saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2174 Age:
35
|
|
Posted on:28th Sep 2011, 1:40am |
|
|
Ali bhai thanx for your dua
No brother it's not a money problem. Just pray for me.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6801 Age:
54
|
|
Posted on:28th Sep 2011, 2:01am |
|
|
dukh aur pareeshani kiyouN?
Saim1 sister:Bas dil bhout rota hey key marey sath hi ku pareshani hey.Lakin phir yeh soch kar sabar kar leti hon key Allah appney bandon ka imtehan leta hey
sab say pahlay to Allah say dua hai k woh apkay dukh aur paree.shaniyouN ko door karay aur in pareeshanyouN ki kokh say khair bar aamad karay. aameen. . apka yeh kahna durust hai k Allah apnay bandouN ka imtehaan leta hai aur jo iss aazmaish maiN sabr say kaam lay, Allah ossay ajray azeem ataa karat hai aur oskay sabeqah gonaahouN ko bakhs deta hai... halka saa sar dard yaa fever maiN bhi 9aik hadees k otabiq) insanouN k gonaah iss tarah oski zaat say gir jatay haiN jaisay khazaaN raseedah pattay. aik aur hadees ka mafhoom hai k sabr ka ajar osi waqt milta hai, jab bandah aazmaish o mushkilaat k agaaz hi maiN sabr karay...warnah fradually to sab ko hi sabr aajaata hai, majbooran :)
aik waqe;a sonata houN...daure resaalat maiN aik khatoon ki shadi howi aur woh apnay susraal aayee to kuch hi dinouN k baad oss nay apnay husband say talaaq ka motaalibah kardia. shauher hairan o pareeshaan hotay howay bola, lekin kiyouN? kia tumhaiN maiN nay koi takleef di, iss ghar maiN tumahara guzar nahi horahaa yaa koi aur pareeshani hai to batlaa'o taakay maiN osay door kar douN...khatoon nay har sawaal k jawaab maiN NO kahaa to osnay kahaa k phir to maiN tumhaiN talaaq nahi douNga... jab khatoon ka talaaq say motaliq israr baRha to woh donouN apna moqadmah lay kar darbaaray resaalat ki taraf rawanah howay...raastay maiN maweshi baandhnay k aik khouNTay say woh shakhs Takra kar gira aur oska paouN zakhmi hogayaa...paouN say khoon bahnay lagaa...khatoon nay dopaTTay say oski paTTi bandhi aur oss say kahay k ab ghar chalo...mjujhay ab tum say talaaq nahi leni
mard hairaan howa aur maajra poocha to khatoon nay kahaa k jab say maiN tumharay ghar maiN rukhsat hokar aaye houN...maiN nay iss ghar maiN koi takleef aur mushkil nahi dekhi...maiN nay sona hai k jissay koi takleef, pareeshani, gham nah ho to woh ghar Allah ki rahmat say door hota hai...lehaza maiN Allah ki rahmat say door iss ghar maiN nahi rahna chaahti thi k tum zakhmi hogaye goya Allah ki rahmat nay iss ghar ka rokh karlia lehaza ab mujhay talaaq ki kia zaroorat. yeh "kahaani" maiN nay bahoot pahlay nah jaanay kahaaN paRhi thi...mujhay iski authenticity /reference ka nahi maloom...magar agar yeh "symbolic story" bhi hai yaa kissi aur Nabi AS k daur ka waqe'a hai tab bhi ..."story conclusion" apni jagah durust aur ham sab k liyeh mashale raah hai
Allah apko har aazmaish say kaamyaabi say sor khoroo karay aameen
|
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2174 Age:
35
|
|
Posted on:28th Sep 2011, 3:20pm |
|
|
myrizvi bhai appki yeh bat:
Allah
apnay bandouN ka imtehaan leta hai aur jo iss aazmaish maiN sabr say
kaam lay, Allah ossay ajray azeem ataa karat hai aur oskay sabeqah
gonaahouN ko bakhs deta hai... halka saa sar dard yaa fever maiN bhi
9aik hadees k otabiq) insanouN k gonaah iss tarah oski zaat say gir
jatay haiN jaisay khazaaN raseedah pattay
iss bat ko parh kar mujhey or sabar a gaya.Ku key may Allah say appney gunahon ki mafi mangti hon hamesha.Shyad yeh dukh takleef key badley may mujhey mera Rabb koi ajar dey. Or appki yeh bat shyad marey liya Allah ki taraf say koi ishara hi hon.
