech di.itnay me aik admi utha aur kahnay laga " Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne meray 3 dirhams dainay hen".Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya "FADL,uss ki money pay ker do".phir Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne Ansaar se regarding kuch advices dien.phir aap ne HAZRAT ABU BAKIR(RA) ko praise kiya ke ager unhain Allah ke bahd kisi se friendship kerni ho tu wo Hazrat ABU BAKIR(RA) ko choose kerain." Four days before Beloved Prophet MUHAMMAD (sallallaahu alaihi wasallam) death: Thursday ko,Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ki death se 4 din pelhay, Aap(sallallaahu alaihi wasallam) severe pain suffer ker rahay thay. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne sahaba se baatain kien aur 3 cheezain recommend kien 1)Jews,christians aur polytheists ko Arabia se expel kerain 2) delegations ko honour aur entertain kiya jaye jis tara unhoon ne kiya 3) jaisay ke narrator ke according wo bhool gaye hen but ye ho sakta hai ke Quran aur sunnah se adhere rahnay ya prayers ki performance aur slaves ki teruf attentive hoonay ki bhi third baat ho sakti hai. Uss Thursday tak, Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ne sari prayers perform kien.uss din Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne sunset prayer offer ker ke surah 77 recite ki. Uss evening Aap(sallallaahu alaihi wasallam) itnay sick ho gaye ke wo disease ke strain ko overcome nahi ker saktay thay ya wo masjid bhi nahi ja saktay thay. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne HAZRAT AISHA(RA) se poocha "kya logon ne namaz parh li hai".unhoon ne reply kiya"nahi,wo Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ka wait ker rahay hen."phir Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne kuch water mangha. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne wazu kiya aur uthnay ki koshish ki but phir fainted ho gaye.jab thora hosh aya tu poochnay lagay"kya logon ne namaz parh li hai"? Es hi tara ye 3 bar hua,jab wo fainted hottay aur phir uthnay ki koshish kertay.phir Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne HAZRAT ABU BAKR(Ra) ko fermaya that wo namaz ko lead kerain.phir HAZRAT ABU BAKR(Ra) ne namaz parhayi.unhoon ne Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ki life me 17 namazain lead kien. A day or Two prior to Beloved Prophet MUHAMMAD (sallallaahu alaihi wasallam) death: Saturday ko Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ko ye feel hua ke Aap(sallallaahu alaihi wasallam) itnay thiek hen ke namaz perform ker sakain.phir Aap(sallallaahu alaihi wasallam) 2 men per lean ker ke noon ki prayer offer kernay gaye.HAZRAT ABU BAKR(RA) jo ke namaz lead kernay hi walay thay ke unhoon ne Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ko dekha aur peechay ah gaye jab ke Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ne un ko ishara kiya ke wo stay kerain udher hi aur fermaya ke wo Hazarat ABU BAKR(RA) ke left side per baithain gay. Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ne phir namaz lead ki aur HAZRAT ABU BAKR(RA) ne unhain follow kiya aur apni voice ko her takbeer per raise kiya,so that saray people clearly hear ker sakain. A day before Beloved Prophet MUHAMMAD (sallallaahu alaihi wasallam) death: Death se aik din pelhay Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ne apnay saray slaves ko free ker diya,unhoon ne 7 dinars charity di jo un ke pass thay aur apnay weapon present ke tor per muslims ko day diay.tu jab night ayi,HAZRAT AISHA(RA) neighbour se kuch oil layien aur diya on kiya. Beloved Prophet MUHAMMAD (sallallaahu alaihi wasallam) Last Day: jab muslims Monday ko down prayer offer ker rahay thay-jis ko HAZRAT ABU BAKR(RA) lead ker rahay thay.tu wo surprised ho gaye jab unhoon ne Nabi(sallallaahu alaihi wasallam) ko HAZRAT AISHA(RA) ke room ke curtain uthatay huay dekha, Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne un ki teruf dekha ke wo sub properly aligned thay aur phir Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne cheerfully smile ki. