aaj pakistan main har jaga aik hi issue manzar-e-aam par nazar araha hay k , har jaga discuss ho raha hay yaani k pakistan shaid dewaliya ki tarf jaa raha hay , pakistan main adam istehkaam paida ho raha hay , leaders awam k sath mukhlis nahi hain , mehngaiee hay , beroz'gaari hay , laqanoniyat hay , insaaf name ki koi cheez nahi hay , bijli , paani , gas k masayel paida ho rahy hain , jis ki lathi uss ki bhains ka sa sama ban geya hay
haan theek hay pakistan main aysa hi ho raha hay laiken iss ki braye rasat waja koi hukmran , koi beroni taqat , koi leader nahi balky hum khud hain yaani pakistan ki awam iss sary masayel ki khud zimma daar hay , agar ghore kiya jaye to yahi pakistani awam hay jis ki efforts awareness k medaan main "ZERO" hain ......yaani kuch nahi
aaj pakistan main masayel ki bharmaar par to tilmalaya jaata hay , pakistan k syasi bandron ki to malamat k jaati hay laiken yehi tilmalany waly aur malamat karny waly amli medaan main "zero" nazar arahy hain
hath sy kuch karna nahi chahty aur mu sy paharr torr rahy hain ...jab aysi sorat haal paida ho jaye k har tarf masayel hi masael nazar ayein to uss ka wahid hall "sha'oor" , "agahi" , "ilam" , "maharat" , "awareness" main chupa hota hay laiken afsos k ham gila to aaram sy karty hain laiekn iss gily ko jarr sy khatam karny k liye amli wa ilami tor par kuch nahi karty
lehaza main samjhta hon k pakistan main har masly ka khatma ussi waqat hoga jab pakistan ki awam parr likh jaye gi jab pakistan ki awam sha'oor ki uss manzal tak pohanch jaye gi jahan puhanch kar humain khoTy khary ki pehchan ho saky , jahan pohanch kar hum apny ooper hony waly har hamly ka ussi andaz main dafa kar sakain jis andaz main hamla ho raha hay ..agar pakistani awam ilam aur awareness sy door rehti hay to aaj sy 100 saal baad pakistan k masayel ka khatama mumkin nahi nahi
aaj dniya main jo jo qoomain b dosron sy mumtaaz nazar arahi hain uss ki waja yeh nahi k unahin asmaan sy aysy leaders muyassar agaye hain jo unhain din raat tarqqi ki tarf ly kar jarahy hain nahi balky iss k peechy yahi waja hay k wahan k awam ny pehly sachy , jhoty , achy , bury , mukhlis , lutairay ki pehchan karna seekha yani taleem k medaan main khud ko sabit kiya iss k baad ussi awam ki tarf sy chuny jany waly afraad ny uss awam ki falah behbood k liye kaam kiya
De-Stability In Pakistan - What Are Causes And How To Be Set Right ?
Nyc rep DIPLOMATE i agree with u the main problem in pakistan is educational system , agr hm apna educational system improve kar lain to bht se problem solve ho sktay hn q k is tarah logon mai aagahe paida ho ge aur wo apne mulk k liye behtar sochen gy and secondly hamai apne parhay likhay logon ko yahan pe opportunites provide karni chahyen takay wo pakistan ko chor kar foreign countries mai ja k kam na karain !!!
