@> I MISS YOU <@ @> i really miss you <@ ... g haaN, yeh woh pasandeedah jumlah hai jo ham apnay pasandeedah logouN say aksar o beshtar kartay hi rahtay haiN kiyounkay hamain onsay doori zara bhi gawarah nahi. agar kabhi milnay milaanay, baat cheet karnay maiN kissi bhi wajah say mamool say zaraa bhi taakheer ho jaa.ay to fauran say peshtar kah oTh.tay hain... @> i really miss you <@
lekin ...
(*) kabhi ham nay yeh nahi sochaa k aaj tak ham nay ketni namaazaiN miss keeN? aur in missed namazouN k liyeh kia kia?
(*) kabhi yeh ghaur nahi kia k aaj tak ham nay ketnay farz rozay qazaa kiyeh?
(*) kabhi ham nay yeh socha k ham par ab tak kaun kaun say faraiz lagoo hochukay haiN, jinki adaigi ham miss kar rahay haiN?
(*) kia kabhi ham nay sochaa k quran paRhay howay ketna arsa guzar gayaa aur kabhi quran ko haath maiN lay kar kahaa... i was really missing you!
(*) maal o daulat aur dues milnay par zara bhi takheer ho jaa.ay to ham oss milnay wali daulat ko miss kartay rahtay hain...kabhi yeh bhi ghaur kia k ham par hajj farz hochuka hai...aur ham hajj ki adaigi ko miss kar rahay haiN ???
(*) kabhi yeh khayaal aayaa k Allah say raat ki tanhayee maiN mosallay par batain kartay howay ketna arsaa guzar gayaa ... kabhi ham nay Allah say bhi kahaa k ... jab kabhi dunya.dari maiN mash.ghhol hota houn to... Yaa Allah! I really miss you, |