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ko dekh ker HAZRAT ABU BAKR(RA) suff me ah gaye aur Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ko rasta diya ke Aap(sallallaahu alaihi wasallam) lead kerain,wo sooch rahay thay ke Aap(sallallaahu alaihi wasallam) bahir ah ker namaz parhana chahtay hen.muslims jo namaz parh rahay thay itnay zayada delighted huay Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ko dekh ker ke wo namaz me excited ho gaye. Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ne un ko aik ishara kiya ke wo continue rakhain aur khud room me chalay gaye. ALLAH ke Nabi(sallallaahu alaihi wasallam) next namaz ke time tak zinda na rahay. Uss din ke doraan Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne HAZRAT FATIMA(RA) ko call kiya aur un ko secret voice me kuch fermaya jis ne HAZRAT FATIMA(RA) ko rola diya.phir Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne kuch aisa whisper kiya ke HAZRAT FATIMA(RA) hansnay lagien. HAZRAT AISHA(RA) ne death ke bahd HAZRAT FATIMA(RA) se uss weeping aur laughing ke baray me enquire kiya tu HAZRAT FATIMA(RA) ne bataya ke pelhay Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne mujhe bataya ke Aap(sallallaahu alaihi wasallam) uss illness se recover nahi hoon gay tu main ronay lagi aur doseri bar ke Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ki death ke bahd family me first HAZRAT FATIMA(RA) un ki family se hoon gi jo unhain join kerain gi tu main hansnay lagi. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne HAZRAT FATIMA(RA) ko ye khushkhaberi di ke HAZRAT FATIMA(RA) jannat ki women ki sardaar hoon gi. HAZRAT FATIMA(RA) ne Nabi(sallallaahu alaihi wasallam) se poocha ke Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ko kitna sakht pain hai tu Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne jawaab diya"aaj ke bahd mujhe koi pain nahi ho ga". Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya ke wo HAZRAT HASAN(RA) aur HAZRAT HUSAIN(RA) ko layain. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne unhain pyar kiya aur fermaya in ka khayal rakhna. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya ke wo apni wives ko dekhna chahtay hen phir un ko laya gaya. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne unhain advice ki ke khuda ko yaad rakhain.pain itna severe ho gaya ke Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya"wo uss poison food ka effect feel ker saktay han jo ke unhoon ne khaibar me taste kiya tha,wo feel ker rahay hen ke death ah poonchi ho". Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne logon ko namaz adda kernay aur slaves ki teruf attentive rahnay ka order kiya. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne ye baat kitni bar repeat ki. Beloved Prophet MUHAMMAD (sallallaahu alaihi wasallam) breaths His last: jab death ke pangs start huay,Hazrat AISHA(RA) ne Aap(sallallaahu alaihi wasallam) apni teruf jhuka liya. ABDUR RAHMAN BIN BAKR(RA) miswaak ke saath aye. Hazrat AISHA(RA) ne Aap(sallallaahu alaihi wasallam) dekha ke Aap(sallallaahu alaihi wasallam) miswaak ki teruf dekh rahay hen. Hazrat AISHA(RA) ne Aap(sallallaahu alaihi wasallam) se poocha ke kya Aap(sallallaahu alaihi wasallam) miswaak chahiay. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne yes me nodded kiya.ye Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ke liay bahot hard tha tu Hazrat AISHA(RA) ne miswaak ko apnay saliva se soft kiya aur Nabi(sallallaahu alaihi wasallam) ke teeth me day di. Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne water container me haath dip kiya aur face ko wiped kiya saath fermaya"Allah ke siwa koi khuda nahi.death pain se full hai". Jaisay hi Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne miswaak ker li, Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ne apni finger ooper uthayi aur ooper ceiling ki teruf dekha aur lips move kiay aur dua parhi.most precious aur ALLAH ke choosen Prophet(sallallaahu alaihi wasallam) ne last breath liay. Ye Monday ko high morning time tha,12th Rabi-ul-Awwal 11ah.Aap(sallallaahu alaihi wasallam) 63 years ke thay jab Aap(sallallaahu alaihi wasallam) ka wisaal hua tha. 'Inna lillahi wa inna ilaihi Raajioon'.
|