Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Time Travel Invention

Non Medical Discussion
 
 
 
mywish Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 2  Post: 40  Age:   
Posted on:27th Feb 2012, 1:51am
 

Time Travel Invention

  Dear members. Mene suna he kai time travel abhi shayd invent nahin huwa, lekin ye project door nahin. Science bohot izaafa kar gaay hain aap ne waqt se zaada kyun ke unonaye deen ki tarhaa aap ne aap ko ek kitaab aur circle main restrict nahin kia.  

Aap loog aap ne aap ne opinions de ke kia aap ko lagtaa hain ke time travel mumkin hain?  

Kia app logoon ko lagtaa hain ke time travel se ye scientists past ya future main jaa gar past ki ghaltia sudhaar sakte hain? For example agar aap in sab ka jawaab de bhi dete hain, ye yaad rakhe, ke har harkat ke ek equal aur opposite reaction hona zaroori hain atleast by the rules of this world. toh ye bhi batain ke inn sab ke consequences kia honge? Meaning agar time travel ki jaati hain aur millions of yahoodiyon ko garmania ke rulers se baja lia jaata hain, toh pir wo aabaadi aur ab ki abaadi, zameen pe kese bane gaa bhooj? resources pe?  


Mene bewaqoof bhai ki ek thread par hi thi, regarding clones... Since wo jeeti, jaagti insaan banaa sakte haiN, aap ke dna, khoon se, etc.. toh leehaza, uss main rooh kaun deta hoonga? Main manta hoon ke ye sawal time travel se alag hain lekin, science ka hain... so plz do answer. 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:27th Feb 2012, 5:17am
 

time travel

1. time travel jab kabhi bhi mumkin howaa ... ho bhi sakta hai aur nahi bhi ... to yeh mumkin nahi hoga k koi shakhs past maiN jaa kar apnay earlier action(s) ko change ya undo karsakay ... yaa future maiN jaa kar apna future dekhnay k baad present maiN wapis aa kar (apnay future ko qabl az waq dekhay janay walay) oss action say haT kar koi action kar sakay.

2. aj bhi ham apnay PAST ko to recorded videos ki soorat maiN dekh hi letay haiN aur FUTURE ko bhi (kuch log kabhi kabhar), khaab maiN dekh hi letay haiN... hamaray piyaray Nabi saw to meraaj maiN future k jannat /dozakh ko dekh hi aa.ay thay... insaan iss world maiN Allah ka khalifah hai... lehaza Allah jab chaahega to insaan bahoot kuch karsaktay hai.... lekin yeh Allah ki mansha k khilaaf hoga k koi insaan apnay kiyeh gaye aamaal ko undo /change karsakay

3.cloning maiN bhi rooh Allah hi k hukm say phooNki jati hai... aik dry seed agar kissi khushk jagah par matti say ooper paRi rahay to "non-living" hi hoti hai... ham jetni daalaiN, cholay etc khatay haiN woh (as seed) "non-living" hi hoti haiN...lekin jab ham issay narm maTTi k ander favourable mausam maiN dabaa kar paani Daaltay haiN to yehi non-living-seed, aik living plany ki soorat ikhteyaar karjata hai... iss plant maiN "rooh" bhi Allah hi Daalta hai... (process insaani haathouN say hota hai), khaah yeh farm maiN "naturallly tareeqay say ho yaa lab maiN astificial tareeqah say.

yehi haal animal /human ki reproduction ka hai...natural tareeqay say ho, test tube baby say ho, yaa cloning say...har soorat maiN iski growth tab hi hoti hai jab Allah k hukm say iss maiN rooh phooNki jati hai

wallaho aalam bissawab
yashfeen Group: Members  Joined: 17th Nov, 2011  Topic: 5  Post: 664  Age:  26  
Posted on:27th Feb 2012, 5:35am
 

nice reply

v nice reply rizvi sahab. Lkn iska conclusion kya nikalta hai? Sci. Me tu kuch bhi imposible nahi, lkn islam me aisa kuch nahi h?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:28th Feb 2012, 12:51am
 

science vs religion

yeh aik doosray k beghair andhi aur langRi hai... jab tak donouN saath saath aik doosray say milkar nahi chalengay, insaan kissi correct result tak nahi pahonch sakta

jaisay physics, chmeistry, math, biology etc alag alag ilm /subjects hain magar iss dunya k HAQAIQ ko samjahnay k liyeh insab ka apas main aik doosray ko "support" karna laazim hai...ap kissi aik subject ko isolate karke insaan /universe ki haqeeqat ko nahi jaan saktay

science HAWASAY KHAMSAH (5 senses) say haasil kardah ilm ka naam hai...jabkay religion /wahee Allah ki taraf say direct di gayee ilm ka naam hai... hawaas say bahar ki dunya ko science nahi detect kar sakti... jaisay jinnat k wajood ko science describe nahi karsakti...

science maiN sab kuch "possible" nahi hota. math kahti hai 2+2=4 ... ab 2+2=5 to nahi hosakta...iss liyeh yeh kahna k sacience maiN sab kuch possible hai, ghalat concept hai... oxygen aur hydrogen k chemical milaap say water H2O bantaa hai...milk nahi ban saktaa...

