Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Jangi Khwab Ana.

Non Medical Discussion
 
 
 
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1864  Age:  26  
Posted on:11th Sep 2011, 7:17pm
 

Jangi Khwab Ana.

aksar huem bure hawab ate he laikin kuch hawab aisay hoty he jinme sirf yehi houf rehta hai k jaisay abhi humari jaaan nikal jayegy ya abhi ahri time hai.........:(
mjy aisay hawaab aksar ate he aur meri mother kehti he k mjy ( dbaaao perta hai) yeh kio perta hai aur mene note kia hai k mjy jb bhi aisay hawab ate he me seedhi soi hoti hu aur mera aik hath ya dono hath seene per hoty he...........aksar jb aisay hawab arhy hoto me neend mein drti bhi hu aur mere husband ki ankh khul jaye to wo mjy hilaty he to meri ankh khul jati hai aur mera dil zor se dhuruk rha hota hai.
me yeh janna chahti hu k ye dbaao perna kia hota hai aur kio hota hai aur humesha isme bure hawab hi kio ate he.
1.hawab mjy bht kasrat se ata hai jisme jaang horhi hoti hai aur jahaz urhy hoty he aur mjy yehi houf hota k wo meri sis ko lay jayegy.......aur jb wo jahaz mere bht qareeb ajata hai to meri ankh khul jati hai.
2. is hawab mein bhi jangi jahaaz hi nazar ate he aur wo aik dam paas ajaty he aur me bht onchi kalma tyebah perhti hu bht ziad aaur onchi awaz me aur phri ankh khul jati hai aur ye jahaz india k hoty he aur jiswaqat ye qareeeb ate he mein akaili hoti hu pass koi aur nahi hota.
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:12th Sep 2011, 3:09pm
 

hasna

kya aap 1990 ki war main about 3-4 saal ki thin aur shayed ap us waqt yaheen damaam main thin

ager aisa hai to phir ap k khuwab ki samjh aati hai

hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1864  Age:  26  
Posted on:13th Sep 2011, 5:18am
 

wehshi uncle

nahi me us waqat pakistan mein thi...........laikin mjy mere mamu aur nani ami aksar 1965 ki waar k bare me btaya krty thy as a kahani bna k mmau skt me rehty he aur unho ne sab jang hud diakhi ........... laikin masla yeh hai k mjy aisay hawab ate kio he inse peecha kaisay churaaao jbkay mamu ne jb btaya us waqat me bht choti thi aur woh sab bate mjy abhi bhi yaad he.l........

mein ksa me 1999 me ayi thi.
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:13th Sep 2011, 5:34pm
 

hasna

aik to aap apnay sonay se 4 hour pehlay se kuch na khao na piyo bas pani ya doodh ya juice

is k ilawa 3 bar ayatal kursi, 4 Qul

surah fateha aur surah ikhlas per ker apnay aap per dam ker k soya kerain

kuch aur bhi hai jo ap ko bata dun ga

hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1864  Age:  26  
Posted on:14th Sep 2011, 7:49am
 

wehshi uncle

theek hai me sone se 4hrs pehlay tk kuch bhi nahi khaya krugi.waisay bhi rat ka khana hum 11.30pm khaty he aur mein ziada tr fajar k bad hi soti hu.......:)

aur sone se pehlay mene medicine laini hoti hai to bs pani ya dooodh hi peeti hu iskay ilawa kuch nahi.


aur mein sone se pehlay ayatkursi 4qul aur surah fateha perhti hu aur hud per aur apne husband per bhi dam kr k soti hu...........agur kbhi mjy yaad na rhy perhna to us rat mjy drowna hawab lazmi ata hai.............:(


ap mjy bta day k mein mazeed kia perha kru........aur aik ayat hai uska trjmaa bhi bta dy mjy kisi aurat ne yeh ayat perhne ko kaha hai mgr yeh nahi btaya k kis surah se hai aur kia ayat hai.

ayat yeh hai.

ASTAGFIRULLAH HALLA ZE LAA ILAAHA ILLAH HOWAL HAYULQAYUM WA ATOOBU ALAIHI.

plz eh bhi btaye k kia mene sahi likhi hai laft ATOOBU hota ya ATOOBE.......mene sirf us aurat se sun k yad krli thi aur mjy 2nd last word ka doubt hai kahi me galat nah perh lu.
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:14th Sep 2011, 5:02pm
 

hasna

ASTAGFIRULLAH HILLA ZE LAA ILAAHA ILLAH HOWAL HAYULQAYUM WA ATOOBU ILAIH.
YEH HAI SAHI

surah ikhlas, surah falaq, surah naas 1-1 bar perah ker hathon per dam ker k apnay jisam per phernay se hadees main ahi k koi bhi cheez yani janwer nhn katay ga
aap k pass ager manzil ho aik choti si book hai jis main 33 ayat hain to ap her namaz k baad 1 bar zarur perhain
insha allah behter hoga
is k ialwa ap husband per dam kerti hain woh khud nhn perah saktay ????
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1864  Age:  26  
Posted on:14th Sep 2011, 7:57pm
 

wehshi uncle

thankuu so much k apne corection krdi.mjy doubt tha k mene wrong likha aur abhi yaqeen bhi hogya.inshaAllah ab yeh dua perhugi regular.

husband bhi perhty he soty waqat ki dua ayatkursi aur 4qul.

