Tahussob Ki aag meah Jul raa hay Pakistan
Islam , aman peace sulaamti ka Deen or hum Os deen ko manny waly os Nubi ko maanny waly jo sari doniyaan Tumaam aalimo kay leyeh Rehmat buna kur behjy gay, Ashraf ul mukhloqaat lakin aaj hum Insaniyaat kay durjy say be kain nechy chuly gay hen, Islam say tu kosoo dor, woh islam jo Kaly ko gory pur koi foqiyat nahi data, jo ameer ghureeb, aqaa or gholaam ko ek kurta hay, Lakin aaj hum apny ap ko Muslim or pakistani Kehlwany kay bujay Pukhtoon, punjabi mohajur, sindhi blochi, kashmeeri kehlwana pussund kurty hen, rung nussal zobaan, yeh Lussaniyaat ki lanaat or Fitna or azaab hum pur mossulat kur deya giya hay Pakistan meah Lesaaniyaat ki aag Political parties or political leaders ki lugahi hoi hay jis meah sub jul ray hen, abi Afghaan or kashmeer war ki tubah kariyaan khutam nahi hoi thi yeh fitna khura kur deya ghiya, aaj karahci meah Mohajur pakistani muslims pur onki apni zumeen onky apny numayndo nay tung kur kay rukh de, essi tura ANP or PPP hen jino nay Qom or zobaan ka fitna khura keya, or logo ko tuqseem keya or apus meah murwaaya, akhur hum log kidur ja ray hem, apny leyeh apni zumeen ku tung kur ray hen ek dosry kay khoon kay peyasy kasy ho gay? karachi meah Qutal or gharut ghuri , Apny pakistani bahiyoon ko zubah krna sufaaki or zolm hay or jahan essy zolm hon na ensafi ho waha Qaher-a-Ellahi be ayaa kurta hy, Allah say koch door nai kay es lusaani fusadaat meah mehv Nation ko onky paon kay nechy say zul zuly ya Salaab ya tofaan say ya ek dosry ko murwa kur azaab ka muza chukaa day, Sodur jain, nufrat Tahusob ki siyasat bund kurin , loogo ko rung nussal zobaan qom ka durs nahi Islam ka durs dain , woh islam jo kaly gory ameer ghureeb aqaa o gholam ko ek kurta hy bangladash be Tahusoob ki aag meah jul kur alag howa, aaj kachi meah be tahussob jari hy ess aag meah log jul ray mur ray , apny he gur meah bay ghur, hum log ketny zalim sufaaq ho gay hen Allah ka azaab na aay tu keya aay, pakistan ka media be Julti pur tail churakta hy, zukhmo pur murhab kay bujay nimuk churakta hy aag lugaata hy burkaata hy, tubaahi e tubaahi hay, akhur hum apni aany wali nuslo ko kasa pakistan dany ja ray hen,
|