Guide
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 3 Post: 497 Age:
40
|
|
Posted on:7th Jul 2011, 7:06am |
|
|
How To Write Title And Subtitle Of A Thread?
Jaisa keh pehle hi kaha jaa chuka hai keh yeh forum Search Engine se chalta hai. Iss forum ke 99% visitors Silent hain yani woh na tu koi sawal post kertay hai aur na hi kisi thread mai koi jawab detay hai. sirf aur sirf forum ko read kertay hai aur yaha se chaley jaatay hai. jo log iss forum per sawal kertay hai aur jo log on ko jawab dene mai hissa letay hai on ki bhi apni jagah bahut ahmiat hai. lekin forum ko iss tarah design kya gaya hai keh iss forum se Silent Visitors faida uthaye. yaani sirf aise hi sawal o jawab ko ahmiat di jaati hai jisey read ker key Silent Visitors bhi faida utha sakay. isi liye chatting category ko hamesha discourage kia jaata hai kio keh yeh Silent Visitors ke kaam ka nahi. Silent visitor ko koi bhi thread osi waqt nazar aa sakta hai jab woh thread Search Engine mai search kerne per nazar aaye. Search Engine ke apne kuch asool hai. agar on asoolo per amal kya jaaye tu thread Search Engine mai nazar aaye ga warna nahi. on asoolo mai ek asool hai Title and Subtitle. Title se murad woh sentece ya Word hai jo kisi bhi thread mai sab sey oopar bahut hi numaya tor se hota hai. Subtitle se hamari murad kisi bhi post per jo reply kya jaata hai os ka title. Lehaza tamam membran se guzarish hai keh jo bhi post karain os ka aik meaningful title banaye. aur os post per jo log bhi jawab dain os per bhi proper title banaye. Title Bananay Ka Tareeqa 1. Title koi meaningful word ya sentence per mushtamil honi chahiye. 2. Title iss tarah banaye keh ose read ker ke hi andaza ho jaaye keh os thread mai kya likha hai. 3. Title mai max 8 Words honay chahiye. yani iss baat ka khayal rakha jaaye keh Title etna lamba na ho jaaye keh woh aik line mai fit na ho sake. 4. Title ke har word ka pehla charachter Capital hona chahiye. 5. Title chahe tu English mai banaye ya Urdu/Hindi mai. lekin aisa banaye keh title read ker ke hi andaza ho jaaye keh thread mai kia likha hoga. Subtitle Bananay Ka Tareeqa 1. kisi bhi thread mai jo jawab dia jaata hai os ke title ko ham Subtitle kehtay hai. 2. Subtitle ke liye bhi zaroori hai keh woh etna lamba ho keh sirf aik line mai aa jaye. etna ziadah lamba na ho keh aik se ziadah line ki zaroorat pade. 3. Subtitle bhi meaningful honi chahiye. yani sirf Subtitle read ker ke hi andaza ho jaaye keh neechey post mai kia likha gaya hai. 4. Subtitle ke pehle Word ka pehla character capital hona chahiye, jaisa keh kisi bhi english sentence ka hota hai. 5. Subtitle mai kam az kam aik lafz aisa zaroor hona chahiye jo keh Title mai bhi mojood ho. iss tarah na sirf woh thread Search Engine mai behtar position hasil karay ga balkeh topic divert honey se bhi bach jaaye ga. Final Instructions for Junior and Senior Moderator 1. kisi bhi thread per reply kerne se qabal os ka proper title likhay. 2. apny reply per proper subtitle lagaye aur doosro ko bhi kahe keh woh bhi apne reply per proper subtitle lagaye. 3. moderators na sirf apne post ka title aur subtitle banaye. balkeh aise member ka bhi title aur subtitle bana dain jin ke paas edit ki permission nahi hai. 4. agar kisi moderator ne title banaya lekin aap samajhtay hai keh sahi nahi banaya hai tu ose edit na karai balkeh onhai mashwara dain ke title kis tarah sahi kya jaa sakta hai. apni edit permission ko dosre moderators ke liye kam se kam istemal karain. iss tarah apas mai ikhtalaf bhi nahi hoga. 5. Title aur Subtitle banatay waqt apni pasand aur marzi na sochain balkeh yeh sochain keh iss thread tak pohonchnay ke liye Silent visitors, Search Engine mai kia words aur Sentences likh rahe honge. agar on ke likhe huye word se thread ka title aur subtitle match ker jaaye tu yeh thread Search Engine ke pehle page per aa jaaye ga.
