jangi qaidi /launDi n Ghulaam
to aaj bhi dunya bhar ki jangouN maiN pakray air qaid kiyeh jatay haiN... pak-india 1971 ki jang maiN to india nay pak 90,000 qaidi pakaR liyeh thay...
islamic qanoon yeh hai k agar muslim aur kafir lashkaroun k mabain jang /jehaad ho to dushman k jaan o maal ko tabaha karnay k elawah dushman k jangi qaidi (male-female both) pakRay jasaktay haiN... jab jang khatam hojaa.ay to agar dushman nay bhi muslims k qaidi pakray houN to qidiyouN ka tabadlah kissi agreement k tehat hosakta hai... lekin agar aisa nah ho yaa iskay baad bhi dushman k jangi qaidi muslims k pas bach jayaiN to inhaiN fidya deker choRa jasakta hai, kissi agreement k tehat...agar aisa bhi mumkin nah ho (agreement nah ho sakay) tab muslim sepah salaar, maalay ghaneemat aur jumlah jangi qaidiyouN ko ... muslim mojaahedeen maiN (jo iss jehaad maiN shareek thay) taqseem karsakta hai...ab in qaidiyoun ka rotbah as "Ghulaam /baandi" ka hoga.
islam maiN insanouN ko mostaqlan saalouN qaid rakh kar onpar zulm karnayka koi concept nahi hai... khaah woh dushman k jangi qaidi (ghulaam) hi kiyouN nah houN.... ghulaamouN k baray maiN islam ki taleem yeh hai
1. agar ghulaam agree karay to woh apni azaadi k liyeh khood mehnat mazdoori karkay maalik ko matloobah raqam dekar khood ko ghulami say nikaal sakta hai
2. islami taleemaat maiN az khud ghulaam ko rehaa karnay ka baRa ajar aur talqeen maujood hai... mokhtalif gonaahouN kay kaffarah maiN bhi ghulaam ko azaad karna shamil hai
3. iskay bawajood jo ghulaam azaad nah hosakaiN, onkay sath husnay salook ka hukm hai... yeh hukm hai k jo khood khaa'o, onko khelaa'o... acha libaas do, achi rehaish do, ossay koi aisa mushkil kaam nah do, jo woh khush.dili say nah kar sakay... aur agar aisa kaam karwana bhi paray to khud bhi saath do etc etc.... tareekh islam maiN musalmanouN k ghulaam to bahoot mazay maiN zindagi guzaartay thay...bah isbat ghair muslims k ghulaam k
4. ghulam agar female yaani baandi ho to woh bhi chounKay maalik ki milkiyat hoti hai... lehaza agar woh jangi qaidiyoun k tabaadlay, fidyah k ewaz wapis nah ki jasakay to maalik ki milkiyat maiN hoti hai. ab maalik chaahay to is baandi ka kissi ghulaam say nikaah karwaa day (aisi soorat main woh bandi say sexual faidah nahi oTha sakta, sirf laborial work lay sakta hai)... lekin agar oska nikaah kisis aur sya nah karaa.ay to khud oss say bila nikaah sexual faidah oTha sakta hai as per Quran (soorat momenoon; ayat 5-6). aisi laundi say paida honay wali aulaad jaiz aulaad hogi aur jiss launDi say aulaad hojaa.ay woh launDi azaad hojayegi
5. 2 muslim groups maiN jang ki soorat maiN launDi aur ghulaam banaana HARAM hai... agar koi aisa karta hai to rozay hashar iska hisab kitab dena hoga. wallaho aalam bissawab
|