5 Ways To Deal With Anxiety
5 Ways to Deal with Anxiety Her insaan ko time to time anxiety, nervousness,tension, aur stress ki feelings hotti hen.es ko manage kernay ke idher 5 ways likhay gaye hen. Note:jab anxiety aur worry extreme feel ho,ye anxiety disorder ka sign bhi ho sakta hai.jis ko anxiety sdisorder ho uss ke liay kisi health profestional ki care hasil kerna important hai.neechay di gayi tip bhi help keray gi,of course.but professtional treatment anxiety disorder ko shake kernay ka hi sahi teriqa hai. 1. Become a Relaxation Expert.hum sub soochtay aur jaantay hen ke hum kaisay relax rah saktay hen.but computer ya tv ke samnay chilling out kernay se sirf relaxation hasil nahi hotti(ye ke aap kya dekh ya ker rahay hen aap ko aur bhi zayada tense ker sakta hai).ye alcohol,drug ya tobacco ke liay bhi sahi hai-ye sub nazer aatay hen ke anxiety aur stress ko relieve kerain gay but ye false statement hai kuin ke ye relaxation temporary hai.body ko jo cheez asal me zuroorat hai wo relaxation technique hai-jaisa ke deep breathing ya tai chi ya yoga—ye mind per physical effect rakhtay hen.for example deep breathing major nerves ko relax kerti hai jo ke diaphragm se brain tak run kerti hen,aur poori body me message send kerti hen ke relx aur loosen up ho jao. 2. Get Enough Sleep,Nourishment, And Exercise.kya aap chahtay hen ke aap ka mind aur body peaceful ho aur itna strong ho ke aap easily life ke ups aur downs ko handle ker sakain?apni needs ke liay sleep ki right amount hasil kerain—bahot zayada bhi nahi aur bahot kam bhi nahi.Eat Well:long term energy ke liay sugar aur caffeine ki short bursts ki jaga fruits,vegetables,proteins aur grains select kerain.aur saath exercise kerain takay aap ki body ke her cell ko oxygen milay aur aap ka brain aur body best operate keray. 3. Connect With Others.family aur friends ke saath time spend kerain.work ke saath organized activities great hen,ye sub kernay se humaray bonds bhi deepen hootay hen,aur khud ko supported aur secure bhi feel kertay hen.aur es ke saath fun aur sharing humain happy kerta aur things ke baray me less upset kerta hai.ager aap kisi cheez ke baray me worry ya upset feel kerain tu kisi se baat kerain es baray me jo aap ki baatain soonta aur aap ki care kerta ho.es se aap better understand kerain gay aur aap ko cope kernay me help milay gi.aap ye remind kerain gay ke her kisi ke saath ye feelings kisi na kisi time hotti hen aur aap alone nahi hen. 4. Connect With Nature.park me walk kerna ya phir woods me hiking kerna aap ko peaceful feelings day sakta hai.(koi aisi jaga choose kerain jidher aap safe aur relax feel kerain aur apni surroundings ko enjoy kerain).apnay friends ya family members ko invite kerain aur un ke saath enjoy kerain picnic per jayain ya waisay thoray time ke liay hi outing per ya phir morning walk daily kerain. 5. Think Positive.apnay minds ko worry track se off rkhnay ka great way hai ke apni thoughts ko un things per focus kerain jo good,beautiful aur positive hoon.best wish kerain,best dream kerain aur best imagine kerain.
|