Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:20th Jul 2008, 5:07pm |
|
|
Hijab is an Attitude, not a Fashion
Hijab is an Attitude, not a Fashion Hijab wo nahi hai jo hum fashion ke torr per wear kertay hen,ye sirf aik clothing ka piece hi nahi.hijab aik attitude hai,aik thinking aur behaving ka way. Aisa bhi hotta hai jab women ne clothing ki hui hotti hai but wo itni transparent aur tight hotti hai ke es ke bawajood wo naked hi hotti hai that uss ko hardly hi hum clothing kah saktay hen.even ager clothing long ho aur saath ye tight aur figure hugging ho tu ye women ki shape ko reveal keray gi aur es ko hijab tu bilkul bhi nahi kah saktay. Hijab sirf head per scarf wear kerna nahi hai, es ka ye meaning hai ke aap apna poora awra cover kerain. Aik women ka awra uss ki full body hotti hai.uss ko apnay hairs,torso,arms,legs aur feet cover kernay chahiyain.her cheez ko cover kernay ka best way jilbaab/abaya wear kerna hai aur head per aik scarf.aur ye itna baggy aur loose honna chahiay that uss se aap ki body ki shape na show ho.wo transparent bhi nahi honna chahiay.kuch women niqaab bhi wear kerti hen jo ke face ko cover kerta hai,es ke saath often gloves bhi wear kiay jatay hen jin se hands ko cover kiya jatta hi. "aur believing women se kahoo ke apni gaze lower ker lain (forbidden things na dekhain), aur apnay private parts ko protect kerain (illegal sexual acts se) aur apni adornments ko show off mat kerain un ke ilawa jo apparent hoon (jaisa ke dono eyes jo ke dekhnay ke liay necessary hen, ya hands ki outer palms ya aik eye ya dress jo veil ho, gloves, head cover, apron), aur veils ko porri tara draw kerain (i.e un ki bodies, faces, necks, aur bosoms sub cover hoon)." Surah an-Nur 30-31. Women ko khud ko beautify nahi kernna chahiay jab wo bahir jaye, jaisa ke make-up kerna, perfume, ya wo shoes jo load noice paida kerain.make-up kerna aur perfume sirf husband tak hi reserve rahna chahiay,kisi bhi outside strange person ke liay nahi! Bahot sari western women sirf es liay khud ko bahot make-up me caked ker ke, perfume ke clouds me aur non-covering cloths me bahir jatti hen ke wo opposite sex ki attention apni teruf draw ker sakain. Jo mainay ooper mention kiya hai ke hijab aik attitude hai aur ye aik way of thinking aur behaving hai tu es ka meaning ye hai ke uss ko proper muslim women ki tara act kerna chahiay. Koi flirting nahi, men se casually koi baat nahi, zayada loudly baat na kena ( voice bhi awra hai)! Aik aadmi ko women ki voice attractive lag sakti hai) etc.humain khud ko humesha uss diginity per rakhna chahiay after all jab hum bahir world me jatay hen tu hum Islam ko represent kertay hen. Aisay logon ko bhi hum face kertay hen jo hijab ko nahi sumajhtay aur negative comments direct kertay hen aur aurat per staring kertay hen.lakin aap un peoples ko stare kertay huay eventually notice nahi kerti hen.aap hijab me confortable hoon gi.aap strong hoon gi.ye uss point ki teruf lay jaye ga jab aap ko hijab wear kernay ki habit ho gi tu ager aap kisi time hijab wear na kerain tu khud ko cloths ke ooper hijab ki coverning ke binna naked feel kerain gi! But hijab sirf women ke liay nahi hai.men ka bhi awra hai.un ke navel se knees tak( ye absolutely minimum hai, ye recommend kiya jatta hai ke men ko khud ko fully aur modestly dress kernna chahiay).un ko bhi apni gaze lower kerni chahiyain aur mens ko bhi tight aur revealing cloths nahi wear kernay chahiyain.so wo men jo ke aisay dresses ko wear kernay per insist kertay hen un ko again soochna chahiay! So, hum hijab kuin wear kertay hen? apnay husband ke liay? Mosque me peoples ko impress kernay ke liay ya waisay doseroon ko impress kernay ke liay that hum Islamic type log hen?Big NO.hum hijab ko ALLAH ko please kerny ke liay wear kertay hen, kisi aur ke liay nahi.
|
Seemi |
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3829 Age:
27
|
|
Posted on:20th Jul 2008, 5:15pm |
|
|
Sooth Baji Nice article.. you are right.. Hijaab is an attitude... to please ALLAH but some girls misuse hijaab to hide their bad activities.
