Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Love: Is It A Mental Problem?

Non Medical Discussion   >>  Romance and Love
 
 
 
adnan3925 Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 6  Post: 42  Age:  33  
Posted on:19th Nov 2007, 6:54pm
 

haan ap waqia m paagl hain

yaar q larki q peech time kharaab kr raha he pehlay apna future buna fir larkiyaan hee larkiyaan honi..yeh sirf waqti tor ka love hota he..usl zindagi ka maza tab he jab ap ke pas zaroorut ki her cheese ho or fir ek achi wife ho to zindagi guzaarne m bhi maza aaega..

sumjhe paagl

uddas Group: Members  Joined: 15th Nov, 2007  Topic: 2  Post: 4  Age:  30  
Posted on:20th Nov 2007, 9:46am
 

tumhary maslay ka hal.

kasise ho paree.

app kay maslay ka hal bohat aasan hai tum .

Namaaz parna shuru kar do . <(_!_)) ki ebadat ess tarha karoo jaisay tum us ko dekh rahi ho . or phir dekhna . yeh jitnay masail hain confirm

door ho jayen gay. advice app ko dai de hai or amal karna app ka kam hai. very very tack care of ur self.

Bunty78 Group: Members  Joined: 22nd Jul, 2007  Topic: 26  Post: 255  Age:  27  
Posted on:20th Nov 2007, 9:56am
 

pari

mujhe josh aur beauty star ka reply na sirf pasand ayiya balke main bai yahe kahwo gaee ka aap asee per goor keraee.

aap pagal nahi hain balke muhabbat main pagal hain .... muhabbat toa barwo barwo ko badal dayite hain aur first love asane sai jan nahi chorta. possible ho toa shadi ker lo asee sai.

josh: aap kaee korbani wali baat perh ker mujhe apna bhai yaad aah giya woai bai asee kerta hain

Bunty78 Group: Members  Joined: 22nd Jul, 2007  Topic: 26  Post: 255  Age:  27  
Posted on:20th Nov 2007, 10:06am
 

pari

pari aap sub sai pehle ya batawo ka woai larka aap sai piyar kerta hain ya nahi .... kia aap donwo kaee shadi ho sakte hain ya koee complication hain ... aap asee kisia jante ho ...

dekhwo pari shadi ho bai jaee phir bai ya baat ka woai aap kaee her baat mane possible nahi hain ... let say shadi ka baad asee aik raat office main rahna perhta hain ya kuch bai aisa ......  ya koee asee kaee collegue asee sai baat kerte hain ..... wht u will think about him ..... ofcourse aap kaee ya adat aap ko negative thinking daee gaee jo before marriage and after marriage bore hain....

agar asee ka milna mushkil aur bholana mushkil hain toa phir dua kerwo ka woai tumhe mill jaee kyon ka phir ho sakta hain tumhare dua rang laee ayee lakin apnee thinkinh change kerrwo

Bunty78 Group: Members  Joined: 22nd Jul, 2007  Topic: 26  Post: 255  Age:  27  
Posted on:20th Nov 2007, 10:07am
 

pari :see an example like u

see an example like u : --
Bunty78 Group: Members  Joined: 22nd Jul, 2007  Topic: 26  Post: 255  Age:  27  
Posted on:20th Nov 2007, 10:10am
 

http://forum.noorclinic.com/thread.php?topic=4543

--

main jub bai kisia thread main link post kerte howe woai display kyon nahi hota whats wrong with the forum board

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:20th Nov 2007, 10:55am
 

Kuchh arsay k liye us say door ho jao!

Pari: asal mai aap kafi carering larki ho, apnay aap ko thora sa careless kar lo, thora sa zalim, thora sa proud, jo apki parva na karay ap bi uski parvah na karo... insani fitrat hai k agar koi cheez insan ko asani say mil jaey to uski kadar nai hoti, or jo na milay uskay peechay bhagta hai,,, dunia mai bohat say aisay husband hain jo apni bv say zulam kartay hain buray tareekay say bat kartay hain jabkay dosri orton say bohat achay tareekay say bat kartay hain.. Similarly bohat si khavateen bi hain jinki achay insan say shadi ho jati hai lekin phir bi apnay puranay lover ko yaad kar k roti rehti hain, (yani bewafaee dhoka or nashukri)...
 
ap us larkay k peechay bhag rahi ho, or wo apsay utna hi door ho raha hai,, mera mashwara hai k aap us say door ho jao.. or dekho k iska kia reaction hota hai.. ..

or shadi usi say karna behtar hota hai jo apko pasand karay ,, us say nahi jisay ap pasand karti ho..

or mera to khayal hai k aisi dua bi na karna k tumhari shadi usi say ho jaey,, agar dua karni ho to ye dua karo k agar wo mere liye behtar hai to hi meri us say shadi ho warna Allah usay tumsay door karday.

mai Rizwan ki is bat say agree karta hon insaan jo baat baar baar  dohrata hai wo us ke mind pr aser karty hai.

beautystar thanks for your appreciation lekin yar is thread mai itni innocent batain ho rahi hain or tumnay is mai pehli post bari galat kar di..