|
Guide
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 3 Post: 497 Age:
40
|
|
Posted on:14th Jul 2011, 10:58pm |
|
|
Author Of The Page aik page per jetne bhi post hotay hai osey post kerne walay ko Authors kehtay hai. Aksar new forum per admin ka moqarrar kerda member hi baar baar post kerta rehta hai. jo keh ghalat baat hai. Search Engine kisi bhi page ki position set kertay waqt Author per bhi nazar rakhta hai. Search Engine mai behtar position haasil kerne ke liye darj zail baato ka khayal rakhna hoga.
1. jo bhi topic start karain ose aik hi page mai mukammal karain. noorclinic forum per aik page per 20 post ki jaa sakti hai. 20 se ziadah post ki soorat mai doosra page start ho jaaye ga. doosra page doosrey topic ke liye hona chahiye, lehaza koshish karain ke jo bhi discussion ho woh 20 post se ziadah yani aik page se ziadah na ho. iss ka hal yeh hai keh 2,2 line ke multiple post ki bajaye sirf aik post karain jis mai tamam baatain likhi huyee ho.
2. iss forum per kai threads aise hai jis per discussion 20 post se ziadah hai, yaani one page se ziadah pages hai. pehla page chor ker baqi pages fazool hain. lehaza yaha per koshish ki jaati hai keh extra, irrelevant, incomplete aur duplicate post ko delete ker ke thread ko kisi tarah sirf aik page tak mahdood ker dia jaaye. iss forum per thread ki taadad 24000 se ziadah hai isi wajah se thread ko 20 post tak mahdood kerna mushkil ho raha hai aur beshtar thread abhi bhi 20 post se zaid post per mushtamil hai.
3. Search Engine iss baat per khasoosi nazar rakhta hai keh iss forum per hissa lene wale member dummy tu nahi yani website ke moqarrar kerda makhsoos member tu nahi. lehaza woh page ke author per kari nazar rakhta hai aur osi ki buniad per page ki position Search Engine mai set kerta hai. lehaza koshish yahi honi chahiye keh Author aur Page ki combitionation Search Engine ki khahish ke mutabiq ho.
4. Page mai jetne ziadah author honge page ki position otna hi behtar hogi. isi liye agar aik page per 20 post iss tarah ho keh sirf 5 author ne hi 20 post ker dia ho tu woh page 5 author ka kehlaye ga. jabkeh noorclinic ke page mai 20 author tak ki gunjaish hoti hai. isi liye members se guzarish hai keh woh apna aik bharpoor post likhain aur ose post ker ke doosre author ko post kerne ka moqa dain. agar woh os threa mai chatting kerne lagain ge tu page per Author ki taadad 4-6 se ziadah nahi ho sake gi aur iss tarah woh page Search Engine mai sahi position nahi le sake ga.
5. isi tarah aik author ke baad har soorat mai doosre author ka post hona chahiye. warna Search Engine ose Spam qarar dege. maslan agar author iss tarah post kare: abc xyz xyz xyz abc def abc mnb .... iss example may xyz ke teen lagatar post Spam kehlaye ge. aur Spam wale post ko Search Engine negative marking deta hai. iss negative marking se bachne ke liye aksar post ko Merge kerna perta hai. chukeh iss forum per 24000 se ziadah post hai on tamam ke Author ko Search Engine ke mutabiq set kerna mushkil kaam hai. lehaza members se darkhast hai keh woh Spam post na karain yani aik dafa post kerne ke baad osi ke neeche apna doosra post na karain. |
eagle fly
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 74 Post: 2117 Age:
|
|
Posted on:30th Nov 2011, 4:16pm |
|
|
Title And Subtitle Of A Thread All members (specially new members) are requested to read this thread. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4296 Age:
38
|
|
Posted on:31st Mar 2013, 4:19am |
|
|
Title and Subtitle of a thread jin members ke paas edit option hai on se request hai keh woh har post ka proper title aur subtitle banaye takeh page reader aur search engine ke mutabiq ho jaaye.
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4296 Age:
38
|
|
Posted on:2nd Apr 2013, 4:37am |
|
|
Title and Subtitle of a thread jin members ke paas edit option
hai on se request hai keh woh har post ka proper title aur subtitle
banaye takeh page reader aur search engine ke mutabiq ho jaaye.
|
|