pari12
|
Group: Members Joined: 17th Nov, 2007 Topic: 1 Post: 10 Age:
27
|
|
Posted on:17th Nov 2007, 1:33am |
|
|
kya main pagal hoon? I love someone bohut hi zyada kya pyar wakaii exist kertha hain ya peir main Aik mentally ill hon. main chahthi hoon main bas seraf wahi keroon joh who chahtha hain haar bora or acha kaam kuch kamm ker bi choki hoon.mujey bohut gussa atha hain jab who serious shakal banye ya gussa karey ya naraz ho ye baat tho bardash hi nahi hothi peir main bohut thakleef daythi hoon apney aap ko jab dard hotha hain thab sochthi hoon kion main roh rahi hoon onke liye?. woh busy hothey hain or ager 5 days ke baad bi mujh se baat na karey tho main chircheri hojathi hoon rohthi hoon or bohut hi gussa atha hain study pain concentrate nahi ker pathi or onse jealous bi hothi hoon ke woh kethna lucky hain main onko kethna chahthi hoon woh kion nahi feel kertha esa. Mujey laga main onse pyar nahi kerthi or main onke bagher reh sakthi hoon ye tho bas attract ker gaya hain es waja se main ne onko bataya bi nahi kahi saal thak leken main kisi or ke barain main soch hi nahi pahthi thi na aab soch sakthi hoon bohut koshesh ki leken nahi mujey araam in insaan se hi meltha hain leken pareshani wali baat tho ye hain ke mujh ko badsakoni bi in insaan se melthi hain joh bohut hi thakleef deh hothi hain eswaja se kabhi kabar lagtha hain ke main pagal hoon main kion oski or apni life barbad ker rahi hoon main kion chahthi hoon woh wahi karey joh main chahthi hoon esa tho nahi hosaktha ke koi tumhari har baat manley main khud bi har baat nahi maan pathi kisi majbori ki waja se jab who meri baat na maney tho mere brain main ajeeb ajeeb khayalath ane lagthey hian mujey lagtha hain woh mujh se bore hogaya hain mujey chortha peir kion nahi ? kabi main sochthi hoon ager osne chora tho main onko or onki family ko mardaloon gi Bas apni inhi adatho se lagtha hain ke main pagal hoon or depress rehthi hoon plz onko batayiii na ke woh naraz na rahey gussa na karey onki ye 2 adath meri zindagi ko barbad ker rahi hian
PLEASEEEEEEEE mujey kuch esa bataye ke mujey sakoon melay main life enjoy keroon kisi ki bi parwa na keroon or ye bi ke mere sath koi mental problem tho nahi hian?
Plzzzzzzzzzzzzz only doctor reply |
khan_80
|
Group: Members Joined: 09th Mar, 2007 Topic: 8 Post: 2604 Age:
33
|
|
Posted on:17th Nov 2007, 6:55am |
|
|
re: pari12 plz write ur problem briefly. Its difficult to read such a long post. |
zam123
|
Group: Members Joined: 15th Nov, 2007 Topic: 3 Post: 16 Age:
32
|
|
Posted on:17th Nov 2007, 7:44am |
|
|
Listen carefully pari12 I'm also in love with a girl. My feelings are just like you.
Is main tumhari koi problem nahi. This is natural. As far as I analyze, in our society true passionate love is a psychological disease. You want to do nothing and just keep thinking about your lover all the time everywhere.
If you want to live a happy life along with your love, meet a psychiatrist. Only he can solve your problem. People here arenot psychiatrist. They are just like you and me.
|
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:17th Nov 2007, 9:16am |
|
|
no you are not! zam u are a nice member of this forum and i have read some of your posts.. from the new members i like zam dot pinky and few other new members who are guiding people in a better way.
zam Although we are not doctors we are not psychiatrists but it is not necessary to be a psychiatrist in order to advice someone. merey bhai ye aisay hi hai k koi problem ho to ham apnay kisi dost say wo bat share kar lain to thora relax ho jatay hain,, similarly, ham sab ,"dost bhen bhai" hain yahan par , to ham apni problem share kartay hain to i am sure k thora bohat acha feel karnay lag jatay hongay jab koi bi yahan apni problem likhta hai ,, likhnay k liye sochna parta hai ,, likhtay likhtay hi insan ko apnay ap ko samjhnay mai asani ho jati hai.. ye forum samjhain aik diary hai ,, yahan par kisi nay koi baat likhi , to likhtay likhtay hi uski thori si problem solve ho jati hai or wo behtar tor say apnay ap ko or apni problem ko samajh sakta hai, agar koi galti karta hai to usay samajh lag jati hai k ye mai galati kar raha ho,,, phir baki members as freind bro sis jab reply kartay hain to kafi had tak satisfaction ho jati hai bohat say logo ki,,,,,,,,, or ye be theek hai k psychiatrist k pas bi jana chahiye agar kisi ko koi ziada problem hai , koi ziada depressed hai...
