Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Internet and Website In Urdu

Career and Success
She Love You
How to Identify Her Interest in Dating You
Love & Romance Tips
Attract Love - Common Mistakes to Avoid
Russian Brides
Methods of Solving Frequent Conflicts
Family Problems
Dealing With Everyday Family Problems With A Smile
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4334  Age:  38  
Posted on:26th Jan 2013, 10:46pm
 

Internet and Website In Urdu

aaj kal dunya ka har kaam internet per ho raha hai. chahe taleem ho ya tafreeh. lehaza agar koi chahta hai keh woh koii bada karnama anjaam de tu ose Internet ki dunya mei aana hoga.

Internet ki dunya mei aane ke liye aap ko website banai hogi. website khood banani hogi, bani banayee website khareed ker ya free server website le kar ya bana ker aap kabhi bhi taraqqi nahi ker saktay. dunya ki tamam bari website os ke owner ne khood banayee hai, baad mei Staff kakh ker os ko taraqqi di. yahi wajah hai keh dunya ki tamam bari website ke staff khood alag se waisi website nahi bana saktay. microsoft, google, facebook etc iss ki misal hai jis ko takhleeq os ke owner ne ki hai.

Website banana:
aaj kal internet per two types website hoti hai
a) Linux based b) window based

Mera mashwarah hai keh agar koi member website banane ki khahish rakhta hai tu woh Linux Based website ka intekhab karay. kio keh yeh sasta perta hai.

Linux Based Website
linux based website banane ke liye aap komundarja zail subject aani chahiye.

a) css
b) html
c) php
d) mySQL
e) javaScript
f) jQuery and Ajax
g) photoshop
h) dreamweaver

oopar wale tamam subject ke baad os se related kuch aur subject bhi perhna ho ga. agar khoobsorat Urdu font per kaam kerrna hai tu Inpage bhi ana hoga. baad mei aap Joomla ya wordpress ki website ko apne seekhay huye code ki madad se behtareen website mei tabdeel ker saktay hai. lekin sirf wordpress aur joomla ki madas se aap aik khaas limit se aage nahi jaa saktay. kaamyabi ke liye zaroori hai keh oopar bataye huye subject per aboor hasil karain.

Website Topic
sab se aham baat yeh hai keh website kis topic per banayee jaaye. Website sirf aur sirf osi topic per banaye jis per aap ke paas mustanad knowledge aur degree/certificate ho. aisa topic jis ki mustanad knowledge na ho ya os se related relevant degree/certificate na ho os per website nahi banani chahiye. kio ke aisi soorat mei website aik khaas limit se aage nahi jaa sakta.

Web hosting
web designing ke baad aap ko web hosting kerni hogi. mei pehle hi bata chuka hu keh free server (like facebook, wordpress, blogspot etc) per aap aik limit se aage nahi jaa saktay, nez control aap ke haath mei nahi hota balke doosro ke haath mei hota hai. lehaza website banane ke baad os ke liye apne name se domain register karain aur kisi Paid Server per host karain. ibtada mei aap ki website choti hogi lehaza initially web hosting ka kharcha ziadah nahi hoga. baad mei jaise jaise aap ki website grow karay gi waise waise os ka kharcha badhta jaaye ga.

Web Marketing
website jetni bhi achchi ho ose bana ker server per host kerne se website nahi chale ge. website ko chalane ke liye aap ko marketing kerni pare ge. Marketing  Paid aur Unpaid hoti hai.

Paid marketting mei sab se achcha aur kamyab Google Adwords hai. agar aap ki website koi product/service sale nahi ker rahi hai tu mei aap ko Google Adwords ke zaria marketing kerne ka mashwara nahi dooga. kio keh yeh bohot mahnga pade ga.

SEO: yeh bilkul free hai. aap ko SEO seekhna pare ga aur apni website ko SEO ke zaria chalani hogi. SEO ke kuch open raaz hai aur kuch hidden. SEO ke open raaz aap ko dunya bhar ki website per mil jaaye ge. aap google mei SEO Tutorial ya SEO Tips and Tricks likh ker search karain aap ko SEO sikhane se related beshumar website ya article mil jaaye ge. lekin on mei SEO ka basic ilm hi milay ga. SEO ke liye basic ilm bhi aani chaiye.

lekin SEO ke basic ilm se aap apni website ko aik khaas limit se aage nahi le jaa saktay. agar aap ko limit cross kerna hai tu SEO ke hidden raaz jaan-na hoga. hidden raaz aap ko internet per nahi milay ga. yeh purane hakeemo ki tarah seena ba seena chalta hai. SEO ka hidden ilm aap apne tajarbe se (Try and Error) khood seekhain ge, koi aur nahi sikhaye ga.

