Alone boy |
Group: Members Joined: 10th Nov, 2011 Topic: 26 Post: 90 Age:
32
|
|
Posted on:22nd Sep 2012, 11:39pm |
|
|
Nikah and its Essentials Dear members Iss Juma ko (28th Sep) mera nikah hy. Mjhy iss k mutaliq kuch sawal pochna hein. Plz koi senior member ya jo sahi hal janta ho like alirajput,myrizvi,etc reply kru. Plz Q1: Meri family iss matter mein involve nahi hy yani wo log iss nikah k khilaf heiN. Jb k meri hony wali wife ki family ko tmam haLat ka pata hay. Kya Father ki razamandi k baghair larka nikah kr skta hy? Islimic point of view se/ Q2: Haq Mehr mein Moajal aor Ghair Moajal ka farq kya hy? Q3: Rukhsti 4 mah baad ho gi, kia iss period mein mein apni wife ko un k parents ki mojodgi mein face to face mil skta hu? Q4: Haq meher kitna hona chaHiay? (Average) Q5: Nikah mein wife k liay jo monthly kharch likha jata hy wo Nikah k baad dena hoTa hay ya rukhsti k baad se?
Plz reply urgent Thanks JazakAllah |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 109 Post: 6130 Age:
53
|
|
Posted on:23rd Sep 2012, 10:59am |
|
|
Nikah
Q1: Meri family iss matter mein involve nahi hy yani wo log iss nikah k khilaf heiN. Jb k meri hony wali wife ki family ko tmam haLat ka pata hay. Kya Father ki razamandi k baghair larka nikah kr skta hy? Islimic point of view se/
Ans: LaRka apnay parents ki marzi k beghair bhi nikaah karsakta hai. aur aisa nikaah valid hota hai... lekin parents ki marzi k beghair honay wali shadi say bahoot say samaaji masaail paida hotay haiN, jissay apko face karna hoga. aur iss shadi k baad bhi apko appnay parents k haqooq adaa kartay rahnay hongay. parents k haqooq khatam nahi hongay agar woh iss shadi maiN shareek nah howay /raazi nah howay to
Q2: Haq Mehr mein Moajal aor Ghair Moajal ka farq kya hy? Ans: mahar pay karnay k teen tareeqay haiN... nikaah k waqt ada karna, sohaag raat ko biwi ko haath lagaanay say pahlay adaa karna... yaa indal talab, yaani baad maiN biwi jab bhi talab karay... nikaah k waqt mahar ki raqam bhi fixed karli jati hai aur yeh bhi decide karlia jata hai k kab ada karna hai
Q3: Rukhsti 4 mah baad ho gi, kia iss period mein mein apni wife ko un k parents ki mojodgi mein face to face mil skta hu? Ans: shar.an to nikaah k baad ap kissi tarah bhi apni biwi say mil saktay haiN... aur onkay parents k samnay face to face milnay maiN to koi bhi harj nahi... ap aisa karsaktay haiN...lekin afzal yehi hai k jab rukhsati 4 maah baad karni hai to nikaah bhi 4 months baad hi karaiN, if possible. nikaah aur rukhsati k darmayaan gap rakha to jasakta hai...lekin agar aisa nah ho to its good for all
Q4: Haq meher kitna hona chaHiay? (Average) Ans: nikaah k mahar ki koi upper /lower limit nahi hai... as per quran yeh [mountain of gold] bhi hosakta hai aur as per hadees... quran ki aik ayat biwi ko sikhla dena bhi [mahar] hosakta hai . yeh laRkay ki hasiyat aur laRki k deger cousin ki mahar jaisaa hona chaahiyeh... mahar ki demand larki ka haq hai, jo bhi woh maangay aur laRka denay ko raazi ho... hazrat Muhammad saw nay apnai azdwaaj ka mahar 40-50 goats ki qeemat k mosawi tha... jo aaj kam az kam bhi sawa lakh to banta hi hai... ap bhi apni honay wali biwi ko yeh sab bataiN batlaa kar koi bhi mahar fixed karsaktay haiN
Q5: Nikah mein wife k liay jo monthly kharch likha jata hy wo Nikah k baad dena hoTa hay ya rukhsti k baad se? Ans: iss kharchah ki koi islamic hukm nahi hai k laazman likhwaya jaa.ay. lekin agar aisa kuch likhwaya gaya to yeh bhi decide karwa lia jaa.ay k yeh monthly kharchah kab say dena hai...nikaah k fauran baad yaa rukhsati k baad....osoolan laRki ka naan nufqah /kharchah laRkay par ossi waqt wajib hota hai, jab woh rukhsat hokar laRkay k ghar aa jaa.ay. waisay yeh monthly likhwana laazmi nahi hai
|
Alone boy |
Group: Members Joined: 10th Nov, 2011 Topic: 26 Post: 90 Age:
32
|
|
Posted on:24th Sep 2012, 10:49pm |
|
|
Jazak Allah Thaks jnab. Mera masla taqreeban hal ho gya hy kyu k walid sb maan ga'ay hein. Ap k jwabat se kaafi rehnumai mili. Jazak Allah |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 109 Post: 6130 Age:
53
|
|
Posted on:25th Sep 2012, 3:53am |
|
|
Masha Allah yeh jaan kar khushi howi... Allah apko aur apki family ko sadaa issi tarah durust faislah karnay aur aik doosray ka khayaal rakhnay ki taufeeq day aameen. sada khush rahiyeh
|
|