islam aur firqa bandi
islam main iman ki buniyad hai QURAN aur HADEES ager hum Quran aur Hafees ka with translation mutalea kerain to ap ko koi feraq nhn milay ga "yeh Quran ki ayat hai k kuch log thoray se duniyawi nafaa k liyay humari ayat ka matlab badal detay hain " lekin jab hum tashreeh aur tafseel main jatay hain to us main humain feraq nazar aata hai sab se pehlay ikhtilaf aur firqa bandi 4 IMAMO ki taleemat ko buniyad bana ker FIQAH ki shakal main ki gai us k baad phir un 4 fiqah ko firqa bana diya gaya aur us k baad phir firqa bandiyan banti chali gain kuch Quran ko buniyad bana ker au rkuch Hadees ko buniyad bana ker hadees ki mostly tafreeq riwayat ki base per ki gai jis main Nabi SAw ki direct hadees nhn hain lekin sahaba ki biyan kerda tafaseel ko buniyad banaya gay ahai islam main kuch ikhtiyar hain jinhain logon ne buniyad bana liya jis main sab se beri misal NAMAZ K AUQAAt ki hai Jibrael AS ne Nabi SAW ko awal waqt se le ker aakhir waqt tak namaz ka waqat batanay k liyay pehlay din awal waqat main namaz perhwaai aur phir dooseray din aakhir waqat main is terah musalmano k liyay namaz k starat aur end ka waqat bata diya ab kisi en awal waqat per hi khud ko paban dker liya au rkisi ne aakhir waqat ko us k baad mufaad peraston ne apni kamaai k liyay au rmusalmano ko apis main leraya , merwaya aur firqay bana diyay aj kal k is net au rcomputer k doar main bhi hum musalman apni jahalat main doobay huway hain aur firqon per na sirif atkay huway hain balkay mari ker rahay hain qatal o gharat gari ho rahi hai aur saboot kay detay hain k Nabi SAW ki hadees detay hain k Aap SAw ne fermaya k islam k 72 firqay hon gay aur hum tulay huway hain 72 firqon k liyay jab k jahan tak main ne perh ahai k ummat k 72 firqay k alafaz hai hadee smain aur ummat main her woh insaan aur mazhab hai jo qayamat tak aai ga kiun k her peda honay wala bacha musalman hota hai us k baa dus k walden usay apnay mazhab per le jatay hain is liyay is bareek bat ko moti si misal se samjha ja sakta hai koi saqeel tehqeeq nhn kerni perti |