Rizwan++ Group: Members  Joined: 15th Nov, 2007  Topic: 12  Post: 243  Age:  25  
Posted on:20th Nov 2007, 3:30pm
 

teesra mashwara

Pari sub members itne ache ache mashware day rahay hain. app ki problem INSHA-ALLAH Zarror hal ho jai gi.

  Is page par sub se pahlay Adnan bhai ne post kia. un ko me sirf itna kahon ga ke ager hum sub pagal yahan apna time kharab kar rahay hain aur jo unhon ne mazeed batain kahin un ko ager sirf yahi likhna tha to wo is forum par Register kiun hoi. unhon ne kiun apna time kharab kia.

  Uddas ne buhat achi baat ki namaaz wali. lekin bhai namaaz ke sath sath hamain apni problems ka hal bhi to talash karna chahye. dunya main kon sa aisa Muttaqi aur parhazgar insaan tha ya hai jis ki koi problems na hon?

  Bunty ne bhi buhat achay mashwarey diyay aur buhat acha point raise kiya ke app use kaise janti hain.is ka jawab zaroor daina.

  Josh bhai Thanx ke aap ne mujh se agree kia.

ab aap in tamam mashwaron par amal karain ke Namaaz parhain, us ko ignore karne ki koshish karain aur aap pagal nahin hain. ager kisi bhai ya behan ka mashwara main ne nahin likha to bura na manna. sub ke suggestions buhat achay thay. aur zahir hai main ye kahna to shaid bhool hi nahin sakta ke mere mashware par zaroor amal karna.

   

pari12 Group: Members  Joined: 17th Nov, 2007  Topic: 1  Post: 10  Age:  27  
Posted on:20th Nov 2007, 6:17pm
 

thank you all

aab main esa hi keroon gi nahi keroon gi baat uff leken kethna mushkel kaam hian nan meri sab se bari problem ye hain ke main bohut care kerthi hoon bas ye adath na ho nan peir main fit hon

so done i m not gonna talk to him anymore

main kesay janthi hoon batana zarori hain :P well hum net pain melain peir main pak gayii or setting ki:P i know sound funny but i love him n he loves me too :( ager woh pyar nahi kertha tho woh apni mom ko grandmom ko koi batatha meri baat bi howi hain onlogo se

Adnan bahi main bi apni friends pain hasthi thi ke yaar main pyar vyar ke chakar ko nahi manthi sab bakwas hain leken aab jab khud pans gayii hon tho pata chal raha hain :)

peir thanx kehna chahoon gi aap sub bohut great ho thanx for helping me :)

 

pari12 Group: Members  Joined: 17th Nov, 2007  Topic: 1  Post: 10  Age:  27  
Posted on:20th Nov 2007, 6:19pm
 

agree with u uddas

InshaAllhah zarori keroon gi kerthi tho hoon leken 5 timz nahi :(

 

anum Group: Members  Joined: 24th Sep, 2008  Topic: 2  Post: 77  Age:  29  
Posted on:11th Dec 2007, 1:52pm
 

RE TO PARI

PARI i will honestly sugest u that plz try to forget him bcoz same prblm is with me as with u with little bit difference..i will discus later with u in detail.
pari12 Group: Members  Joined: 17th Nov, 2007  Topic: 1  Post: 10  Age:  27  
Posted on:13th Dec 2007, 3:59pm
 

Re anum

waiting anum
waqas Group: Members  Joined: 16th Feb, 2007  Topic: 0  Post: 1  Age:  28  
Posted on:13th Dec 2007, 4:33pm
 

Pari don't give him importance.

hi pari.

u must don't give him importance bcoz agar koe insan kise dosray insan ko bohat zayada cahta hai to dosra insan khud ko kuch alag he mehsos karnay lagta hai. k na jane muj main aisa kaya hai jo woh muj ko etni importance deti hai.

 & MOST IMPORTANT.

