Mike |
Group: Members Joined: 21st Oct, 2007 Topic: 20 Post: 62 Age:
29
|
|
Posted on:25th Jun 2011, 8:17am |
|
|
Migraine Headache And Its Treatment
salam doc kk i hope u will be fine.sir muje ye masla hia k muje 3 saal se sar ka dard ho raha hia...aur jab mian ne medical specialist k chek up karwaya to un ho ne muje kaha hia migraine headche hia...aur last one year se mera ilaj b char raha hia....lekin muj zara b relief nahi aya...mian bht tense ho gya hun itni medicn use kar kar k...doc ne muje ye b kaha hia CT scan ki zrort nahi hia. mian ne ye b research mian study kiya hia k migraine ka medical m a koe cure nahi hia. aur ksi member ne muje ider bataya tha k aelopathic mia is ka cure nahi hia jab k homeopathic mian hia.. plz u give me suggestion wht shuld i do..?
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6481 Age:
54
|
|
Posted on:27th Jun 2011, 7:15am |
|
|
yes as per our little knowledge alopathy maiN iska directly koi treatment /medicine nahi hai,,, albattah homeo maiN hai.issi topic par yahaaN kafi discussion hochuki hai...site map say on threads ko read karaiN
|
Doctor K K |
Group: Members Joined: 02nd Apr, 2009 Topic: 25 Post: 1969 Age:
36
|
|
Posted on:28th Jun 2011, 5:55am |
|
|
Re: Migraine Headache and Its Treatment
Sab say pehlay to ye wazay hona chaheye kay cure kisay kehtay hain. Cure ka matlab hai wo cheez aisi khatam ho kay dobara na ho. Misal kay toor per, agar kisi ko appendix ka dard hota hai, to appendix nikaldi jati hai. Jism main chunkay ek hi appendix hoti hai issi leye, ye dard dobara nahi hosakta. Isleye ye kaha jaye ga kay appendix cure hogaya hai.
Ab aatay hain un bemaaryun ki taraf jo cure nahi hosakti magar manage hosakti hain. Misaal kay toor per, agar aapkay ghar say light ghayab ho to aap UPS ya generater chalaker usko manage kerlaitay hain. Kia light jany ka koi cure hai? Nahi, magar aap usko manage kerlaitay hain. Medicine naam ha bemari manage kernay ka. Ab ye beemari ki noyat hoti hai kay wo manage ho ya cure.
Migraine dimagh main nasoon kay sukarnay say hota hai. Ab kia un nasson ko nikal diya jay appendix ki tarhan. Ye mumkin nahi. Albata ye mumkin hai kay un nasoon ko sukarnay na dya jaye. Iskay leye ehtiati tadabeer zaroori hain. Jaisay, wo ghaza na khain jis kay khany kay baad migraine hota ho. Wo events avoid karain jin ki wajah say migraine hota ho, waghaira.
|
Mike |
Group: Members Joined: 21st Oct, 2007 Topic: 20 Post: 62 Age:
29
|
|
Posted on:1st Jul 2011, 7:09am |
|
|
Re:Doc Kk but doc kk nasoon ko sukarny se bachany k liye medical mian abi tak koe elaj nahi hia kya..? aur is ki causes kya ho sakti hian kyu hota hia maigrne..?
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6481 Age:
54
|
|
Posted on:1st Jul 2011, 11:24pm |
|
|
treatment => cure or manage alopathay maiN almost har medicine k side effects haiN... agar aik dawayee say koi marz cure /manage hota hai to wohi medicine bayak waqt 4 deger medical problems ka baaes banta hai. aur yeh baat koi doosra nahi balkay khud wohi medicine kahti hai, apnay manufacturer ki zubani.
yehi wajah hai k ab jadeed taraqqi yaaftah momaalik k beshtar physicians "medicine free treatment" ki taraf maail haiN... jabkay indo paak maiN "acha doc" wohi kahlata hai jo "zeyadah say zeyadah medicine" prescribe karay ... takay mareez ko ayandah bhi medical problems hoti rahaiN aur mareezouN ki qataar maiN izafaah jari rahay lol
Hi BP, diabetes ki tarah migrain ko bhi alopathy maiN "offically" cureable nahi balkay manageable disease kaha jata hai... yani medicine khatay raho aur marz ko manage kartay raho... Allah Allah khair sallah.