|
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:20th Jul 2008, 5:25pm |
|
|
Soothy males aur females ko sochnay par majboor karne wala article.........nice work
|
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:20th Jul 2008, 10:15pm |
|
|
Hijab... Acha Article likha hai.. magar dekhne ma aayah hai k ajj kal Hijab wali Larkiyaan apna bad character chupaane k liyah bhi use kar rahi hain.. even prostitues...!
|
Seemi |
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3829 Age:
27
|
|
Posted on:20th Jul 2008, 10:28pm |
|
|
BS bhai Aap simply yeh likh detay.. agree with Seemi :)
|
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:20th Jul 2008, 10:32pm |
|
|
Seemi Baji Simply , I agree with Seemi :)
Abb khush.......! (lolzzz)
|
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:20th Jul 2008, 10:36pm |
|
|
soothy very nice article lekin BS & seemi sirf khawateen hi is ka misuse nahi karteen balke humare muashre main jo hijaab karti hain un ka jeena male waise hi dushwar kar dete hain kyun k unhen har khatoon ko dekhne ka shoq bohat hota hae aor kabhi peshawar jao to un ki khawateen to sir se paon tak dhaki hoti hain aor baqi khawateen ko woh aise dekhte hain jaise un ka postmartam kar rahe hon. |
Seemi |
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3829 Age:
27
|
|
Posted on:20th Jul 2008, 10:42pm |
|
|
Maryam Baji Aap ki baat bilkul theek hai.. Pathan hazraat ka bas chalay tu apni khawateen ko tu Sulemani topiyan pehna ke rakhein or dosri khawateen ko is tarah dekhtay hien jaisay un ke ankhon se X-Rays nikalti hien.....
lekin yeh zaroor kahoon gi... k pakistan mein especially Karachi mein Abaya or Hijaab use karnay wali larkiyan khod ko ziada protect or comfortable feel karti hien as compared to without Hijaab.... Abaya pehnay howe larki agar khod kharab nahin hai tu us ko tang karnay ke waqaiyaat ki ratio kam hoti hai.. Waisay Abaya use karnay ka sab se bara faida parents ko hota hai :).... Har roz new suite pehan k janay ki bajaye 2 3 din aik hi suite chal jata hai :)
Thanks BS bhai for agreeing with me.... :)
|
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:20th Jul 2008, 10:46pm |
|
|
Agree with Seemi Baji.. again and again... Karachi k Larkey Hijab Karne wali Larkiyoun ki buhat izzat karte hain... magar shart yah hai k woh Hijab Gunahoo per pardah dalne k liya na liyah gaya hoo... :)
Seemi-Baji app bhi Bewaqoof Bahi ki tarha din ba din chalak hote jaa rahi hain... Kahein Chocolate ka koi New Flavour aayah hai kya... (lol)
|
Seemi |
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3829 Age:
27
|
|
Posted on:20th Jul 2008, 10:56pm |
|
|
BS bhai aap ki baat se mein sehmat hoon. Karachi mein Hijaab karnay wali aik shareef larki nisbatan mehfooz hoti hai....
BS bhai, aap mujhay Bewaqoof bhai se compare kar ke gunahgaar kar rahay hien.. Woh ziada achay insaan hien, with solid and mature thinking... Mein tu bas un se larayi hi kar sakti hoon but un ke ilm or azmat ka aitaraaf karti hoon. Waisay aaj kal mein ne choclate ka flavor change kiya hai... Australian made Cadbury ki white choclate kha rahi hoon :)
|
pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:21st Jul 2008, 10:08am |
|
|
hmm Good topic, and actually I was planning to start one in these days.
seemi:
U have done a good job in Mutta post by raising many ques to create interest for ppl. I request u to also do the same thing here. I have some interesting things to share and will do it as I get time. However, my request to u is that bring on some basic ques and concerns with new twist to get ppl here. Also talk about it on international level where we have totally a different perspective about hijab.
thanks |
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 184 Post: 6346 Age:
35
|
|
Posted on:21st Sep 2010, 9:13am |
|
|
Hijab is an Attitude, not a Fashion very good article by sooth
|
k_bluesea1 |
Group: Members Joined: 07th Nov, 2012 Topic: 0 Post: 1 Age:
25
|
|
Posted on:10th Nov 2012, 3:50am |
|
|
hijab Asalamoalikum please tell me k auraat pe hijaab kon se age se wajib hojata hai ?? like in 7 8 ages ?? |
shehzadJii |
Group: Members Joined: 21st Nov, 2012 Topic: 0 Post: 3 Age:
28
|
|
Posted on:21st Nov 2012, 4:25am |
|
|
is not hijab making women weak?? I think its twentieth century and we should realize that if we want to
make progress then we must get rid of these rubbish and old things. How
hijab making women confident. Just because she is hiding her identity
from the people. Strange logic. On the other hand i feel the opposite
this not only give the impression of woman coward, timid, u-nconfident
but pretty much awkward too.
|
|