5 waqat ki NAMAZ parha karo. tumhara zehan khud ba khud thekk ho jai ga jo k sirf or sirf tumharay fazol qisim ke batain sochnay say kharaab ho jata hai. take care frnd

 

anum Group: Members  Joined: 24th Sep, 2008  Topic: 2  Post: 77  Age:  29  
Posted on:13th Dec 2007, 10:47pm
 

RE TO PARI

pari aik esa insaan hy jis se mein bahut pyar krti hon but he always become proud he think that he is someone most special aur sochta hy that aur bahut sari lerkiyan uss per marti han koi bhi uss se pyar kr sakta he can get everything in life without effort bcoz he is perfect infact he never gave any importance to me.jab tak mein uss k sath achi rahi wo mujhey ignore krta raha then i change myself shahid wo badal jaye but uss k dil me thori nermi ayi lakin zayada kuch nahi.mein roti thi jab mujhey uss shaks ka khayal ata tha bcoz mein uss se sucha pyar krti thi aur uss ko kabhi meri perwa nahi thi kuin k mera pyar usey easily mil raha tha.meri condition same to same tumhari tara thi aur mein bhi sochti thi whether i am going wrong are write.kiya maney positive sochna chohr diya hy aur kiya mein mentaly ill hon.mein sirf uss insaan ko sochti thi aur mujhey koi yaad nahi rahta tha na wo mujhey bhoolta tha na hi mein usey chohr sakti thi.uss ny meri feelings k sath game khalni shuro kr thi,mujhey luga jasey mein usey jitna pyar krti hon utna wo mujhey ignore krta hy aur meri feelings ka mazakh urata hy.mein fazool me khud ko mentaly torture krti thi.maney usey apnay mind per sawar kr liya tha.each time i try that mein usey bhool jayon but berhi mushkal se maney khud ko es condition se baher nikala.
anum Group: Members  Joined: 24th Sep, 2008  Topic: 2  Post: 77  Age:  29  
Posted on:13th Dec 2007, 11:19pm
 

RE TO PARI

pari josh and other members r saying u absolutely right that jo tumhari parwa nahi krta uss ki tum parwa na kro thora proud thora careless ho jao werna her koi tumharay sath esa hi kray ga.zindagi esay hi guzerti hy.khud ko khush rukha kro uss insaan ko bhool jao jitna positive socho gi life achi guzeray gi.aaj kal jasa time ja raha hy tu tum kisi se scha espect mat kro like kisi ko tum se pyar ho,koi tumharay sath bahut acha ho,her koi tumhara khayal rukhay esa koi bhi nahi hota.apnay ander confidence pada kro dunia ka moqabla krna sikho khud ko itna bold kr lo that koi tum ko harm na kr sakay.hv u read it before that think urself higher becoz world takes u at ur estimates.jasey tum aur maney kiya hy ager esay life guzarni shuro kr dan to shahid zindagi ki her stage per hum dunia ka moqabla na kr skan and abhi tu humari pori zindagi baki perhi hy.abhi life me sikhnay ko bahut kuch hy.kisi ko itna moqa mat do that wo tumhari koi baat kr sakay.sari dunia tmashahi ki tara hoti hy kisi ko kisi se koi humdardi nahi.insaan insaan ko kha raha hy esay lugta hy jasey jungle me rah rahay han.kabhi kabhi mein rab se pochti hon ya Allah tu ny hum ko kis dunia me aur kis tara k logon me dal diya hy.ghar se baher niklo gy tu humesha soch lo jasey koi tumhara bhala nahi soch sakta koi tumhara humdard nahi hy.khud apni dost,apni raazdar buno aur khud se pyar kro bcoz life me koi bhi rishta ho even the close relations whether it is of parents,wife,husband,brother,sister,daughter sub ko aik hud me rukhna zurori hy aur khud ko sahi aur straight 4rwd rukhna,doseron ko limits me rukhna aur apnay personal matters me kisi ko interfere na krnay dena bahut zurori hy.aur es sub me aik baat ka khayak rukhna that tum se kuch esa na ho jis se tumhara rab naraz ho.achay sub k sath raho lakin apni personality berqarar rukho.aaj kal life esi ja rahi hy that kisi se kuch bhi espect kiya ja sakta hy.achay log bhi hotay han lakin water me salt k beraber baki sud selfish ppl han kisi ko kisi ka kuch khayal nahi her koi apnay liay jita hy aur jo tumharay apnay han un ki qader kro like parents,brothers,sisters etc un ka khayal rukho kisi ko un ki koi baat na krnay do aur apnay character ko itna strong kr lo that koi tum per ungali na utha sakay her koi moqay ki talash me hota hy.
anum Group: Members  Joined: 24th Sep, 2008  Topic: 2  Post: 77  Age:  29  
Posted on:13th Dec 2007, 11:44pm
 

