john008 |
Group: Members Joined: 17th Apr, 2012 Topic: 1 Post: 5 Age:
22
|
|
Posted on:17th Apr 2012, 12:00pm |
|
|
question salam, i want to ask you that i and my gf love each other alot, hum 2no ne 2 witness k samne aik 2sre ko qubool kar liya tha, i want to ask you yhat kya hamara nikah ho gya?
|
Siyah Posh |
Group: Members Joined: 08th Apr, 2012 Topic: 6 Post: 264 Age:
48
|
Blocked |
Posted on:17th Apr 2012, 1:57pm |
|
|
john008
ji nhn i sterah nikah nhn hota aisa sirif hindu ism main hota hai k kisi bhi DEVTA ko SAKSHI MAN ker SINDHOUR mang main bher den to shadi ho jati hai lekin un main bhi jab tak shadi leagle na ho honay wala bacha najaiz hi kehlata hai islam main aisa koi tasawur nhn k aap apni lust mitanay k liyay koi bhi drama ker len aur samjhain k ap k shadi ho gai is liyay ager ap ne koi bhi amal kiya hai husband wife wala to woh HARAM KARI kehlaai ga |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6481 Age:
54
|
|
Posted on:18th Apr 2012, 12:50am |
|
|
bhai siyah posh apkay husnay niyyat par to koi shak kia hi nahi jasakta... lekin fiqahi maamlaat maiN kabhi kabhi apkay faway samajh say balaa tar hotay haiN.
nikaah k 3 arkaan hain, iskay beghair nikaah nahi hota aur agar sirf in 3 rukn ko adaa karlia jaa.ay to nikaah hojata hai
1. aqil baligh laRkay laRki ka eejaab o qabool
2. iss ejaab o qabool k 2 mard aaqil o baaligh gawaah
3. haqay mahar ka ta.ayyun ... lekin agar kissi nikah k dauraan mahar fixed nahi bhi howa to laRki ki families k recent haqay mahar k mosawi haqay mahar autometically fixed samjha jayega, jissay laazman husband nay pay karna hai...fauran yaa baad maiN
4. iskay elawah aik chauthi shart bhi hai aur woh hai kanwari laRki k wali ki razaamandi... jo baaz foqahaa k nazdeeq zaroori nahi hai aur baaz foqaha kahtay haiN k agar wali ki razaa mandi k beghair kissi nay nikaah karlia to nikaah hojayega
baqi khotbah e nikaah masnoon hai...farz yaa laazim nahi...nikah ki registration law of the land hai...shariyat ki zaroorat nahi. aur shadi ka function aik rasm hai, iska islam say koi talluq nahi
ap batlaiyyeh k kia nikah k valid honay k liyeh above k elawah bhi koi sharaait haiN? aur in sharait ki raushni maiN john ka nikaah valid kiyouN nahi howa?
john: agar ap muslim haiN to apnay maslak k kissi bhi mufti say fauran mashwarah karaiN. yahaaN koi mufti /aalim nahi jo apko fatwa day sakay k apka nikaah hogaya hai yaa nahi howaa hai... yeh bahoot zaroori hai, agar ap islamic shariyat ko aham samajhtay houn to
|
john008 |
Group: Members Joined: 17th Apr, 2012 Topic: 1 Post: 5 Age:
22
|
|
Posted on:18th Apr 2012, 5:38am |
|
|
rep i'm a muslim, and 4 all of your kind info nikah aik 2sre ko qubool karne
ka name hai, condition ye hai k aap baigh hun aur witness bhi aaqil
baligh hun, hm ne ase hi kiya hai and dnt say that k ye lust k liye kiya
hai, aesa kuch kam to hm ne kiya hi nh hai
|
Siyah Posh |
Group: Members Joined: 08th Apr, 2012 Topic: 6 Post: 264 Age:
48
|
Blocked |
Posted on:18th Apr 2012, 12:54pm |
|
|
my rizvi
meray fatway is liyay ap ki au rkuch aur members ki samjh se baher hotay hain kiun k main islam ko tor meror ker nhn dekhta balkay main islam ko aik hard n fast rules main leta hun ager main saaf alfaz main kahun to ap is terah ki bat ker k nojawan nasal ko yeh pegham de rahay ho k 3 dost ikathay kero na nikah na sunaat na feraz bas un ko gawah banaao aur shadi ho gai??? wesay sahi bhi hai kiun Nabi SAW ka islam to 1400 saal purana aur daqiyanusi hai ap log 21ween sadi k aalim ho aisay hi fatwon se islam ki tajdeed ho gi naa |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6481 Age:
54
|
|
Posted on:18th Apr 2012, 11:08pm |
|
|
siyah posh bhai naraaz hogaye
bhai mujhay sirf yeh batlaado k 1400 saal pahlay dauray resaalat aur dauray sahabah RA maiN 1) nikaah kaisay hota tha 2) nikaah ki sharait kia thee 3) quran aur hadees maiN nikaah ki minimum condition kia hai?