issi tarah insaan agar time machine ejaad karkay maazi /mostaqbil maiN chalaa bhi jaa.ay to past k amal ko undo nahi karsakta aur apna future dekh kar present maiN wapis aa kar apnay (dekh liyeh gaye) future say haT kar koi kaam nahi karsakta... it seems illogic as well
majorAli Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 1490  Age:   
Posted on:28th Feb 2012, 3:21pm
 

Allah gives choices

agar hamare paas choices hon toh ham ghalat ko sahi se, aur sahi ko ghalat se choose kar sakte hain. lekin ye baat samaj ne mere liye ehaim hain ke agar inn choices ke badoulat insan paast main chalaa jataa bhi hain, to kia uss ko tab choice nahin di jaaye gi, ya wo choices sirf uske zindagi ke kuch waqt tak mehdood he?

Dear myrizvi please explain above query to me. thanks
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:29th Feb 2012, 1:12am
 

zindagi k choices

hamari poori zindagi (from birth till death) aik imtehaan hai. iss imtehan maiN hamain har pal, har lamha 2 choices milti haiN... to do good or to do bad... kissi aik lamhah maiN jab ham yeh choice opt karletay aiN to phir oss lamhah ka choice khatam hojata hai... phir ham oss lamhay k done work ko edit /delete nahi kar saktay...agar aisaa karsaktay to phir exam kis baat ka

ajkal bahoot say achay adarouN maiN entry online test /exam liyeh jatay haiN... har question k samnay 1,2,3,4 options hotay haiN...jab ham aik baar online test k liyeh login hojatay haiN...aur kissi sawal k options maiN say kissi aik ko opt karletay haiN to woh autometicaly save /sent hojata hai... ab ap oss question k answers (opted) ko change nahi karsaktay.

yehi haal zindagi k exam ka hai... ham jiss lamhay ko aik baar (good /bad work) "guzaar laiN" to woh lamha hamaray namaa e aamaal maiN saves /sent hojata hai thru karaman kaatebeen...... ab issay ham undo, edit/delete nahi karsaktay.

albattah ham apnay tamaam sabeqah gonaahouN (-ve points) ko ayandah k naik amaal like taubah, aur new naik amal like hajj etc (+ve points) say balance karkay net result maiN -ve points ko amalan "khatam" karsaktay hain
yashfeen Group: Members  Joined: 17th Nov, 2011  Topic: 5  Post: 664  Age:  26  
Posted on:29th Feb 2012, 10:45am
 

good explaination

v nice with proper example.
mairak Group: Members  Joined: 05th Dec, 2011  Topic: 15  Post: 1352  Age:  33  
Posted on:5th Mar 2012, 10:15am
 

Isska matlab

haqeeqat to sirf aaj ki ha.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:6th Mar 2012, 10:40pm
 

AAJ hi sab kuch hai

maazi bhi kabhi AAJ tha aur mostaqbil nay bhi AAJ banna hai... lehaza agar koi apna maazi, haal aur mostaqbil teenouN shaandaar aur kaamyaab banaanaa chaahta hai to AAJ par tawajjah day.

kissi aqalmand say poocha gaya k dunyaa ka sab say aham tareen kaam kaun saa hai ... aham tareen fard kaun hai aur aham tareen waqt kaun saa hai to oss nay jawaab dia:

dunyaa ka sab say aham tareen kaam woh hai, jo ap iss waqt kar rahay haiN.... sab say aham fard woh hai, jiskay saath ap iss waqt maujood haiN... aur sab say aham waqt yeh AAJ ka yeh lamha hai
mywish Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 2  Post: 40  Age:   
Posted on:12th Mar 2012, 12:30am
 

Aaj ki theory kal pe sawal

time travel ek wo haqiqat he jho aaj se pehle thayar he, aur jald mustaqbil main iska shayd koi istemal bhi hon. Lekin jho bat alirajput ne kahin wo mere samaj ne main bhi thori dushwari he ke ye kia, agar ham past ya future main jaye toh kia hamare paas badalne ki takat nahin hongi? wese jho ham aaj kar chuke wo kal ki story yani ke history hain, toh pir future ka koi bharosa?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:12th Mar 2012, 3:42am
 

past ko badalna

dunya maiN koi kaam bhi "undo" nahi hosakta ... jo kaam /amal hogaya woh path.thar pay lakeer hai

ham computer pay bhi jab kissi "do" ko "undo" kartay haiN to actualy ham "undo" nahi kartay balkay "last action" ko "redo" yaa "replay" kartay haiN aur bazaahir aisa lagta hai k ham nay "undo" kia hai...

nah ham future maiN jaa kar (agar jaa sakay to) koi kaam "peshgi" kar saktay haiN (sirf dekh saktay haiN k jab yeh future , present ban kar aayega to ham kia karengay) that's it

jaisay tv par aanay walay kissi live match k kissi action ko as "replay" dikhlaya jata hai to iss "replay" maiN player apnay iss action ko change nahi karsakta... jo kuch hochuka hai (1 min pahlay ki maazi maiN) irf ossi ko dekha jasakta hai yaani maazi maiN jaa kar sirf dekh sakta hai, apnay action ko... issay change nahi karsakta.
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013