anaam |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2011 Topic: 3 Post: 15 Age:
24
|
|
Posted on:3rd Aug 2012, 8:45pm |
|
|
buri halath mey hu.need help,advices Assalam alaikum
am facing a critical problem from many months.
mujhe namaz padte waqt aur qaaskar quraan paak padte waqt bohat bure khayal aate hai.aur ye khayal quran ko related hai.u cannot imagine utne bure khayalat.
i was hesitating to share this. there were 2 reasons for not sharing. first is that am timid and i thought ke log mera galat matlab nikalenge. aur second ke mera ye problem kisi aur ko na ho.
par ab mujhse aur bardasth nahi hota. i wanna get rid of this problem very soon.
jab bhi mi namaz ya especially quran padti hu, tab bure khayal aate hai. jaise ke naaujbilla mai quran-e-paak ko washing room legayi ho, ya am stepping on quran, aur bure bure khayal aate hai jo mi explain nahi karsakti hu:( :( mai bohat sherminda hu is khayalo se. maine bahot baar Allah (s.w.t) se muafi bhi mangi,touba kia, dua ki ke is tarah ke khayalat se shifa de par pata nahi aise khayalat still aarahe hai.
jab mi washing room me rahu tab bhi quran-e-pak ko lekar phir aise khayal aarahe hai. maine Allah(s.w.t) se dua mangi ke agar kuch jaane anjane mujhse galti ho gayi ho tho mujhe maaf karde par aise khayalath na aane de.
ye likhte hua bhi mujhe rona aaraha hai.
mi 5times namaz padti hu aur alhamdulillah quran ki tilavat bhi karti hu.
maine online kuch threads padha hai jisme ye likha hai ke shaitan bhatkane se aise khayalath aate hai par ab ramadan ka paak mahina chalraha hai (jisme shaitan ko bandhi banaya jata hai,shaitan adam zaad ko nahi bhatkata hai) par phir bhi mujhe aise khayalath aate hai. ab mi kya karu. i cant share this in my home,cant go to any muftis,dargahs bcoz v dont believe in them.
please help. shayad Allah(s.w.t) aap may se kisi ko meri pareshani ki hall ka zariya banaya ho..
am very very in need of help,suggestions what to do to get rid of this.facing this problem from many months kariban 1 saal. mujhe aisi sonch se chutkara chahiye kyun ke mi Allah(s.w.t) ke punishment se bahut darti hu :( :( :(
Allah ap sab ki duao ko khubul kare ameen summaameen
|
heroX |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2011 Topic: 2 Post: 11 Age:
20
|
|
Posted on:3rd Aug 2012, 9:06pm |
|
|
Don't worry
Don't wory anam It's nothing ya sirf shetani was wase han or kuch bhi nahi jab bhi ap chalte phirty La hola Wala kota Ill'A BILLAH Parha karo istaghfar karti raho to kuch bhi nahi ho ga or agr aesa khayal a jae to istagh far karo or La hola Wala kota Ill'A BILLAH parho namaz ke doran jo surat ap par rahi ho os ka matlab samjh ne ki koshish karo to ayse khayal dil me jga nahi len ge aese khyal tab hi ate han jab zehn khali hota ha jab ap apna pura focus namaz pe rakho gi to kuch bhi ap ke zehn me nahi ay ga hope this will help you or Gulti feel mat karo kun ke ap jan bogh kar to nahi soch rahi ho mujhe bhi yahi problem thi phir ma ne La hola Wala kota Ill'A BILLAH parna shoro kya to theek ho gai. By your well wisher Hamza Hashmi
|
anaam |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2011 Topic: 3 Post: 15 Age:
24
|
|
Posted on:3rd Aug 2012, 9:31pm |
|
|
shukria herox ji mi har waqt istighfar padti rahti hu. aur jab bhi aise bure khayalath aate he chahe vo namaz padte waqt ya ho quran padte waqt, turanth touba karleti hu. par phir bhi thodi dair badh phir aate hai. namaz padte waqt bojat kam aisa khayal aate hai par quran-e-pak padte waqt he aisa zyada hota hai. aur mai translation se bhi quran padti hu,jisse mera dar aur badh gaya. i fear Allah much...
plz plz plz aap sab se guzarish hai ke aap sab mere lia dua kare,is khayalat se shifa,chutkara paane ke lia aur jald se jald shifa ke lia jisse mi aur ache se ibadath me dhyan laga saku..:( :(
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:3rd Aug 2012, 11:02pm |
|
|
anam 1. ap kabhi bhi in shaitani khayaalaat ko kissi say share nah karaiN...apni qareeb tareen fard sya bhi nahi...yeh bahoot baRa gonaah hoga... boray khayaal anaa to koi gonaah nahi, lekin issay doosrouN ko batlana /ishtehaar denaa gonaah hai
2. ap quran paak yaqeenan sirf naazerah say paRhi hongi aur apko arabic nahi aati hogi...mera mashwarah yeh hai k aap quran ko filhaal sirf translation say paRhaiN. english, hindi yaa urdu ka koi sa bhi translation book lay kar sirf translation with tafseer paRhaiN to apki tawajjah quran k mafhoom ki taraf jayegi
3. namaaz maiN aap jo kuch paRhti hai, onka tarjumah achi tarah yaad kar laiN, yaa baar baar paRh laiN.... taakay jab aap namaaz paRhaiN to sirf arabic wordz, matlab janay beghair nah paRhaiN...jab apki tawajjah namaaz main paRhi janay wali arabic ayaat k mafhoom ki taraf rahegi to boray kia, koi acha khayaal bhi nahi aayega :)
iss nuskhay par amal ka aaghaaz abhi say karaiN, auzobillahe minash shaitaanir rajeem aur laa haul wa la quwwat illah billah ka wird zeyadah say zeyadah karaiN. |
Kooldude999 |
Group: Members Joined: 24th Jan, 2012 Topic: 3 Post: 19 Age:
20
|
Blocked |
Posted on:4th Aug 2012, 9:38am |
|
|
@Reply Ye apka mental problem hai, aap jaisa imagine karoge waisa hoga. As said by hero X u have to recite some good prayers & stay in good atmosphere. Aap ye sochkar zyada pareshaan na ho bcoz u may fell in other problems. If those type of scenes comes in mind then immediately recite prayer & try to imagine the natural gifts of god like trees, beautiful birds, colourful Nature etc. Coz its depends on ur imagination and mentality..... |
anaam |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2011 Topic: 3 Post: 15 Age:
24
|
|
Posted on:4th Aug 2012, 9:57am |
|
|
thanks alot myrizvi and kooldude999 Assalam alaikum
inshaallah mi zarur myrizvi ji ke kah hua batho par amal karungi. and mi quran arabic me ayath aur english me tarjuma padti hu.
kooldude999 ji aapka ye jo idea hai jo Allah ke kudrati toufe ko imagine karna, vo mujhe kuch useful lagraha hai.
as soon as i read about herox ji's post,i started reciting lahowla wala...... and alhamdulillah its quite useful..
tah dil se aap sab ka bahut bahut shukria. mere lia dua kare ki mi is khayalath se chutkara paauu..
Allahhafiz
|
|