to the point baat karaiN... nah apni kahaani sonayaiN, nah meri kahani sonaiN... with reference to quran o hadees ... nikaah k sharaait (faraaiz) batlaa daiN ... aur yeh bhi batlaa daiN k nikaah farz hai, sunnat hai yaa nafil
PS: pls ghair jazbaati aur maaroozi jaawaab dijyega . shokaryah
|
zeest.ajee |
Group: Members Joined: 19th Apr, 2012 Topic: 0 Post: 1 Age:
23
|
|
Posted on:19th Apr 2012, 4:14am |
|
|
To john bhai Salam.bhai ap ko fatwa pochna hy to is website ko open karo,is my Jamia binoria k Mufti hazaraat ki detail mojood hy.Bht shfqat se Aap ki rehnumai karengy.inshallah http://www.jamiabinoria.net/darulifta/pages/intro.html
|
Siyah Posh |
Group: Members Joined: 08th Apr, 2012 Topic: 6 Post: 264 Age:
48
|
Blocked |
Posted on:19th Apr 2012, 3:30pm |
|
|
myrizvi
mera aap se sawal hai k Nabi SAW ne koi aik bhi nikaah aisa kiya k 2 logon ko gawah bana ker samjh liya k nikah ho gaya Aap SAW ki zindagi humaray liyay namoona hai Zenab Bint e jehash RA se bhi aap SAW ne nikah kiya tha halan kay yeh kaha kertay thay ap un se k humara nikah Allah ne perhaya hai lekin yeh jumla alamti tha kiun k us nikah k liyay Allah ne quran main hukam diya tha main sheraait k uljhaao main nhn jata mujhay koi misaal de den kya Fatima RA ka nikah Ali RA se aisay hi huwa tha k 2 gawahon main ho gaya aur bas???? islam k qanoon ko nazriyat se na uljhain aur is muasheray ko jo k pehlay hi maghrib zada hai ap k aisay fatwon se aur bhi behak jai ga hum is muasheray ko nanga honay se rok to nhn saktay lekin hum is ka hissa to na banain |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6481 Age:
54
|
|
Posted on:20th Apr 2012, 2:07am |
|
|
siyah posh bhai
apki jumlah khair.khahi maiN dil say motarif houN... aur society ko kharaab honay say bachaanay k liyeh hamaiN apna hissah zaroor Daalna chahiyeh. maiN ap ki baat 100% samajh gayaa...lekin ap meri baat ko (kam az kam) samajhnay ki koshish karain (maanaiN yaa nah maanaiN, yeh alag baat hai)
above ques agar youN hota... salam, i want to ask you that i and my gf love each other alot, hum 2no ne 2 witness k samne aik 2sre ko qubool kar liya tha, i want to ask you yhat kya hamara nikah ho gya?
qubool karna chaahtay haiN, i want to ask you yhat kya hamara nikah ho ja.ay ga?
tab maiN apkay jawaab say sahmat hota aur maiN bhi mausoof ko aphi ki tarah naseehat karta... magar inhouN nay yeh sab kuch karlia hai... ab agar sharayee qanoon (jisay ap maantay hi nahi:) ki roo say inka nikaah valid hogayaa aur yeh hamari naseehat par donouN alag hojayaiN.. aur larki kissi aur say nikaah karlay...to woh nikah par nikah ki murtakib hogi aur sari omar zina maiN mobtala rahegi... sirf hamari naseehat, society aur samaj k khauf say.