dear pari PLZ READ ALL THAT I WROTE

kuch baatan esi hoti han jo insaan ko khud se bhi chupani hoti han so tum kisi se pyar krti ho kisi ko mat batao even not to ur frients and any close relations u know itni zalum dunia hy pyar ko bhi ghalut aur gunnah sumjha jata hy.future life me kaheen tara ki prblms ho sakti han,her kisi ki thinking bhi aik tara nahi hoti her koi positive bhi nahi lata bayshuk tum sahi ho lakin dnia bahut kherab hai.jahan tak mera experience hai tu mein tum ko wohi bata rahi hon jo mujhey es dunia me nazar aya.further more i will suggest u 5 time namaz perho,honestly suchi namaz aur apnay rab se dua kro that tumharay liay bahter kray.uss se wo insaan na manghna kuin k insaan ko kuch nahi pata hota that uss k liay sahi kiya hy.apnay rab se her qaam me madat mangho bcoz sub se berha madat krnay wala hy.apnay aap ko uss ki hifazat me day do dunia ki koi cheez tumhara kuch nahi bigaar sakti logon ki parwa mat kro wo jo kuch kahan un ki baaton ko lay kr zayada socho mat hah ager tumhan lugay that tum kahin ghalut ho tu khud ko sahi kro.lerkiyon k liay sub se bahter ye hy that apni feelings ko ander rukhay kuin k dunia kuch nahi sumaajh sakti sub bayhis insaan han.Allah se aik dua zuror mangha kro jo humarey nabi(SAW) mangha krtay thay that ALLAH JO KUCH MANEY KIYA USS K SHUR SE,JO MANEY NAHI KIYA USS K SHUR SE,JO MEIN JANTA HON USS K SHUR SE,JO MEIN NAHI JANTA USS K SHUR SE,TAQDEER K SHUR SE,AMIRI K SHUR SE,GHARIBI K SHUR SE,LOGON K SHUR SE,BATUL(SHATAAN) K SHUR SE AUR BAKI HER CHEEZ K SHUR SE MUJHEY APNI PANA ME RUKH BCOZ USS KI HIFAZAT AUR PANA SUB SE BERHI HY.AIK AUR DUA K ALLAH MUJHEY WO SARI BHALAHIYAN ATA FERMA JO TERAY NABI NY TUJH SE MANGIEN AUR UN SUB CHEEZON SE APNI PANA ME RUKH JIN SE TERAY NABI NY PANA MANHIEN AUR MUJHAEY NAKI KRNAY KI TOFIQ ATA FERMA AUR BURAHI SE BUCHNAY KI TAQAT ATA FERMA.(AAMEEN)
pari12 Group: Members  Joined: 17th Nov, 2007  Topic: 1  Post: 10  Age:  27  
Posted on:24th Dec 2007, 12:44am
 

Re anum

thank you sooooooooooooooo much

mera dil bohut halka hogaya hain bohut hi zyada

thanx thanx thanxxxxxxxx :)

Anum Allah karey aap ki her jahez morad porii hooo ameen baki sab ki bi :)

 

shehzadinc Group: Members  Joined: 24th Dec, 2007  Topic: 0  Post: 13  Age:  26  
Posted on:24th Dec 2007, 1:51am
 

love

anum or pari muje tum dono boht achi lagi ho.

agreed with anum and josh.

rizwan veer bunty josh ap sab boht achy ho.
pari mere liye bi dua ki ha na warna ma apko deevaro ma chunva dongi hheehe

your friend
SHEHZADI

anum Group: Members  Joined: 24th Sep, 2008  Topic: 2  Post: 77  Age:  29  
Posted on:25th Dec 2007, 1:50pm
 

re to pari

pari aap tu insaan ka dil jeet lati han.can we be friends.kash hum yahoo id se chat ker saktay es site per tu email id dena bhi allow nahi hy.thnx for ur prayer.lakin aap ki ye sister aap ko aap k her achay kaam me good luck kahti hy.dear pari Allah kray aap humesha khush rahan.aameen
anum Group: Members  Joined: 24th Sep, 2008  Topic: 2  Post: 77  Age:  29  
Posted on:25th Dec 2007, 2:09pm
 

dear pari

acha aap ny un ko ignore ker k dekha hy kiya un me kuch change aya hy?yah phir aap un ko bhoolnay ki koshish ker rahi han?pari this is single site jis per mein apni feelings express ker sakti hon.mein kisi ko kuch bhi nahi kah sakti un ko bhi nahi kuin k wo mujhey nahi sumajhtay.ab bhi jab wo mujhey yaad atay han tu mein rona shuro ker dati hon.mujhey khud per ikhtiyar nahi hy mujhey ye bhi pata hy that meray liay un ko hasil krna impossible hy.i can just think him.aap tu un ko sub kuch bata bhi sakti han but jab mein kuch kahon tu wo wrong sense me latay han phir mein ro dati hon.meri koi sister bhi nahi hy mera dill krta hy mein kisi se sub kuch kahon lakin mein sub kuch apnay ander rukhti hon.mein kisi se kuch nahi kahti dunia ko pata chulay tu dunia mazakh bunna lay.wasey bhi abhi meri sari future life baki hy tu mujhey es se bahud me prblms bhi ho sakti han.

1 2 3  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013