pari u are normal ,, pyar mai aisay hi hota hai. is liye behtar yehi hai k pyar shadi k baad kia jaey. lekin apko apnay andar thora sa hosla or sabar lana hoga , , bcoz aisa possible nai k jis say mohabbat ki jaey wo har time apki hi baat manay ,,, pyar denay ka naam hai , sacrifice karnay ka naam hai,,, sacrifice in a legal way ..... shadi k baad apka pyar apka husband hi hoga or ye zaroori nai k wo apki har bat manay ,, sometime wo manay ga or sometime apko man-ni paray gi... shadi say pehlay pyar kia jaey to ziada tar pareshani hi milti hai.... shadi k baad sab theek ho jaeyga ,, behtar hai k ap apni tavajja kisi achay kaam mai divert karain ... i replied you as friend and brother, may be some dr. will reply u too. |
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4718 Age:
30
|
|
Posted on:17th Nov 2007, 10:20am |
|
|
My Reply" main koi doctor to nehin aur na he main es kabil hon ke kisi ko koi mashwara de sakhon kyun ke khud ko to main de nehin sakha khair
pari12 main aap ko yeh kahon ga ke aap bilkul theek hon bas aap ko pyar ho giya hai os se es ka bethar hal yeh hai ke aap os ko sab kuch bata do jo kuch aap apne mind mein sochti ho woh os se share karo aur os ko batao ke jab woh naraz hota hai to mujhe acha nehin lagta etc...os ko apni feeling batao
then aap theek ho jao gi aur koi tention nehin ho gi enjoy karo gi
aap ka masla yehi hai ke aap apni feeling apne tak rakh rehi ho os se share karo ta ke os ko bhi to pata chale ke aap kis tarhan ki ho ok take care Allah hafiz |
pari12
|
Group: Members Joined: 17th Nov, 2007 Topic: 1 Post: 10 Age:
27
|
|
Posted on:17th Nov 2007, 12:42pm |
|
|
mere sath ye kion horaha hain ? leken main ne khud tho pyar nahi kiya hain hogaya hain or onko meri baat mani chayii na naraz rahey na gussa karey kion ke meri porii zindagiii hi es 2 batao pain depend kerthi hain main ne onko bataya hain ke esa na kero leken woh peir kerjatha hain :( |
josh
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:18th Nov 2007, 4:14am |
|
|
mohabbat ki nahi jati! mohabbat ki nahi jati mohabbat ho jati hai.. pari mai jab chhota tha to qurbani k liye bakra lenay ka shok hota tha to ham log 1 month pehlay ley letay they,, or itna time uskay sath guzarnay k baad sometime Qurbani k time meri ankhon mai ansu aa jatay they... usay kho denay ka dukh hota tha..... to aisay hi apkay sath bi hai. abi ap sirf 21 years old ho, wakt guzarnay k sath sath insan bohat kuch sikhta hai,, aur har naye anay walay saal mai jab ham purani batain yaad kartay hain to hamai pata lagta hai or sometime hansi aati hai k pehlay mai ye karta raha ,, aisay hi wakt guzarnay k sath sath or shadi k baad ap mai bohat change aye ga... ap jisko pasand karti ho , agar possible hai to us say shadi kar lo ,, lekin agar us say shadi kisi waja say nai ho sakti to phir behtar ha k ahista ahista us k baghair rehnay ki adat dal lo , warna future mai bohat problem ho sakti hai... or din mai kisi bi time 5 , 10 minute pursakoon mahol mai baith kar apnay baray mai socha karo,, k aj kia kuch kia , kia galat hua or kia sahi hua , kia kar dia or asal mai kia karna chahiye tha, is say apki personality mai bohat acha change aye ga.. |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:18th Nov 2007, 6:52am |
|
|
Pari + Josh as'salam - O - Aluikum ,
Good Question Brother.
