Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Meri Bhen ki Mangni Ho gaee (shopping/outing with fiancee)

Unmarried Girls Problem
 
 
Dil-khan Group: Members  Joined: 11th Apr, 2013  Topic: 4  Post: 26  Age:  32  
Posted on:13th Sep 2014, 5:54pm
 

Meri Bhen ki Mangni Ho gaee (shopping/outing with fiancee)

Salam... mera name ...MOD EDIT: Removed real name... hay aur main aap experties say aik sawal poochna chahta hoon... baat ye hay keh meri bhen jo keh 26 years ki MashaAllah jawan aur khoobsoorat hay aur us ki abhi 4 months pehlay Engagement howi hay... is say pehlay bhi 2 baar Mangni toot chuki hay aur us ki guzarti age kay paish-e-nazar ami abu jald az jald rishta karna chahtay thay aur 4 months pehlay us ki Mangni ho gaee larka bhi acha hay paisay wala hay aur business bhi hay un ka apna...

but kuch reasons ki waja say shadi 1 saal say pehlay nahi ho sakti kuch larkay walay thoray time lena chahtay hain aur ham bhi yahi chahtay hain  ab masla ye hay keh meri bhen ka mangetar her weekend per meri bhen ko shoping waghaira per aur ghoomnay phirnay lay jata hay pehlay pehlay tao ham log chup rahay but ami abu nay jab samjhaya tao bhen ko tao koi aitraaz nahi howa but wo larka kehta hay keh is tarah ham milain gay tao aik doosray ko achi tarah samjhain gay...

phir mazeed abu ki taraf say thori sakhti per wo dhamkiyan denay laga keh dekhain agar aap log mujh say tang hain tao phir aap muj say mangni hi na karwatay aglay saal ham nay shadi karni hay is liay zaroori hay keh ham aik doosray ka week main aik baar thora time dain.. . ab meray ami abu rishta tootnay ki waja say kafi darr rahay hain ziada rok tok nahi kartay us say kion keh 2 pehlay hi toot chuki hain..

aur haan wo kabhi raat kay waqt nahi lay jata just evening ko 4 panch bajay ata hay aur 1, 2 ghantay baad wapis aa jatay hain...is liay aap logoon say poochna hay keh kia ham us larkay say mangni khatam kar dain ya isi tarah shadi tak un ko milnay dain.. aur doosri baat waisay wo bhot decent aur acha larka hay kabhi koi buri baat nahi dekhi us main...  so please guide me kion keh log bhi aisa dekh kar tarah tarah ki batain banatay hain.... hope uu help mee thanks


MOD EDIT:
1. Converted long text into paragraphs for easier readability.
2. Appended title to be more descriptive of topic discussion.

Gemini6566 Group: Members  Joined: 25th Aug, 2014  Topic: 0  Post: 82  Age:  36  
Posted on:13th Sep 2014, 6:24pm
 

Dil-khan

Sab se pehlay tou yeh keh es kisam kay forums per apna nam nahi bataya kartay. App ki post ko read kar leye hae aur aap ka masla bhi kisi had tak samajh aagya hae.

Aap nay apni behen ki age batai hae magar un ki education nahi batai aur na he yeh bataya hae keh kia woh working woman hain ya ghar per he rehti hain? aap nay yeh bhi nahi bataya keh aap sab kitnay behn bhai hain? aur behno mae aap ki yeh behn he elder hain ya un se bari bhi koi behen hae. (agar hae tou kia woh shadi shuda hae?) aap kay parents kia dono working hain ya thay? aap khud shadi shuda hain? Aap kis sheher mae rehtay hain? aur kia waqi log batain bana rahay hain ya sirf aap ka shak hae? Aap ki sister ki pehlay mangni kin halat mae toti woh bhi aap nay nahi bataye. Aap nay yeh bhi nahi bataya ke jin kay saath mangni hoi hae un ki education kitni hae? Kia Aap logon nay yeh rishta sister say poch ker kia tha/ aur sister ki raye ko kitni ahmeyat daitay hain?

Agar ham es waqat Pakistan mae society per ghor karain tou hamain bohat se tabdelian nazar aain gi. Muashra bigar raha hae ya nahi yeh aik alehda behes hae.
Magar muashray mae tabdeli sab ko nazar aa rahi hae.

Noor clini forum per aap nay beshumar masail kay baray mae read kia hoga. Media aur internet aur cell phone kay istimal nay muashray ko bohat say naye (new) rujhanat say aagahi de hae. Meray elam kay mutabik Pakistan mae mukhtilaf adwar mae mukhtilaf tabdelian aai hain jo muaashray per bhi asar andaz hoi hain.

Chonkeh Mujhay sab halat ka pas e manzar nahi maloom es leye sirf yehi raye hae keh aap kis sister ki kia marzi hae? kia woh bahar jany mae hichkchahat mehsos karti hain? Kia woh es rishtay ko khatam karna chati hain?

