billzeee
pehli bat to yeh hai k BANI ISRAEL ki riwayat ka humaray deen se koi taluq nhn hai woh qisa is terah se hai kitabon main k aik FAHSHA (PROSS) aurat thi jis ki sari life gunah main guzri thi jab woh mer gaai to us ko le janay waly farishtay usay jahanum ki teraf le ja rahay thay k beech main janat k farishtay usay lenay pohanch gai aur us ko janati honay ki khush khabri di istafsar perpata chala k us en mernay se pehlay aik piyasay kuttay ko pani pilaya tha us ki is naiki ne usay janat main pohancha diya yeh riwayat un logon ki phelaai hui hain jo yeh imaan rakhtay hain k her insan janat main jai ga us k gunah us ko jahanum main nhn le ja sakain gay choti se choti naiki bhi usay bacha sakty hai yeh aik terah se islam k asoolon aur qawaid e shariyat e Mohammadi SAW k khilaf hai is liyay aisi riwayat ko base bana ker SAB KUCH kertay rehna aur zindagi gunahon main guzar dena seraser gumraahi hai isi k level ki aik aur riwayat hai jis k mutabiq aik buzurag bohat ibadat guzar thay aur shetan un ko behkanay main nakam raha to shetan ne un k zehan main aik nai bat dali k tu kesa allah ka mananay wala hai k tu ne kabhi TOABA ka maza hi nhn chakha yani jab tu ne gunah hi nhn kiya to tu ne TOABA bhi nhn ki kabhi tujhay kya pata k Allah kitna khush hota hai TOABA se woh buzurag behak gai aur gunah kernay aik FAHISHA aurat k pass pohanchay us aurat ne jab un buzurag ko apnay derwazay per dekha to bohat heran bhi hui aur khush bhi k itni beri hasty us k derwazay per aai hai us ne bithaya aur poocha hazrat kesay aamad hui buzurag bolay gunah kernay aya hun aurat ne pooch ahazrat aap jesi azeem hasty aur gunah ka irada aisa kiun buzurag bolay k main chahta hun k Allah ka mazeed QURAB hasil kerun kiun k TOABA ka aik aansoo Allah ko bohat pasand hai aurat boli hazrat mujhay koi etraz nhn lekin ap k paas kya guarenty hai k gunah k baad ap ki zindagi k pass TOABA kernay ki mohalat hai kya pata aap gunah kertay hi mer jain buzurg ne socha aur shetan ka behkawa jan gai foran LAHOL perhi aur wapis aagai kehtay hain k woh aurat usi waqat mer gai aur janat main gai kiun k us ne aik AABID O ZAHID ko gunah se bachaya is riwayat se yeh sabaq to milta hai k ager insan khud gunagar ho lekin kisi ko gunah se bacha le aur us k baad koi gunah na keray to janat main janay ka chance hai lekin pehli riwayat k hisab se aisa kuch nhn k aik kuttay ko pani pilanay per koi gunah gar janat main janay ki guarenty ho werna to sare europ aur america walay hum se ziyada janaty hon gay kiun k jitnay kutton ko woh pani pilatay hain utna koi musalman nhn pilata aisi riwayat main koi hawala nhn hota bas aik buzurag hota hai aur aik shetan aur aik gunah gar is liyay bina hawalay ki kisi bhi riwayat ko sach man ker us per amal kerna musalman k liyay sahi nhn mazeed roshni k liyay MYRIZVI se derkhuast hai aisi riwayat iman afroz to hoti hian lekin qabil e amal ya qabil e tafkeer nhn |