ali8765 |
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 12 Post: 438 Age:
24
|
|
Posted on:14th Dec 2012, 10:39am |
|
|
What is the meaning of makrooh? My question to all the members and especially to myrizvi that what is the meaning of 'makrooh' in shariat? |
ali8765 |
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 12 Post: 438 Age:
24
|
|
Posted on:14th Dec 2012, 10:27pm |
|
|
dont any one know koi nahin jaanta aap logon main sai kai makrooh ka matlab kia hai??? |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6467 Age:
54
|
|
Posted on:17th Dec 2012, 10:56am |
|
|
makrooh sorry for late reply...
makrooh woh shai /cheez ya fail (act) hai jis kay turk karnay (choRnay) ka motaalebah laazmi taur par nah kia gaya ho... makrooh ki 2 qismaiN haiN
1.makrooh e tahreemi: woh fail /amal hai, jiss say laazmi taur par rok jaanay ka motaalebah ho aur woh motaalebahdaleel say saabit ho ... yeh haraamk qareeb hai
2.makrooh e tanzeehi: woh fail jiss ko tark karnay k baaray maiN shiddat nah payee jaa.ay ... jaisay aurat ka shauher ki ijazat k beghair nafli rozah rakhna
|
ali8765 |
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 12 Post: 438 Age:
24
|
|
Posted on:29th Dec 2012, 10:48am |
|
|
Aurat ka shohar ki ijazat kai bhair nafli roza rakhna Kia is ka matlab yai hai kai roze kai doran sex jaiz nahn hai to kia nafli roze kai doran sex kerny sai roza toot jata hai?agar aurat nai roza mard ki ijazat kai bghair rakha ho to kia phr mard ko sex kerny sai gunah milta hai? |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6467 Age:
54
|
|
Posted on:30th Dec 2012, 12:44am |
|
|
nafli rozah aur husband 1. agar husband ghar maiN maujood ho to aurat ko nafli rozah apnay husband ki razamandi say rakhnayki hedayat hai takay mard ko koi pareeshani nah ho, apni biwi say milnay milanay maiN...
2. agar aurat nafli rozay say ho aur mard nay iss say sex karlia to rozah to yaqeenan TooT jayega. iss maiN to koi shubah nahi...
3. shauher ki ijazat k beghair agar biwi nay rozah rakh hi lia hai to shauher ko chaiyeh k woh biwi k rozay ki khatir oss say sex nah karay aur ossay rozah poora karne day.
4. lekin agar husband sex karkay biwi ka nafli rozah toR deta hai... aur biwi shauher k iss amal say naraaz /khafa nahi hoti balkay woh bhi rozah toRnay par raazi hojati hai to omeed hai k shauher ko gonaah nahi milega
donoun ko aik doosray ka khayaal rakhna chaahiyeh... nafli rozah ya nafli namaaz yaqeenan aik ebadat hai ... lekin iss say baRi ebadat husband ki khoosh rakhna a ur oski zaroorat ko poora karna hai. aik doosray ki halaal sexual desire ko Allah aur oskay rasool k hukm k motaabiq poora karna bhi ajr o sawaab ka baais hai. issay nazar andaaz nahi karna chahaiyeh |
ali8765 |
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 12 Post: 438 Age:
24
|
|
Posted on:1st Jan 2013, 6:41am |
|
|
Thank you,myrizvi Makrooh k matlab mujhy bi pata tha laikin tafseel sai nahn.is liye main nai poocha.kuch log to makrooh ko bhi haram kehty hain. |
|