Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

DUA

Non Medical Discussion
 
 
 
yashfeen Group: Members  Joined: 17th Nov, 2011  Topic: 5  Post: 664  Age:  26  
Posted on:7th Mar 2012, 1:58am
 

DUA

Humare bich aise bht se log pay jate hai jo aksar kehte hai k...Dua me yaad rakhna, ya.. Duaon ki drkhwast, ya phir...humare liye dua krna mujhe tu ye ajib lagta hai kisi se zabardasti dua krwana Dua tu dilse nikalti hai na... Phir kisi k zubani dua krne se wo humare haq me qubul ho jati hai???
majorAli Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 1490  Age:   
Posted on:7th Mar 2012, 3:11am
 

Qabuliyat ka waqt kab aur kia hooN

ye pata nahiN lagaya ja saktaa, aksar loog samaj te haiN ke wo gunaygaar he, toh shayd kisi ki dua lag jaaye unhe.. leehaza, qabuliat ka sahi waqt sirf Allah ke paas he.
mairak Group: Members  Joined: 05th Dec, 2011  Topic: 15  Post: 1352  Age:  33  
Posted on:7th Mar 2012, 5:51am
 

Yashfeen

i guess aap uae wghera ma rehtee ho ? agar nahee b rehtee to imagine karo k aap 50 degree celcius per exactly azan k pehla dukan k bahar pohnchi aur dukan band ha. aap na 20 min dhup ma wait kiya aur jab dukan khuli tou dukandar na aapko ek coke free of charge khol ker da di. Jo rahat aapko mili usska uss na kuch ni manga. But aapkay dil se nikal sakta ha k Allah tmy khush rakhy ye dua nahee to aur kya hai?

Kayee baar koi insan aap k liye koyee bohat bara kam ker jata ha. magar usski nazar me wo bohat chota kaam hota hai. Tab aap ussko kuch return kerna chahain to bhee aap nahee ker saktay coz usskay paas tou already maybe sab kuch hai. Phir? wo kehta ha kuch na karen bas muja duaon ma yaad rakhain.

Sadqa-e-jaria ka b aik concept ha islam ma . Kehta hain kissi k liye ki huwi dua b sadqa jariya hoti ha. Yani uss shakhs k haq me qubool hogi ya nahee aapko brabar swab milega.

Jahan tak Qubuliyat ka muamla hai Allah k rusool apni ummat k liye dua kerta huwa iss dunya se rukhsat huway aur Maa ki dua ki examples tou kher aap na bohat suni hongi.Hum jab namaz me durud parhta hain wo hmaray liya bhee aur baki tamam muslim ummat k liye salamtee ka pegham hota hai. wo b dua hai. Jab essi duwa qubool na honi hoti tou Allah pak durud essa hee kiyun rakhtay? badal ker sirf parhna walay ki zaat aur Rsul Ullah ki zaat tak mehdood kiyun na ker detay?

Kissi aur se apna liye zabardasti nahee kerwayee ja saktee dua. wo dil se nikalti hai.magar ye keh ker k duawoun ma yaad rakhna as someone's benefitter aap apna aapki niyat clear ker detay hain k mujhy dunyawin cheezoun ka koyee return nahee chahye. aur jo b ma na kiya wo khulus e niyat se Allah k liye kiya ha. That is it iss k ilawa inn words ki koyee ehmiyat nahee.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:7th Mar 2012, 12:02pm
 

g haaN

dua khud bhi karni chahiyeh aur doosrouN say bhi dua ki darkhaast karni chahiyeh. kia khabar kab kis ki dua qabool ho jaa.ay
yashfeen Group: Members  Joined: 17th Nov, 2011  Topic: 5  Post: 664  Age:  26  
Posted on:7th Mar 2012, 1:54pm
 

thank u

mai ap sb se yahi puchna chah rahi thi k is trh dua karwana theek hai... Or answr hai k ye Sahi hai. Thnx again jazaak allah.. Duaon ki darkhwast bhi :)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:8th Mar 2012, 12:40am
 

yafsheen

Allah apko sada khush rakhay aur deen dunyaa dounouN maiN kaamyaab karay. aamen
yashfeen Group: Members  Joined: 17th Nov, 2011  Topic: 5  Post: 664  Age:  26  
Posted on:8th Mar 2012, 7:05am
 

thank u sir

allah tala apko bhi is dunya or aakhirt me izzat or shaan se zindagi guzarne ki toufiq ata farmay aameen
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013