It might be important for men's pleasure, but for women's sexual
pleasure is it necessary that the man moves his penis backwards and
forwards inside vagina?
More simply, If a man enters penis into vagina and keeps it still there, will it still sexually satisfy the female?
Well , its upto the couple ... Man can do enter his Penis without any
movement but he has to emphasize on other parts in order to give
satisfaction to Wife,
For example, Enter Penis into Vagina and without moving it you have to
stimulate other parts Clitoris , Nipples , etc which would be more
pleasureable for Women if you do it correctly , Whatever Husband do
Wife's consent should be there .... But the problem is that you cannot
do it very easily specially at intial days of marriage ... Because if
you don't move your Penis into Vagina your Penis will probably loose
its Erection which would be very embrassing for your Wife and it will
frustrate your wife a great deal .
Anyhow , you can do it but you have to stimulate other parts
simultaneously as well in order to give Satisfaction to your Wife other
It won't work good.
Take care ,
ALLAH Hafiz.
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:18th Nov 2007, 6:57am |
|
|
Pari + Josh Josh : Good Reply ... Keep it up Brother !
Pari12 : Frankly speaking app pagal nahi hain kyun kah Young age ma
love ma aaisa hi hota hai kuch loog tou Jaan tak daey detey hain ....
But Tecnically Speaking app Love ma Pagal hain or yah problem app ki
shadi k baad bhi rahey gee ... Chunhkah yah Long-Term Problem hai its
better to soncult a Good Psyciatrist .
Take care ,
ALLAH Hafiz
|
pari12
|
Group: Members Joined: 17th Nov, 2007 Topic: 1 Post: 10 Age:
27
|
|
Posted on:18th Nov 2007, 1:01pm |
|
|
thanx Josh Life ethni mushkel hojaye gi kabi socha nahi tha meri prob ye hain ke main kuch nahi bulthi hazaar koshesh keroon sab kuch yaad rehtha hain |
Rizwan++
|
Group: Members Joined: 15th Nov, 2007 Topic: 12 Post: 243 Age:
25
|
|
Posted on:18th Nov 2007, 4:10pm |
|
|
Bachkana Mashwara !السلام علیکم
Insaan ager koshish kare to kuch bhi kr sakta hai. Mein ne bhi psychology ki kuch kitabein parhi hein aur mera experience hai ke insaan jo baat baar baar dohrata hai wo us ke mind pr aser karty hai. ager aap yeh baat baar baar dohrain ke aap 'us' se pyaar nahin karty to shaid aap ka masla hal ho jai. Mera mashwara shaid aap ko bachkana lage mgr is pr amal kr ke zaroor dekhna. |
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4718 Age:
30
|
|
Posted on:18th Nov 2007, 4:14pm |
|
|
i am agree to josh josh ne sab sehi kaha hai aur yeh bhi sehi hai ke ager ho sakta hai to shaadi kar lo os se lekin jahan tak mujhe lagta hai woh aap ko kuch zaida passand nehin karta kyun ke aap ne bataya ke main ne os ko bataya ke mujhe acha nehin lagta os ka naraz hona to woh phir bhi baaz nehin ata
to es ka matlab yehi hai ke woh aap mein interst nehin hai to main yehi kahon ga jo aap ki parwa nehin karta to aap bhi os ki na karo kisi ke liye apne mind ko kyun pagal bana rehi ho jis ka dil pathar ka hota hai woh wesa he rehta hai
pather dil ko kabhi pyar nehin ho sakta es liye apne pyar ko zaiya na karo aur khud ko aur aagey ja kar apne ghar walo ko bhi koi muskil mein na daalna es liye apne pyar ko sambhaal kar rakho jis se shaadi ho gi os pe apni jaan fida karna..take care ALlah hafiz |
Rizwan++
|
Group: Members Joined: 15th Nov, 2007 Topic: 12 Post: 243 Age:
25
|
|
Posted on:18th Nov 2007, 4:17pm |
|
|
Bachkana Mashwara Insaan chahay tu sab kuch kr sakta hai. Main nay bhi psychology ki kuch kitabain parhi hain aur mera apna experience hai ke jo baat insaan baar baar dohrata hai wo us ke mind pr aser karti hai. Aap bhi agr baar baar yeh baat dohrain ke aap us se pyaar nahin kartein tu shaid aap ka masla hal ho jai. mera mashwara shaid aap ko bachkana lage lekin is per amal Zaror kar ke dekhna. |
Rizwan++
|
Group: Members Joined: 15th Nov, 2007 Topic: 12 Post: 243 Age:
25
|
|
Posted on:18th Nov 2007, 4:19pm |
|
|
Sorry! Sorry دو دو بار پوسٹ هو گیا۔ |
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4718 Age:
30
|
|
Posted on:18th Nov 2007, 4:21pm |
|
|
repley for rizwan++ psychology ki books read kar ke koi doctor nehin ban jata khair abhi aap ko bhi study ki zaroorat hai aap bhi study karo abhi to aap ki age 18 year hai
18 year ka experience bhi bachkana life mein he ata hai khair never mind main to bas aap ko yeh kehna chah raha hon ke apne aap ko kabhi kabil na samjo kyun ke kabhi kabhi jo apne aap ko kabil samujta hai woh life mein sab se zaida maar khata hai..
