Reply Uncle Zafar , agar mein habitual hota tu Khuda nakhuasta mujhe iss baar bhi apni ghalati per afsoos na hota bulkeh, apne liye koi aur mard dhoond raha hota ,,, aur phir yehi kio ,,, mein tu sex bhi ker chuka hota kisi mard k saath wese b europe mein kaun roke ga ...........
Aap log jo sirf baatein kerne walon mein se hain nahin jaantey k GAY hona mere liye ya mere jese aur larkon k liye "choice" nahin hai ..... yeh wesi hi abnormality hai jese Allah Pak kisi ko fitri taur per goonga ya behra paida krey ....
Aur yeh bhi mera Allah janta hai ,,,,, k shaoor anay k baad mein ne apne ap ko iss bad kaari se kitna bachanay ki koshish hai ...... Aaj tk science ki koi esi tehkeek yeh saabit nahi ker ski k homosexuality choice hai .... yeh insaan k ikhtiyaar mein nahin hai ,,,,,,,,,, haan iss se yani budkaari se bachay rehna zaroor hamare ikhtiyaar mein hain ........ aur namaz hee iss se bacha skti hai
aur jese koi bhi larka ya ap jesa shakhs shaitan k behkaway mein ajata hai mein bhi nahin jaanta mein kese agaya ............. mera ALLAH mujhe muaaf krey ,,,,, Ameen
ilzaam lagaane se pehle please ,,,, soch zaroor liya kijiye .... |