Depression: Causes, Symptoms and Treatment Options: Depression aik bohot common mental illness hai magar awareness na hona ke ke wajah say bohot say log depression ke causes, symptoms aur treatment options nahin jaantay. Iska illawa bohat say log yeh samajhta hain keh agar koi person depressed hai to us mein uska apna kusoor hai. Haqeeqat yeh hai keh depression ke main reason yeh hai keh brain kay andar aik chemical "serotonin" ke kami ho jaati hai. Serotonin ke kami ke wajah say depressed logon mein stressful aur upsetting life events ko face karnay ke salahiat kam ho jaati ha,confidence loose ho jaata hai aur negative feelings develop ho jaati hain jo ahista ahista depression mein tabdeel ho jaati hain.
Depression ka kai symptoms hota hain:
1): Low energy aur har waqt tired feel karna. 2): Sleep disturbance ( either too much or too little sleep). 3): Appetite (bhook ) disturbance. 4): Concentration problems, resulting in studies or job performance getting effected. 5): Frequentcrying episodes. 6): Felling hopeless, helpless and worthless. 7): Excessive guilt and self blame, and lack of self confidence. 8): Depressed mood and thoughts of death/suicide ( in severe cases). 9): Feeling negative about ourselves, others and the future.
Zaroori nahin keh har depressed person mein yeh tamam symptoms hon, magar agar in mein say atleast 5 symptoms hon aur atleast 2 weeks tak persist karain to professional help laini chahya.
Depression kay kai treatment options hain. agar depression severe hai to antidepressant medications prescribe ke jaati hain, jo bohot effective hoti hain aur serotonin levels ko normalize karti hain, magar atleast 6 months tak laini hoti hain. Agar depression less severe hai to psychotherapy ( talk therapy), for example cognitive behavioral therapy bhee effective ho sakti hai. Important baat yeh hai keh agar depression start mein mild ho aur proper treatment nah kiya jae to chances yehi hoti hain keh depression waqt kay saath saath aur severe ho jae gee, aur saath saath anxiety bhee develop ho jae gee. Isi liya early recognition aur proper treatment bohot zaroori hota hai.
|