|
Rizwan++
|
Group: Members Joined: 15th Nov, 2007 Topic: 12 Post: 243 Age:
25
|
|
Posted on:18th Nov 2007, 4:35pm |
|
|
Dant kiun rahey ho veer bhai? bhai main ne apnay aap ko kaabil kab kaha hai. me ne tu yeh soch kr mashwara diya tha ke kisi ka bhala ho jai ga. agr kisi ko mera mashwara pasand nahin aya tu mazrat chahta hon. |
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4718 Age:
30
|
|
Posted on:18th Nov 2007, 5:04pm |
|
|
for rizwan++ esi baat nehin hai aap ne yehi baat theek kahi ke insaan kuch bhi chahe woh ho sakta hai lekin kuch baatein insaan ke bas mein nehi hoti aap ne books ke bare mein kaha es liye main ne yeh kaha ke app ki age bhi abhi choti hai
life mein abhi bhut kuch hai dekhne ko jo hum ne aap ne nehin dekha meri age 24 hai dec mein 25 ka ho jaon ga aur mujhe abhi bhi kuch nehin pata abhi life se aur bhi bhut kuch sheekhne ko mel raha hai khair sorry ager aap ko bura laga..be happy...take care Allah hafiz |
pari12
|
Group: Members Joined: 17th Nov, 2007 Topic: 1 Post: 10 Age:
27
|
|
Posted on:19th Nov 2007, 12:39pm |
|
|
rizwan+Veer aap log laro nahi help keroo meri :(:(:(:(:(:(:((:
main esa soch bi nahi sakthi ke main onse pyar nahi kerthi nowayyyyyyyyy |
Rizwan++
|
Group: Members Joined: 15th Nov, 2007 Topic: 12 Post: 243 Age:
25
|
|
Posted on:19th Nov 2007, 2:52pm |
|
|
Aik aur mashwara... Tu phir aap aisa karein ke jab wo neend main ho tu us ke saamne baar baar yeh dohrain ke tum mujh se pyaar katay ho. is ka koi nuqsaan nahin try zaroor karna. |
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4718 Age:
30
|
|
Posted on:19th Nov 2007, 3:42pm |
|
|
My Reply dekho pari12 main ne jo aap ko tareeka bataya hai os par amal karo os ko saaf saaf keh do ke aap ki yeh feeling hai ager woh aap ki feeling nehin samuj sakta to main yeh kahon ga ke aap ka pyar one side hai
aur ager one side pyar hai to plz plz aap aur time mat zaida karo os ko bhoolne ki khoshish karo warna aagey ja kar aap wake mein pagal ho jaye gi
main yehi kahon ga abhi bhi ke pyar ki feeling jo hoti hai 2 side hoti hai lekin yahan aap zaida feel kar rehi hai aap os ko samujo aur woh aap ko samjye wohi pyar hota hai jis ko aap ki fiker nehin aap bhi os ki fiker na karo
ya phir thoda sa aap os ko yeh feel karwao k aap os se baat karna nehin chahti os ko thoda gusa dekho os se baat kam karo woh khud he aap ki taraf aye ga aap se baat karna chahe ga ager woh aap se naraz hota hai aap ulta os se naraz ho jao
es tarhan karna aap ke liye mushkil ho ga lekin aap thoda sa bardasht kar ke esa karo os ko zahir karo ke ager aap os se baat nehin kare gi to koi kiyamat nehin aa jaye gi esa karo sab theek ho jaye ga take care Allah hafiz |
|