|
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1957 Age:
47
|
|
Posted on:28th Sep 2011, 10:25pm |
|
|
Saim
A.A aap ki posts read ker k bohat dukk howa,Albata insan ki poori life hi uss k liye imtehan he,aur ager insan apna imtehan mayusi aur afsurdgi se de tu kabi kamyab nahi hota vo log hi kamyab hoty hein jo josh ,hosh aur sabar k sath iss imtehan se guzer jaty hein ,ye her ik insan se aissa laga rehta he kabi aik mosibat jati nahi tu dusri shuroo ho jati he jo insan ki bardasht mein nahi hota vo bi ho guzerta he,mein aap se kahein guna zyada iss waqat aissy crises mein hon k aap ko aik bi face kerna parr jaye tu aap apny hawass hi kho jayein,,aap apny masail ko Allah ki raza samanjh ker unnein musarat k sath seeny se laga lein aik din ye hi musail aap k liye anmol moti ban jayein gay aur aap Allah per bharossa rukhein,ham sab aap k liye hudd se zyada dua kerty rahein gay.,
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3245 Age:
36
|
|
Posted on:29th Sep 2011, 1:50am |
|
|
saim ki mushkil aslam-o-alaikum
saim sister aap ki mushkal k bary aap ki post read kar k preshani hoi hay , allah aap ki sab mushkalain asaan karay , jahan tak imtehaan main parrny ka taluq hay to main raja bhai ki post sy agree hon insan to har time imtehan main hi hay , insan ki zindag hi aik imtehan hay
laiken baaz oqat insan apny kisi kaam ki waja sy b apny gird mushkilaat akathi kar laita hay , aap chounk k aik samjhdaar aur sobar qisam ki insan hain iss liye umeed hay k aap apni har qisam ki mushkal par az khud hi qaabu paa lain gi , baqi hum sab b allah sy aap k liye dua go hain ...allah aap ka aur hum sab ka hami-o-nasir ho ...ameen |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1837 Age:
30
|
|
Posted on:10th Oct 2011, 11:28pm |
|
|
Assalam o alaikum G Lagta hae ke Maryam ke jaane ke baud Travel Agency "Cycle Works" bn gai hae.
Missing all the members of Travel Agency.
Allah sab ko khush, hansta khelta aur apne hifz o amaan mein rakhe. Ameen
Saim@ How are you. Aap ke Godda Shareef kese hein ab aur Ghar sab kher oa aafiyat hae na?? |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1957 Age:
47
|
|
Posted on:10th Oct 2011, 1:48pm |
|
|
Bhimji Saim k Goddy ki problem tu hull ho hi chuki ho shaid..laiken, she is facing this time huge troubles about her family crises ..Ap in k liye dua kerein k Allah pak in ki sub preshaniyan door kerein.. Aur aap sunayein aap ki Dengui kessi ja rahi he |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1957 Age:
47
|
|
Posted on:10th Oct 2011, 2:10pm |
|
|
Maryam Humein putta tu nahi k aap kiss haal mein hein Allah aap ko jahan bi rukky apni panah mein rukky apni khariyat ki report yahan zaroor kijiye ga.. |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1837 Age:
30
|
|
Posted on:11th Oct 2011, 12:28pm |
|
|
re: Raja Bhai, aap tension na lein. Jahan Saim ho aur wahan problem na ho. Yeh kese possible hae. Lekin prblms ka yaeenan solution nikal hi aata hae aur solution na nikle tau b agay barrhne ke liye koi na koi lesson zarur mil jata hae insan ko. Problems aur Crisis zindagi ka hissa hein iss liye problems se ghabrana nahi chahiye. Koi b cheez Impossible nahi hoti balkeh hamaray aik teacher kaha krte thay ke Impossible ko Impossible parrh lo tau bnda vo kaam nahi kr skta aur agr Impossible ko "I m possible" parrh lo tau insan kch na kch zarur kr guzarta hae. |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1957 Age:
47
|
|
Posted on:11th Oct 2011, 4:29pm |
|
|
Bhimji I m possible tu vo log sochty hein jin mein sochny samnjhny ki salahiyat mojood ho ,laiken Demagh aur saim 2no mein kafi deference paya jata he ..Albata Allah in Mushkil juld hull farmayein.. |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1957 Age:
47
|
|
Posted on:13th Oct 2011, 5:56am |
|
|
Maryam
abi tuk aap ki taraf se koi reply nahi mili yahan,chalein jab tuk aap ki reply nahi ati tub tukk yahan Shairee hi kerty hein..
