Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Kia Ye Mustanad Waqea Hai Ya Ye Mustanad Hadees Hai?

Religion and Culture
 
 
 
billzeee Group: Members  Joined: 19th Jul, 2012  Topic: 3  Post: 3  Age:  21  
Posted on:22nd Jul 2012, 12:07pm
 

Kia Ye Mustanad Waqea Hai Ya Ye Mustanad Hadees Hai?

bani israel ki aurat jis ne kutte ko pani pilaya tha mujy us ka wakaya bata dy i  m really confuse muj sy kisi ny pocha ha or mujy ni pata mari kafi larai hoi ha k asa huwa tha but wo ni manta mujy ya pura wakaya ni pata mujy bata dy taky ma us ko clear kar do thanks
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 39  Post: 2165  Age:  47  
Posted on:22nd Jul 2012, 6:01pm
 

billzeee

pehli bat to yeh hai k BANI ISRAEL ki riwayat ka humaray deen se koi taluq nhn hai

woh qisa is terah se hai kitabon main k

aik FAHSHA (PROSS) aurat thi jis ki sari life gunah main guzri thi jab woh mer gaai to us ko le janay waly farishtay usay jahanum ki teraf le ja rahay thay k beech main janat k farishtay usay lenay pohanch gai aur us ko janati honay ki khush khabri di

istafsar perpata chala k us en mernay se pehlay aik piyasay kuttay ko pani pilaya tha us ki is naiki ne usay janat main pohancha diya

yeh riwayat un logon ki phelaai hui hain jo yeh imaan rakhtay hain k her insan janat main jai ga us k gunah us ko jahanum main nhn le ja sakain gay choti se choti naiki bhi usay bacha sakty hai

yeh aik terah se islam k asoolon aur qawaid e shariyat e Mohammadi SAW k khilaf hai

is liyay aisi riwayat ko base bana ker SAB KUCH kertay rehna aur zindagi gunahon main guzar dena seraser gumraahi hai

isi k level ki aik aur riwayat hai jis k mutabiq

aik buzurag bohat ibadat guzar thay aur shetan un ko behkanay main nakam raha to shetan ne un k zehan main aik nai bat dali k tu kesa allah ka mananay wala hai k tu ne kabhi TOABA ka maza hi nhn chakha yani jab tu ne gunah hi nhn kiya to tu ne TOABA bhi nhn ki kabhi tujhay kya pata k Allah kitna khush hota hai TOABA se

woh buzurag behak gai aur gunah kernay aik FAHISHA aurat k pass pohanchay

us aurat ne jab un buzurag ko apnay derwazay per dekha to bohat heran bhi hui aur khush bhi k itni beri hasty us k derwazay per aai hai

us ne bithaya aur poocha hazrat kesay aamad hui

buzurag bolay gunah kernay aya hun

aurat ne pooch ahazrat aap jesi azeem hasty aur gunah ka irada aisa kiun

buzurag bolay k main chahta hun k Allah ka mazeed QURAB hasil kerun kiun k TOABA ka aik aansoo Allah ko bohat pasand hai

aurat boli hazrat mujhay koi etraz nhn lekin ap k paas kya guarenty hai k gunah k baad ap ki zindagi k pass TOABA kernay ki mohalat hai kya pata aap gunah kertay hi mer jain

buzurg ne socha aur shetan ka behkawa jan gai foran LAHOL perhi aur wapis aagai

kehtay hain k woh aurat usi waqat mer gai aur janat main gai kiun k us ne aik AABID O ZAHID ko gunah se bachaya

is riwayat se yeh sabaq to milta hai k ager insan khud gunagar ho lekin kisi ko gunah se bacha le aur us k baad koi gunah na keray to janat main janay ka chance hai lekin pehli riwayat k hisab se aisa kuch nhn k aik kuttay ko pani pilanay per koi gunah gar janat main janay ki guarenty ho

werna to sare europ aur america walay hum se ziyada janaty hon gay kiun k jitnay kutton ko woh pani pilatay hain utna koi musalman nhn pilata

aisi riwayat main koi hawala nhn hota bas aik buzurag hota hai aur aik shetan aur aik gunah gar

is liyay bina hawalay ki kisi bhi riwayat ko sach man ker us per amal kerna musalman k liyay sahi nhn

mazeed roshni k liyay MYRIZVI se derkhuast hai

aisi riwayat iman afroz to hoti hian lekin qabil e amal ya qabil e tafkeer nhn

WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 38  Post: 2976  Age:  24  
Posted on:22nd Jul 2012, 8:34pm
 

Wehshi

Really great explained
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5913  Age:  53  
Posted on:23rd Jul 2012, 3:13am
 

jazak Allah wehshi bro

well said
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012