Website Staff
chukeh start mei website se koi earning nahi hogi iss liye staff rakhne ki bajaye saara kaam khood kerna hoga. jaise jaise staff rakhne ki salahiat paida hoti jaaye relevant staff rakh ker apni website ko grow kertay rahain. Yaad rahe ke aap ki website sirf aur sirf aap hi chala saktay hai, Staff per bharosa ker ke website nahi chalayee jaa sakti. agar aap mei website chalane ki salahit nahi tu aap lakho rupee kharch ker ke qabil se qabil staff se bhi website nahi chalwa saktay.

aik baat aur yaad rakhay keh koi bhi staff jo website chalane ki salahiat rakhta hai woh kabhi bhi job nahi kerta. aur agar job ke doran website chalane ke salahiat hasil ker leta hai tu woh phir job chor ker apni website bana leta hai. Isi liye yeh zehan mei rakh le ke aap staff se technical work tu le saktay hai. lekin staff se apni site nahi chalwa saktay.

Website Earning
ab dunya ka sara karobar internet ki taraf muntaqil ho raha hai. aap website ke zaria koi bhi karobar/service ker saktay hai. lekin beshtar website free service deti hai. free service dene wali website ki aamdani ka aham zaria donation ya ishtahar hota hai. donation har website per nahi milti. albatta aap website per ishtehar ke zaria kama saktay hai.

website per ishtehar ke liye Google Adsense ko istemal kerni chahiye. lekin yaad rahe keh Google Adsense har qisim ki website per hasil nahi ker saktay. agar aap ko Google Adsense ke zaria kamana hai tu phir behtar hoga keh aap pehle Google Adsense ki policy read karain phir website banai.

Kaamyaab Website
dunya mei sirf aur sirf wahi website kamyab hoti hai jo keh Unique Idea per bani ho. Facebook aik unique idea tha kamyab ho gaya ab os idea perr jetni bhi website banayee jaaye woh nahi chale gi. lehaza mera mashwara hai keh

Think Think again Think For New Idea

aur aik aise idea per website banain jo ke poori dunya ke liye Unique ho.



WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 51  Post: 3444  Age:  23  
Posted on:26th Jan 2013, 11:02pm
 

bewaqoof

nice article.. linux based or windows based kiya hai? lekin duniya ka ruler to windows hai
Einstein Group: Members  Joined: 24th Jul, 2012  Topic: 14  Post: 710  Age:  24  
Posted on:27th Jan 2013, 1:28am
 

Very very informative article

Firstly main aap ko aap kai 250 threads mukamal hony ki mubarak baad paish kerta hun!Secondly jo sawal wellknown nai kia hai,wohi maira sawal hai
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4334  Age:  38  
Posted on:27th Jan 2013, 3:19am
 

List of Linux based website

re: "lekin duniya ka ruler to windows hai"

linux aur Windows operating system ka name hai.
Linux based server sasta aur istemal mei aasan hai. dunya ki 80% big sites Linux based server per hai. jis mei se top 20 yeh sites hai. lehaza yeh kehna ghalat hai keh dunya ka ruler windows hai.

1. Google
2. Facebook
3. Youtube
4. Yahoo
5. Blogger
6. Wikipedia
7. Twitter
8. QQ
9. LinkedIn
10. Wordpress
11. Mozilla
12. Flickr
13. PayPal
14. Craigslist
15. Ask
16. CNN
17. Tumblr
18. LiveJournal
19. eHow
20. StackOverflow
alirajput Group: Members  Joined: 16th Mar, 2012  Topic: 5  Post: 578  Age:  30  
Posted on:27th Jan 2013, 12:28pm
 

Dear BewaQoof Sir

May Allah bless you. Thank you for very Informative information. Inshallah the current plaN, I will call Pakistan and Scrap it.. as its not Linux.. but I must follow ur advice, if in future I need your guidance please kindly, Mujse door na bhaaGye gaaA.

Allah Hafiz
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 51  Post: 3444  Age:  23  
Posted on:27th Jan 2013, 12:53pm
 

bewqoof bro

mera mathlab websites nahe lekin mai ne operating system ke circle mai kahs ke agar duniya mai koi computer banta hai to pehke windows ke liye pir linux ke liye. agar software banta hai to pehle windows ke liye pir others ke liye. haa ye baat theek hai ke linux server administration ke liye use hota hai or bohot se operating systems linux ke kernal ke base par hote hai.
1
Sexy High Heels
Sexy High Heels: 5 Things Why so Many Men are Mad About Them
Sexy High Heels
How to Walk Confidently in Sexy High Heels
Sexy High Heel Sandals
Top 3 Sexy High Heel Sandals of This Summer
Sexy High Heels
Sexy High Heels – the Emblem of Feminity
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013