Har shakhas Hi Rukh-E-Batil Se Mila Ho Ek bi Nahi aisa jo Humein Dil se Mila Ho Phir Raha Se, Rehbar Se,Musaft se Gila Kessa Jab Hukam pulat jany ka Manzil se Mila Ho Andaz-E-Judayi bi Iss bar Alag tha un ka Jaise k unnein waqat bi Mushkil se Mila Ho
|
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1957 Age:
47
|
|
Posted on:12th Feb 2013, 5:56am |
|
|
Kahan ho Tum Maryam,Saim,Bhimji,Ozone ,Diplomate,kSA Bhindi ,Sab ko salam aur sab apni apni report kero |
Einstein
|
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 14 Post: 710 Age:
24
|
|
Posted on:12th Feb 2013, 7:59am |
|
|
Welcome back Raja bhai Aap nai jitne bi names likhy hain un main sai Diplomate kai ilawa sab aik taveel arsy sai ghair hazir hain. |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3245 Age:
36
|
|
Posted on:12th Feb 2013, 10:19pm |
|
|
reported sir wa alaikum asslaam .....and aslaam-o-alaikum ...hazar sir |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1957 Age:
47
|
|
Posted on:13th Feb 2013, 3:25am |
|
|
Diplomate Aisa Lagta he jessy koi basti kissi afat se bikkar gyi ho aur uss basti k basi aik doosry ko pukkar raye hon kya aap bi vo hi basi tu nahi???
Einstein..thanx for remeber |
Einstein
|
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 14 Post: 710 Age:
24
|
|
Posted on:13th Feb 2013, 9:14am |
|
|
Raja bhai ji han,ham wohi basi hain.ham sai rooth gai wo sab.ham akily reh gai.......... |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3245 Age:
36
|
|
Posted on:13th Feb 2013, 12:52pm |
|
|
Basi hum ussi basti k basi hain jo ujarr gayee hay ...abb to aisy lagta hay jaisy hum sab basi hi ho gaye hain jis trah khana basi ho jata hay .......:) |
Einstein
|
Group: Members Joined: 24th Jul, 2012 Topic: 14 Post: 710 Age:
24
|
|
Posted on:14th Feb 2013, 11:13pm |
|
|
diplomate aap kabi bi mazak sai baaz nahn ai!khair chorain,aap zara punjabi main koi baat hi ker dain.................. |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1957 Age:
47
|
|
Posted on:17th Feb 2013, 10:45pm |
|
|
Einstein Diplomate ka zyada tar waqat puthanon k sath guzra he iss liye punjabi bhool gaye hain |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3245 Age:
36
|
|
Posted on:17th Feb 2013, 10:55pm |
|
|
hahahha nahi g minnu punjabi v aundi ey g .... waisy pathan sy yad aya raja g hamara aik adad pathan bacha b howa karta tha wo aaj kal kahan hay ?
einstein aap kuch jaany pehchany sy lag rahy hain ..:)) |
|