re "the main problem in pakistan is educational system "
g aap ki baat aik lehaz sy drusat hay laiken iss tasweer ka dosra rukh yeh hay k jab koi cheez apny asal muqaam sy hat jaye to wo aik niya roop dhaar laiti hay baaz oqaat new roop insano k liye behtar aur baaz oqaat bhiyanak howa karta hay ..jaisy kehty hain na k aurat agar apny muqam sy uthay to devi banti hay aur agar apny muqam sy gir jaye to nagan ban jati hay ...jo kisi ko b dhass laiti hay
yahi haal hamary har system ka ban chuka hay chahy yeh system taleem ka ho ya koi aur ...jab kisi muqaddas paishy main commercialism dakhil ho jata hay to uss paishy ki shakal hi bigharr jati hay ..aaj aap bakhobi daikh sakty hain k hamari dars gahon k sign boards par to yeh likha howa hota hay
noo-e-bashar ki takmeel hoti hay yahan
aik muqaddas farz ki taa'meel hoti hay yahan
laiken andar kia hota hay , andar taleem k name par kachy zehan k tulbaa / taalbaat ko deen sy door kiya jaraha hota hay , insaniyat sy door kiya ja raha hota hay , yeh kaisi noo-e-bashar ki takmeel hay , yaa to poory duniya daar ban jaien ya phir mazahab main aik authority ban jaien laiken adhaa teetar aur adha baTair banaya ja raha hay aysy taleemi idaron sy na to koi poora muslim ban paa raha hay na koi poora secular ..
ooper sy hamara taleemi nizam b hamari yad'dasht ki tarjmaani karta hay , agar students ki yad'dasht achi hay to wo sari kitabain yaad kar k bakhoobi exams main achy numbers ly sakta hay agar yad'dashat theek nhi to khuwa kitna b qabil talib ilam ho wo hamary educational system main nakara hay
lehaza aysy educational system k rehty howy agar sirf new buildings hi bana kar system main islahaat ka naam dy diya jaye to issy system ki behtari har giz nahi kaha jasakta ..aur fil waqat pakistan main yahi ho raha hay
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
Posted on:26th Apr 2011, 9:02pm
@|~ Reason Of Pakistan's De-stability
Mis-management Pakistan ki de stabilization ki wajah hai. Agar Achi Management Pakistan ko own karlay, tou Pakistan ki reputation ho ya education, economy ho ya defence, people hon ya resources and etc sab kuch settle hojaega aur ismain shak nahi hai mujhe ya kisi ko koi k Pakistan main ye potential hai k wo duniya ki sab se powerful nation hai. yehi wajah hai k duniya isay sabotaar karne pe tuli hoe hai sirf aur sirf mis management ki wajah se
Aj duniya ka ye haal hai k koi Pakistan ko maili aankh se nahi dekhsakta, sirf mis management ki wajah se Pakistan ko badnami ka samna karna parta hai duniya bhar main, tou sochain agar Pakistan taraqqi yaafta hota tou iska kia mukaam hota.
Wo wakt doar nahi hai ab jab imran khan jese loag mulk ki baag doar ko sambhaalnay walay hain, aur inko support karne kay liyain pervaiz musharraf aur MQM jesi parties main potential nazar ata hai.
re "sirf mis management ki wajah se Pakistan ko badnami ka samna karna parta hai duniya bhar main"
yahi to arz karny ki koshish ki hay k yeh mis management kahan sy ati hay yaqeenan awam ki lake of awareness sy agar awareness ko aam kar diya jaye ya log bazat-e-khud ilam hasil karny main dilchasbi lain to management kia har shoby main awam mukamal authority ban jaati hay
pakistan main yeh b aik mushkil hay yahan ko awam ko aik khaas sazish k tehat taleem aur ilam sy door rakha geya hay maslan trible areas , pas manda ilaqon main aaj b aurat ki taleem par pabandi hay aur jahan aurat ny taleem lainy ki khuwahish zahir ki wahan aurat ko hi maar diya geya ya phir wahan ki dasgahain hi bombs sy urra di gayeen
ays situation main taleem hasil karna b aik khuwaab sa mehsoos hota hay number 2 yeh k jab kisi ilaqy k mu'ashi halaat iss qadar tabah kar diye jaien k 2 waqat ki roti kamana b muhaal ho jaye to wahan taleem hasil karny ki bajaye apny pait ko paalny ki ziyada fikar hoti hay
aaj pakistan main de stability ki yeh b aik waja hay k yahan k awaam ko mu'ashi tor par b kamzoor kar diya geya hay abb aik 12 / 14 saal k bachy k waldain uss ki aala taleem k khuwaab nahi daikhty balky apny ghar k chulhay ko garm rakhny k uss bachy k tawan k muntezar nazar aty hain
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
Posted on:27th Apr 2011, 12:41pm
@|~ Education Is Not the Main Factor
Pehle main bhi education ko main factor samajhta tha...recently is baat ka inkishaaf hoa hai k Pakistan main 50% votes bogus hain jo Fake Identity Cards aur degar tarekon se banaye gaey hain aur 2008 k Elections main in hi votes k zaryai PML(N), PPP ki amad hoe hai as a 2 major election winner. degar jamatain bhi jaali vote main shamil hosakti hain jinmain kaable zikar naam PML (Q) or ANP ka lia jasakta hai.
