Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Kia washroom mey kha saktay hain

Social Problem
 
 
 
Bushra Maz Group: Members  Joined: 21st Sep, 2012  Topic: 6  Post: 25  Age:  20  
Posted on:26th Sep 2012, 9:04pm
 

Kia washroom mey kha saktay hain

My Question is kia washroom mey koi anaj ya koi khaney ki cheez ly kar jana ya khana thek hai......?? According to Islam, What its say about this plz kindly tell me....
goodmorals Group: Members  Joined: 06th Mar, 2012  Topic: 0  Post: 93  Age:  28  
Posted on:26th Sep 2012, 10:57pm
 

Bushra Maz

ufffffff, yukh!!!!

mujhey to vomiting ho jaye.
anyways islam me mana nahi.
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7344  Age:  32  
Blocked
Posted on:26th Sep 2012, 11:48pm
 

Bushra

Bushra washroom may ap khana nahi kha saktay hoo...kiya wash room ap nay kitchen samja ha??is liyay wash room may bath ker khana nahi chahay....
Bushra Maz Group: Members  Joined: 21st Sep, 2012  Topic: 6  Post: 25  Age:  20  
Posted on:27th Sep 2012, 12:12am
 

Good Man

Mein washroom mey khana nai khati mujhe khud vomit hojaye gi but i just want to know about gerenal knowledge becz meinay boht say logon say suna hai kay washroom mey kuch kha liya tou bus mein islamic point of veiw say jana chahti thi kay kia jo log washroom mey kuch khatay hain tou kia yeh thek hai?
Islam kia kehta hai is baraye mey....
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7344  Age:  32  
Blocked
Posted on:27th Sep 2012, 3:36am
 

bushra

Bushra wash room may khana nahi chahay...Khana khanay kay liyay kitchen aur dinning room use hotay ha...ap kassi batay kerti ha
Maham12345 Group: Members  Joined: 23rd Sep, 2012  Topic: 2  Post: 28  Age:  23  
Posted on:28th Sep 2012, 3:51am
 

hehe

interestin quest ... :).... pehla sawal to ye hoga na washroom mein khaney k reasons kya hain ...?? gher chota per raha hai ...??? ya washrom buhat bara hai .... ya khana chup k khana hai ??? ya awein shughal soojha hai ?? :P
Maham12345 Group: Members  Joined: 23rd Sep, 2012  Topic: 2  Post: 28  Age:  23  
Posted on:28th Sep 2012, 3:58am
 

helpp....!

i cant post in this topic ...... or ye topic mein post bhi ajeeb atreekey se dikh rahi hai ... perh bhi nahi pa rahi ....


can any moderator help plz ....


http://www.forum.noorclinic.com/thread.php?topic=30486

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6482  Age:  54  
Posted on:28th Sep 2012, 7:33am
 

wash room maiN khana peena

1. islam iss baray maiN khamosh hai aur yeh har insaan k zaati zauq par choR dia gaya hai k woh issay pasand karta hai ya nahi

2. dunya k har daur era maiN, aur har jagah 'aik jaisa wash room' nahi howa kartaa... pahlay zamanay maiN poora jungle /weeranah 'wash room' howa karta tha...aj bhi dunya k bahoot say remote /dehaat maiN log bahar khaitouN /jungle maiN faraghat haasil kartay haiN aur onka 'wash room' wohi hota hai

3. taraqqi yaaftah societies k omraa k wash rooms bhi common gharanouN k choTay bad.boo.daar wash rooms ki tarah nahi hotay. inkay wash.rooms neat n cleaned, wasee, hawaa daar, airconditioned aur khush.boo.daar honay k elawah iss main bol o baraaz say faraaghat k elawah bhi bahoot say kaam hotay haiN. aisay wash rooms maiN sitting arrangement hota hai, make up etc kia jata hai, ward robe bhi yeheeN hota hai....qissah mukhtasar k yeh aik "acha khasaa ghar nomaa" hota hai. aik adeal bath room (wash room ka old name) par english ki aik book mai yeh bhi zikr thaa k yahaan aik book shelf bhi hona chaahiyeh.... pakistani singer mehdi hassan ka bath room oskay drawing room say bhi behtar thaa...aur mehdi hassan ka kahna thaa k mera zeyadah waqt wash room maiN guzarta hai, issliyeh maiN nay issay araam.dah aur khoob.soorat banwaya hai

4. baaz log jab tak cigarette nah piyaiN, onhaiN faraaghat nahi hoti. lehaza woh faraaghat k liyeh iss dauran smoking bhi kartay hain (jo k khanay peenay jaisa hi hai).... wash room tap water agar peenay k qaabil hai aur emergency maiN zaroorat paRay to iska pani piya jasakta hai

Conclusion: yeh k wash room maiN khana peena HARAM ya manaa nahi hai but yeh recommended bhi nahi hai...isss ay avoid hi karna chaahiyeh k normally yahaaN germs /smell hoti haiN... yeh safayee soth.rayee ki jagah hai, khaanay peeni ki nahi...lekin agar kissi ka wash room bara, neat clean aur germs /smell say paak hai aur zarooratan /emergency maiN koi khaa pee lay to koi gonaah bhi nahi hai

wallaho aalam bissawab
analysis Group: Members  Joined: 21st Oct, 2012  Topic: 1  Post: 24  Age:  24  
Posted on:26th Oct 2012, 3:41pm
 

myrizvi

o bhai jaan washroom washroom he hota hai, chahey bara ho, khushboo dar ho ya kuch oar ho, being a Muslim hamain aisa anahi karna chahiye. tarraqi ye nahi hoti.

wallaho aalam bissawab :)
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2431  Age:  48  
Posted on:26th Oct 2012, 4:19pm
 

washroom

ek hadees nazar se guzri k

jahan rafa e hajat hoti ho wahan ghusal n wazu jaiz nhn

aj kal joint bath room hotay hain na jahan toilet n shower ek sath hotay hain

ager dono alag alag hon lekin ek hi room ho to wazu n ghusal jaiz hai

is k ilawa jab hum toilet jatay hain to dua perhtay hain ALAH HUMA AUZO BIKA MINAL KHUBUSI WAL KHABAIS

yani Allah main khud ko teri panah main deta hun her khabees cheez k shar se

is k ilawa yeh bhi hai k jab insan toilet main jata hai to farishtay MUNKER NAKEER baher reh jatay hain aur ager koi shakahs batain keray ya kuch aur amal keray to woh us shakhas per laanat kertay hain kiun k us ki wajah se unhain us ko is halat main dekhna pera

ab is k baad bhi ap washroom + toilet main khana chahtay ho kuch to ap ki merzi

TV aur movies main dikhaai janay walay scines per amal kerna jaiz nhn jahan wash room itna bera dikhatay hain us main sab kuch hota hai

is k ilawa wash room k bhi 2 hisay hain ek toilet doosera shower area lekin dono jagah hi insan naked hota hai yani kuch bhi un related kernay se farishton ki laanat k ahaqdar ho jai ga

Agay Allah behter janta hai

1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012