In halat mae apni sister ki marzi aur raye ko bhi ahmeyat dejeye.
Gemini6566 Group: Members  Joined: 25th Aug, 2014  Topic: 0  Post: 82  Age:  36  
Posted on:13th Sep 2014, 6:24pm
 

Dil-khan

...MOD EDIT: Removed duplicate post...


Hawk66 Group: Members  Joined: 07th Jan, 2010  Topic: 0  Post: 112  Age:  44  
Posted on:14th Sep 2014, 9:58am
 

Dil-khan

Aap nay bohat si batoon kay baray mae nahi bataya aur khas tour per sister kay baray mae koi khas baat nahi batai. Na he aap nay pehlay ki engagements kay totnay ki wojohat batai hain. Aap ko kia suggestion deya jaye. Aap kay ghar mae khawateen ko kitni ahmeiat diatay hain aur khas kar apni behan ko kitni ahmeyat day rarahy hain? Gemini ki es baat say agree karon ga.
Shukria.
Evocative Group: Members  Joined: 03rd Sep, 2014  Topic: 0  Post: 83  Age:  18  
Posted on:15th Sep 2014, 3:00am
 

Dil-Khan

eik rqust hy ap is Forum py eik post prhna must "My Best Friend Sex With My Mangatar (Fiancée)" k ap ko pta lagy k shaitan n nafas kbi b ksi waqat bhatka skta hy ksi ko b n jis ka us mein zikar hy woh dost sab mein naik tha bht bt asteen ka Sanp nikla ..

eik rae hy ap ki sister Istikhara kry khud..

n behan ko tanbeh krein ehsan tareky sy sab aesy kam sy mohtat rehny ki k ALLAH na kry k ye mangni b toot jae to khud un ko gilty ho k ye kam q kiya ALLAH ki hadood sy tajawuz

n kiya ap ya koi b guaranty dy skta hy k ye sab ALLAH ki hadod ko torny ko ap ny jo allow kiya to ab Mangni ni totay giye pta ni kis chez sy hum log apny dil ko jhooti tasali dy ry ary sme ny izat loot k mangetar ki phir tohmat laga k mangni tor di.... sme ki death ho gai sme k sath kiya prblm sme k sath kiya n ap ka kiya khiyal hy k un fmle ny us wakat btaya tha ksi ko ni bcz un ko islami talemat ka ilam ni tha n ye sab un ko b mazah dy ra tha n ab toh jb rast alag to .....

ALLAH samjh dy ap ko

Jo samjh samjh k b na samjhy woh bara na samjh hy

ap log insano sy umeedain lagae huway hain n ALLAH k hukam ki parwah ni ye kachy dhagy kbhi b toot skty

Izat ist priority hy .... b4 k waqat bht door nikal jae....

mangni toot jati to tb b loog baat krty etc etc

but jb izat py kichar uchalay jaein to mean izat ki dhajiyan ur jaein n woh kisi gunaah k murtakib ho gae to

ap batein kon c baat ziada takleeef deh. ist mein to phir b umeed hy k koi rishta a jae ga

bt 2nd mein to agar a b jae to khof rahy ga k past ka pta lag jae to life gai sis ki....

Dil-khan Group: Members  Joined: 11th Apr, 2013  Topic: 4  Post: 26  Age:  32  
Posted on:15th Sep 2014, 6:21pm
 

@ Gemini

Gemini shukria keh aap nay meri post kay jawab kay liay time nikala..
ab main aap kay poochay gay sawaloon kay jawab tehreer karta hoon..
meri bhen ki education BA (Simple) hay.
FA karnay kay baad us nay 2 saal aik advertising company main job kee thee but phir BA ka shok charha toa job chor dee aur phir BA kar kay dobara job kay liay apply nahi kia wo ab job nahi karna chahti....
ham log 3 bhen bhai hain... mairay aur is bhen kay ilawa aik choti bhen hay jis ki age 20 years hay wo BSC kar rahi hay wo sab say choti bhen hay...
meri shadi ko 3 saal ho gay hian..
meray abu nay police main job ki hay wo retired Inspector hain 3 saal pehlay rtd howay hain..
ham islamabad main rehtay hain.. aur jahan tak logoon kay batain bananay ka taluq hay tao hamaray kuch relatives hain wo aksar ami abu ko kehti rehti hain keh is tarah jawan larki ko na bheja karo etc aur kuch mohallay ki aik 2 aurtain bhi hain jin ki hamray sath kafi achi understanding hay wo bhi dheeray dheeray kehti rehtyi hain ami say.....
meri sister ki aik mangni is tarah tooti keh us larkay ki Mausi un logoon ko ghalat guied kar rahi thee kabhi hamaray say jahez main mukhtalif cheezoon ki farmaish karti.. halankeh ham nay wo deni hi theen. but ami abu ko wo log lalchi lagay tao ham na mangni tor dee... ye mangni 6 months tak rahi.. phir doosri mangni howi wo bhot achay log thay 8 months tak tao sab theek raha but phir wo larka England chala gaya aur hamain pata chala keh us nay wahan shadi kar lee.... is waja say wo bhi toot gai...
aur ab meri bhen ki jis kay sath mangni howi hay wo MBA hay .. aur un ka apna Propety ka business bhi hay kafi achay log hain...
aur jahan tak meri bhen ka taaluq hay tao us kay kaee rishtay aa chukay hain but ami abu us say pehlay hi kehtay hain keh achi tarah soch kar jawab do agar tum haan kaho gi tao ham jawab dain gay.l.. aur kaee logoon ko sister nay reject kar dia tha tao ami abu nay mukhalifat nahi keee in teenoon ki dafa us ki apni marzi bhi shamil thee.. tab haan kee ami abu nay...
but ab wo is mangni say bhot khush lag rahi hay ara wo us kay sath janay main bhi khush hi lagti hay aur jab jaana hota hay tao ammi say poochti hay keh jaon ya na jaon....
but masla bhen ka nahi wo tao maan jati hay but masla ye hay keh wo larka her haftay us ko lay jata hay baki wo log bhot achay suljhay howay lagtay hain... lekin meri ami abu chah rahay hain keh shadi tak wo is tarah akelay na jain kaheen haan agar wo hamaray ghar aata hay tao jab chahay aaye hamain koi aitraaz nahi...
bas aap koi aisa tareeka bata dain keh wo meri bhen ko bahir lay janay say baaz aaa jai sakhti tao kar nahi saktay kion keh us say rishta tootnay ka khatra hay...
but koi bhi tareeka batain jo khush aslobi say kaam ho jay..