Iska matlab hai k agar 80% vote PML (N) aur PPP ko dalay gaey tou inmain say 40% vote jaali thay...ab bachay 40% jismain 30% PPP k hogae 10% PML(N) k..PPP k 30% votes main se 20% votes sympathy votes hogae benazir death ki wajah se...aur 10% wo vote hogaey jo PPP ko like kartay hongay..yani agar 30% vote bhi PPP ko unparh awaam nay dalay tab bhi ye Party iktidaar main nahi asakti thi...Is hi tarha jo 10% vote PML(N) ko paray...is say bhi ye party punjab main hokomat ki ehel nahi ban sakti thi..
Dono party 80% ka share lejanay k baad bachay 20% jo distribute hogae (MQM,PML(Q),ANP etc main) (ye tamam approximation sirf samjhne k waastay hai, iska sahi hona zarori nahe, albatta 50% bogus wali baat yakeni amar hai)
tou ye sab kese hoa? mis-management ki wajah se..deserving management ajaye to koi department corrupt nahi hoga, education ,economy, import export, commerce and trade, lifstyle of people etc sab better hoga ek saath..non eligible logoun agar phirse ajayen tou wo dikhaway k liyain agar eductaion sahi kar bhi dein tou sirf ek ya kuch department sahi hojae baaki sab wese hi rahain to is say Pakistan ka kuch nahe hona wala........for example non deserving management dikhaway k liyain taleem ko tou sahi karday likin economy wesi ki wesi hi down hoti rahay to is say pata chalay ga k taleem asal wajah nahe.....
Bogus votes k khilaaf kaam jari hai supreme court main...inshallah ye 50% vote ehel lougon ko milain gay...balkay jin votes pe Puaranay chehray qabiz hain wo bhi ab unse chinnay walay hain, ...aur iske ilawa is baar Pakistan ki 70% nojawaan awaam election main hissa lay gi ....Pakistan k unparh awam ko yakenan education ki zarorat hai likin media ki wajah se unmain itna shaoor hai k wo sahi banday ko vote desakain..
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
Posted on:27th Apr 2011, 12:55pm
taleem hasil karne se doar rakha gaya hai
bilkul sahi farmaya appne diplomate..zahir hai jo loag bogus voton k zaryai iktidaar pe qabiz rehna chahain..wo kese ye chahain gay k koi aur jamaat agay aye ya loag parh likh k unki kursiyaan cheein lain..wo to yehi chahain gay k loag aese hi jahil rahain aur ye loag qabiz rahain,..
for example PML N ki misaal sab k samnay hai..ye party sirf ek he zaban bolne walon k liyain bolti hai aur wo hai punjabi, yehi wajah hai k ajj siraeyki bolne walay aur degar punjab ki awam alag province ka mutaalba kar rahi hai..iske ilawa PML N ki kisi party se nahi banti, PML N ki hokomat mai punjabi areas taraqqi karne lagay baaki sab areas gaey cholay bhaar main, PML N k CM se new province banana ka sawaal kia, unhon nay bajaye punjab ki baat karne k sindh main soubay ki baat kar k apni soch ka pata de dala and many other examples
likin ab media ka doar hai, pehle in lougon nay jo manmaniyaan karni thi karli koi dekhne wala nahi hota tha,.ab pori dunia dekh rahi hai, so you can see again management is the key to success of Pakistan.
For More Detail Click On Page No: 1
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.