Kya Establishment New IJI Bananay Jaa Rahi Hy? Aaj kal media par charcha hy k aik baar phir se Pakistani Establishment new IJI banany ki tayarian kar rahi hy. khabroun k mutabiq is IJI main Imran Khan ki PTI, PML (hum khayal) aur mazeed kuch parties bhi shamil hosakti hyn. jin parties k naam Aarahay hyn un main MQM, Pervez Musharaf ki APML, Jama'at.e.Islami aur PML (Q) waghera shamil hyn.
- kya waqaee Establishment aik new IJI banane ja rahi hyn?
- Aakhir Establishment ko aik new IJI bananay ki zarurat kyun paish Aarahi hy?
- kya ISI ko political parties banani chahiay?
- agar waqae aik new IJI bannay ja rahi hy tou Aap k khayal se is new IJI main kaun kaun se parties shamil hounge aur is Alliance ko lead kaun karega?
- kya ISI sponsored ye alliance koi baree kamyabi hasil kar paega?
|