aur jiswaqat mein soti hu mere husband sorhy hoty he unho ne subah shop mein jana hota hai aur wo jaldi sojaty he aur fajar ki namaz perhne uthty he aur phir foran sojaty he.laikin me fajar k baad jiswaqat soti hu wo gehri neend mein hoty he aur jb mein hud per dam krti hu aur husband ko bhi aur ek glass pani rkha hota usmein bhi phooonk marti hu aur wo pani mein hud bhi peeti hu aur husband bhi.

kia aisa krna galat hai.........:(


WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2452  Age:  48  
Posted on:15th Sep 2011, 3:40am
 

Istaghfaar

ASTAGFIRULLAH HILLA ZE LAA ILAAHA ILLAH HOWAL HAYULQAYUM WA ATOOBU ILAIH.
YEH HAI SAHI
ap ki bhi same wohi dua hai jo hasna ki hai
hasna
nhn ghalat nhn hai ap phoonk sakty hain un per
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1864  Age:  26  
Posted on:15th Sep 2011, 8:44am
 

wehshi uncle

thankuuuu so much..............:)

mere pass aik duao ki kitaaab hai aur mene al khober me hi aik sheikh he unse dam krwaya tha to unho ne hi us kitab me se kuch ayaat perhne ko kaha aur wo ayaat yehi thi surah fateha ayatulkursi aur 4qul islay ilawa aik aur dua hai surah al imram me se..........meh yeh sab abe zam zam per dam kr k hud bhi peeti hu aur hubsand ko bhi peeny ko daiti hu............aur jin dino mene nahi perhan hota mere husband pani per dam kr k mjy daity he.

Allah k kalaam mein bht asar hai.aur mjy omeed hai k meri prob bhi solve hojayegy............inshaAllah.

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:18th Sep 2011, 4:36pm
 

ajeeb o ghareeb khwab

mashAllah apko wehshi bhai se bahot achi advices mili hain.

is sab k ilava aik dusray angle se bhi sochain.
apki ziada tar problems jo ap share karti hain un sy lagta hai k ap aik jaisi life guzar rahi hain, aik jesi routine.
thora environment bhi change kia karain, relatives waghera se mila karain. aur especially bazurgon se mila karain. har age group k logon ka apna aik charm hota hai. bazurgon se hamesha kuch na kuch seekhnay ko hi milta hai.

aur subah fajar k bad sona, wesay tau apka personal matter hai lekin yeh bhi sonay ka koi acha time nahi hai... :) :D

sotay main dabao parna, yeh problem pakistan main bahot common hai, yeh bahot ziada thakkay huway honay se ya bahot ziada ghabrayay honay se, ya isi kisam ki kisi wajah se hota hai,
aur yeh kesay hota hai ? yeh mujhay nahi maloom.... :)
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1864  Age:  26  
Posted on:18th Sep 2011, 4:45pm
 

infobhai

asslamo alaikum

shaid ap sahi hi keh rhy he k aik jaisa mahool aur aik hi routine ki waja se aisa hota hai k drowne hawab ate he............laikin yeh bhi to sochiye k mjy jangi hawab us waqat se arha hai jb mene hosh sambhali thi.

aur mahool to kia country hi change hogai phir bhi wo hawab nahi bdlaa us hawab me meir choti sis 3saal ki hai aur abhi mashaAllah 21..........mjy yeh hawab kafi arsay se arha hai aur abhi isse relayted bhi ane lgy he............:p


maze ki bat yeh k mein jab pak gai to mera bht dil tha k mein india jau laikin un dino pak aur india k halat bht huraab hogye jang hojane ka hutra tha..........aur jistrah skt k roads per rat ko tanks ate jaty thy wo sab aisay jaisay pehlay bhi hochuka ya daikh chuki hu sab.


mein thuki hui nahi hoti hu,jb mein ziada thuki hoto mjy neend hi nahi ati theek se hawab to dur ki bat hai.......mene yaha isliye share kai k shaid kisi ko dbaaao perta ho soty me.ap kabhi seedha sona hath seene per rkh k to apko bhi hawab ayega drowna...........:)) phri apko pta cuhlay ka k ye kaisa hota hai....lolz
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:18th Sep 2011, 4:53pm
 

wah

walaikumsalam

mujhy bhi bahot draunay khwab atay rahay hain lekin is kisam k nahi aey..

ap apnay in drawny khwabon ki reasons ko sochna band kar dain qk ham apni marzi se koi khwab nahi dekh saktay.. :)

aur na hi khwab se koi nuksan pohanchta hai... :)
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  30  
Posted on:18th Sep 2011, 5:07pm
 

khwab se darna hi chore dain... :)

aur aik jesi routine se draunay khwab nahi atay.... :D

apki jo problems hain woh ziada tar aesi hi hoti hain jin ma lagta hai k aap akeli rehnay ki adi ho gai hain. us se tabiat ziada sensitive ho jati hai... :)

apka drauna khwab apkay bachpan ka dost hai jo ap sy regularly milta hai, us se darna chore dain balkeh us sy dosti kar lain apka problem khatam ho jaey ga.... lolzz... :D

wehshi bhai nay jo btaya hai us p bhi amal karain.

hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1864  Age:  26  
Posted on:19th Sep 2011, 1:38pm
 

info bhai

apne bht acha reply kia thankuu..........:D

ji hmm ab mein is hawab se drti nahi hu hawab drowna laikin me drti nahi hu............:P


ji hmm jo wehshi uncle ne kaha hai wo bhi krhi hu.........:)
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013