albattah deger pathy maiN inka elaaj /cure maujood hai... bah shartekay mo'aalij mustanad ho. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6481 Age:
54
|
|
Posted on:1st Jul 2011, 11:57pm |
|
|
side effects by Anwer Masood
سائیڈ ایفیکٹس
سر درد میں گولی یہ بڑی زود اثر ہے
پر تھوڑا سا نقصان بھی ہو سکتا ہے اس سے
ہو سکتی ہے پیدا کوئی تبخیر کی صورت
دل تنگ و پریشان بھی ہو سکتا ہے اس سے
ہو سکتی ہے کچھ ثقلِ سماعت کی شکایت
بیکار کوئی کان بھی ہو سکتا ہے اس سے
ممکن ہے خرابی کوئی ہو جائے جگر میں
ہاں آپ کو یرقان بھی ہو سکتا ہے اس سے
پڑ سکتی ہے کچھ جلد خراشی کی ضرورت
خارش کا کچھ امکان بھی ہو سکتا ہے اس سے
ہو سکتی ہیں یادیں بھی ذرا سی متاثر
معمولی سا نسیان بھی ہو سکتا ہے اس سے
بینائی کے حق میں بھی یہ گولی نہیں اچھی
دیدہ کوئی حیران بھی ہو سکتا ہے اس سے
ہو سکتا ہے لاحق کوئی پیچیدہ مرض بھی
گردہ کوئی ویران بھی ہو سکتا ہے اس سے
ممکن ہے کہ ہو جائے نشہ اس سے ذرا سا
پھر آپ کا چالان بھی ہو سکتا ہے اس سے
(انور مسعود)
|
Doctor K K |
Group: Members Joined: 02nd Apr, 2009 Topic: 25 Post: 1969 Age:
36
|
|
Posted on:2nd Jul 2011, 6:43am |
|
|
Re: Migraine Headache and Its Treatment Mashallah bohot khoob shairi hai. Magar ye nahi pata chal raha key kis ki taraf ishara hai:
Doctor, Homeo, Hakeem
Sirf Goli ka zikar hai, aur teeno hi GOLI DETAY HAIN.......LOL
Homeo aur Hikmat main side effect nahi hain..............Ye sirf DAWA HAI. SUBOOT KISI KAY PASS NAHI
CIVIL HOSPITAL Karachi main nakara gurdunkay mareezon say NEPHROLOGY ward bhra hua hai. 80% say zaid HAKEEMI ILLAJ say pehlay sehat mand thay
DAWA KERNA AASAAN HAI. SACHAYI CHUPPANA ASSAAN HAI
SACH BOLNA MUSHKIL HAI
MIKE SAHIB, ab aap homeo hi ka ilaaj kerwain to behtar hoga |
DrKamiAli |
Group: Members Joined: 12th May, 2011 Topic: 1 Post: 377 Age:
32
|
|
Posted on:2nd Jul 2011, 7:25am |
|
|
Side effects
I agree to Doctor K K. Homeo k baray me tau ma nahi jaanta, laikin hakeemi ilaaj me jo herbs (jari bootian) use hoti hain, un me aksar k side effects hain. Natural honay ka ye matlab bilkul nayi k wo completely safe hain. Haan albatta ye ek alehda behas ho sakti hai, k kaun sa tareeqa kam side effects rakhta hai aur kaunsa tareeqa zayada side effects rakhta hai. |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3217 Age:
36
|
|
Posted on:2nd Jul 2011, 5:02pm |
|
|
baqol bewaqoof bewaqoof bro ny aik baar kisi thread main likha tha k har medicine k kuch side effects aur kuch adverse effects hoty hain , aur inn dono effects main buhat farq hay ..uss time bewaqoof sy poocha geya k side aur adverse effects main kia farq hay ? kia yeh aik hi halat k do name hain ? kia yeh do mukhtlaf haltain hain ? kia adverse effects non allopathic sy hoty hian aur side effects allopathic sy hoty hain ?
to uss time bewaqoof bro shaid kisi masroofiyat ki waja sy forum par na aa saky aur sawaal joon k toon reh gaye ..aaj dobara sy wohi baat samny aa rahi hay to main bewaqoof bro sy request karoon ga k please abb iss sawaal ka answer kar dain ....advance thanks |
Mike |
Group: Members Joined: 21st Oct, 2007 Topic: 20 Post: 62 Age:
29
|
|
Posted on:7th Jul 2011, 8:14am |
|
|
re to all wesy muje bhi yehe lagta hia k meray pain ko b doc bas manage karny ki hi kosish kar rha ha but wo b nahi ho raha..
aur jahan tak homeo ka ilaj hia aj tak mian kabi homeo k pas nahi gya k k same ques doc kk wala k sab dwa to karty hein un k side effects nhi hain lekin proof nahi hia kisi k pass.
aur kya muje koe ye bata sakta hia k homeo k medcn pay reaserch kar k kisi ne pata kiya ho k in k kya sade effects hote hian k nahi..?i mean homeo doctors ne.?
|
|