issi liyeh maiN nay john ko mashwara dia tha k fauran kissi mufti /aalim say rajoo karkay really maloom karay k onka nikaah hogaya hai yaa nahi... aur meri info k motaabiq hogaya hai aur seyaposh k motabiq nahi howa hai... jab 2 common person maiN tanaaze'a ho jaa.ay to iska wahid solution kissi expert say rajoo karna hai... woh expert jo authorised hota hai, fatwa dene ka, deen ko explain karne ka... myrizvi aur seyaah posh ki koi auqaat nahi hai, FATWA denay ki.
hope k ap mera point of view samajh gaye hongay...lekin agar nahi samjhay yaa nahi samajhna chaahaty aur apnay aap ko ulemaa aur mufti saahebaan say zeyadah authentic expert samajhtay hain to yeh apki marzi. maiN kia kah sakta houN
nikah aur talaaq ka maamla baRa sendsitive hota hai. nikaah nahi howa aur yeh samajh kar saath rahnay lagay k nikaah hogayaa... to yeh donouN omar bhar haraam kaari kartay rahengay..... agar nikaah hogayaa ...aur yeh samjhaiN k nahi howa aur laRki ka doosri jagah nikaah hojata hai to yeh nikaah par nikaah hai. yaani doosra nikaah haraam hai, jiskay sath laRki sari omar bad.kaari karti rahegi
issi tarah talaaq par tanaaze'a ho k talaaq howi ya nahi... to agar talaq valid hogayee ho aur yeh samajh lia jaa.ay k talaq nahi howi ... yaa talaq nahi howi ho aur yeh samajh kar k talaaq hogayee hai, laRki kaheen aur nikaah karlay.... to ap samajh saktay haiN k sooratay haal ketni pecheedah hogi.
issi liyeh iss baat ka faislah karna bahoot zaroori hai k nikaah ya talaaq howa yaa nahi ... aur iska faislah motalliqah expert hi kar saktay haiN
|
Siyah Posh |
Group: Members Joined: 08th Apr, 2012 Topic: 6 Post: 264 Age:
48
|
Blocked |
Posted on:20th Apr 2012, 6:09am |
|
|
myrizvi
main ne ap ki bat samajh li hai ap ager ghor kerain to us main jo lafazhai k 2 gawahon k samnay ek dooseray ko qabool ke rliya tha yani k na koi nikaah huw ana nikah ka khutba aur na hi IJAAB O QABOOL ki woh shert k lerki ka walid ya wali lerki ko nikaah k liyay pesh keray aur lerka qabool keray puri hui isi liyay main ne isay HINDUON ki shadi se taabeer kiya tha ager hum isay sahi keh den gay to kal ko her lerka lerki apnay 2-2 class fellows ko gawah banaain gay aur shadi samjh ker shuru ho jain gay au rkitnay lerkay lerki k waldenko is qabeeh herkat se black mail kerian gay is liyay islam ki asal rooh jo kehty hai usi k mutabiq in ko guide kerna chaha hai wesay to hum aap ko IMAAM man hi chukay hain isi liyay aap ka QIBLA derust karatay rehtay hain k humara bhi derust rahay :):):) |
TALESH |
Group: Members Joined: 25th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 205 Age:
33
|
Blocked |
Posted on:20th Apr 2012, 9:20pm |
|
|
sam Assalam Nice REPLYYYYYYYYYYYYYYYYY
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6481 Age:
54
|
|
Posted on:22nd Apr 2012, 5:20am |
|
|
aik hadees
ارشاد نبوی صلی اللہ علیہ وسلم ہے" تین کام ایسے ہیں کہ اس سلسلے میں سنجیدگی حقیقت ہے اور ہنسی مزاح بھی حقیقت ہے ، نکاح ، طلاق اور رجعت ۔ { ابو داود ، الترمذی } ۔
یعنی اگر کوئی شخص کسی عورت سے مذاق میں نکاح کرتا ہے ، جیسے آج کل فلموں اور ڈراموں میں عام ہے تو یہ حقیقت میں نکاح منعقد ہوجاتا ہے بشرط یہ کہ دیگر شرائط نکاح موجود ہوں ، اسی طرح اگر کوئی بیوی کو مذاق میں یہ کہتا ہے کہ تجھے طلاق تو اس سےطلاق واقع ہوجائے گی ، اِسی پر رجعت کوقیاس کرلیں
|
|