aur @ Evocative aap ka bhi shukrya aap nay bhi achay tareekay say samjhaya...
i got ur point..
i am waiting for ur kind response

Evocative Group: Members  Joined: 03rd Sep, 2014  Topic: 0  Post: 83  Age:  18  
Posted on:15th Sep 2014, 8:17pm
 

Dil-khan

ab wo is mangni say bhot khush lag rahi hay ara wo us kay sath janay main bhi khush hi lagti hay

Bhai jan ist toh aap ki bhena j khush hi lagti hy to q wajha kiya hy is khushi k pechy.... bcz sme wajha +ve b hoti sme -ve b but.....

ist to ap apni sistr ko samjhein Hikmat o baserat sy bcz woh ap ny suna ni k na milny k bahany thy hazar milny k liye koi bahana b nahi tha...

life mein sme time ye b dekha gya hy k home walon ny agar koi bhtr ikdamat kiye to g unhi ki sister ny koi prblm b bna di

So plz ist us ki bahir jany mein khushi ki wajha to batein k kiya aesi khushi hy jo us ko milti hy mean ap ki sis ko...

n ap thora ye stdy krein k wohi mngetar khud apny home k moamlay mein kesa hy ya ye rule just ap logo k liye hain... kahein kuch un ki famly ka mahool to aesa ni k ksi ko ksi ki fikar ni jo jahan ae jae...

n meri nzr mein ap ist apni sistr ko tatolaein wajha jaein, n us ko samjhein bhtr tarekay sy bcz agar woh chahein n ap ka n apny prnts ki izat ka khyl krein to us k liye un ko tanbeh krna bohat easy hy

bcz dekhny mein sme time ye b aya hy k Orat jb eik chez ki thaan leti hy bhaly kam ki ya koi Insan b to phir us ko tarhan tarhan ki tadbeer khud hi sujhti hain bcz ap sy ziada ap ki sistr ki communication apny mngetar sy hy IN SHAA ALLAH so woh agr chahy to ap ka prblm bht asani sy solve ho skta n is sab kam mein ALLAH sy dua b karein bcz ye ap k imtihan ka waqat b hy

ye ap ki izat sabar etc etc ka imithan hy....

aesa na ho k idhr to ap ye keh ry hon n ALLAH na kry k kdhr back end py ye sab ap hi ki sis ny to un ko plan na bataya ho.... bura ni manana plz hum just woh thngs keh ry jo k isi duniya n duniya walon k tactics hain k bandoooq ksi aur k kandhay py rakh k chalaty hain...

bcz sme time to ye b dekhny mein aya hy k woh beti jo k fthr k samny n bro k samny bht bhtr thi us k ghinonay iraday jb fmly ko pta lagy k is sab krti dhrti k pechy unhi ki beti ka b haath hy pura pura to phir prnts us din ko kosny lagy jis din woh duniya mein ai.....

any how sme bitr truth mention kiya just is liye k ap ist is baat ki toh mein ja k apni behan ko samjhein n us ko tanbeh krein k kidhr agar ye sab ap out sy un k mangetar ko kahein n khud ap ki behan chahti ho aesa to phir ap ki tadabeer sab by kar b ho skti hain

strt tanbeh n mind banany ka apny home mean apni sistr sy but us ko atimaad mein ly k....

sme fmle to sis bro prnts sy bhar kr apni fiancé n baki frnd ko raaz daaan n kkhair khuwa smjhty dhokay sy.....

let c k ap ko apni sis sy kiya info milti n how much u guide... her.....

For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  Medical School Admission Story  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us