Yashfeen i guess aap uae wghera ma rehtee ho ? agar nahee b rehtee to imagine karo k aap 50 degree celcius per exactly azan k pehla dukan k bahar pohnchi aur dukan band ha. aap na 20 min dhup ma wait kiya aur jab dukan khuli tou dukandar na aapko ek coke free of charge khol ker da di. Jo rahat aapko mili usska uss na kuch ni manga. But aapkay dil se nikal sakta ha k Allah tmy khush rakhy ye dua nahee to aur kya hai?
Kayee baar koi insan aap k liye koyee bohat bara kam ker jata ha. magar usski nazar me wo bohat chota kaam hota hai. Tab aap ussko kuch return kerna chahain to bhee aap nahee ker saktay coz usskay paas tou already maybe sab kuch hai. Phir? wo kehta ha kuch na karen bas muja duaon ma yaad rakhain.
Sadqa-e-jaria ka b aik concept ha islam ma . Kehta hain kissi k liye ki huwi dua b sadqa jariya hoti ha. Yani uss shakhs k haq me qubool hogi ya nahee aapko brabar swab milega.
Jahan tak Qubuliyat ka muamla hai Allah k rusool apni ummat k liye dua kerta huwa iss dunya se rukhsat huway aur Maa ki dua ki examples tou kher aap na bohat suni hongi.Hum jab namaz me durud parhta hain wo hmaray liya bhee aur baki tamam muslim ummat k liye salamtee ka pegham hota hai. wo b dua hai. Jab essi duwa qubool na honi hoti tou Allah pak durud essa hee kiyun rakhtay? badal ker sirf parhna walay ki zaat aur Rsul Ullah ki zaat tak mehdood kiyun na ker detay?
Kissi aur se apna liye zabardasti nahee kerwayee ja saktee dua. wo dil se nikalti hai.magar ye keh ker k duawoun ma yaad rakhna as someone's benefitter aap apna aapki niyat clear ker detay hain k mujhy dunyawin cheezoun ka koyee return nahee chahye. aur jo b ma na kiya wo khulus e niyat se Allah k liye kiya ha. That is it iss k ilawa inn words ki koyee ehmiyat nahee. |