Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

What A simple Muslim Girl Likes?

Non Medical Discussion
 
 
 
Sad_heart Group: Members  Joined: 10th Feb, 2011  Topic: 17  Post: 242  Age:  20  
Posted on:22nd Mar 2011, 1:04pm
 

What A simple Muslim Girl Likes?

Assalamu alykum wa rahmatullahe wa barkatuhu agar ek aisi ladki ho jo bahot hi simple ho, hamesha parde me rehti ho, panch waqt ki namaz padhti ho to aisi ladki ko ek ladke me kaunsi baat achi lag sakti hai. For example: minors or attitude or style or beauty or talent or some diffrent please reply i am waiting.

Agar ek ladki is sawal ka jawab de to us ki ziyada ahimyat hogi. Request: please is sawal ko negative mind se na lien aur kuch negative post na karien.
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:22nd Mar 2011, 11:18pm
 

Simple muslim girl likes

♥·´¯`·Re: Sad_heart
wa alikum asalam wrwb.

masha Allah itni achi adat.aaj kal to larkiyaan bilkul bhi esi nahi hoti jo parda karein,ya namaz ki theik se pabandi karein waghera.

khair esi larkiyaan apne life partner k me ye chez dekhna psand krti hain k wo bhi 5 waqt ka namazi ho,nature wise acha ho,jo ose sirf pyar de dil ka nram ho.bat esi kare k dil me utar jae.
os ki qadar krne wala ho waghera

balke hr larki kuch esa hi sochti h

aik bat aur
wo ye bhi chahti hai k larke me bhi sadgi ho.

Sad_heart
Thanks s4u
Thanks S4u For giving Me Answer.

s4u
♥·´¯`·Re:
welcome
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:23rd Mar 2011, 2:09am
 

Simple muslim girl likes

in my opinion
koi bhi laRka ya laRki khuwa woh modern hoN ya bohat simple, apnay liye sincere (bawafa) partner pasand kartay haiN with good attitude. kisi bhi insaan meiN us k partner (spouse) k liye wafa na ho aur duniya ki har khoobi bhi ho to bhi uski har khoobi is aik khami k samnay heech hogi.

Sad_heart
Thanks
Thanks Maryam Your Reply Is also Useful For me.

Maryam
welcome
sad_heart bhai wese to forum pe bohat se log atay jatay rehtay haiN aur different ids se bhi atay haiN . har aik ka apna writing style hota hae aur mujhay is hawalay se abc ka bhi nahi pata. lekin aap k writing style se na to aap male lagtay haiN aur na hi Indian. ( may be i,m wrong )
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:23rd Mar 2011, 5:48am
 

Simple muslim girl likes

aisaa laRka /aisee laRki
ab onhaiN DhoonD, chiraghay rokhay zebaa lay kar :)

wafaadaar kaun hai.....?

...in my opinion... is a very loose ball, agar ijazat ho to issay (islamic) boundary k paar phaiNk douN :) shayad chowka aur chakka lag jaa.ay lol

jaisay aurtaiN haseen hoti haiN... husn aurtouN ki khoobi hai...... agar yehi "khoobi" mard ko mil jaa.ay to log ossay mard ki bajaa.y kisi aur naam say pokaartay haiN (waisay mard wajeeh hota hai, agar ho to:) aisii bahoot see siftaiN haiN jo aurtouN k pass houn to achi aur agar mardouN k pass houN to bori ban jati haiN...aisaa vice versa bhi hai k "mardanah khoobi" (like har mahfil maiN mqbool hona) agar kissi aurat maiN payee jaa.ay to woh oskay liye "bori sifat" hai.

husband-wife maiN "wafaa.daari" aik "zananah sifat" hai. jiska matlab hai tunn munn dhunn say apnay life partener par 'qurbaan ho jaanaa' ... daamay, darmay, qadmay, sukhnay, har tareeqay say 'wari janaa'.... islam maiN yeh zananah sifat aik 'etedaal' ki had maiN rahti hai.... iski intehaa hindu-mat maiN youN nazar aati hai k patni apnay pati ki chita par jal marti hai k woh wafa ki putli hoti hai........ al.qissah mukhtaser "wafaa.daar biwi" aik ajnabi k saath 2 bol paRh.waa kar apnay maaN baap, baahn bhai ko "hamesha" k liyeh choR kar "piya k ghar" chali aati hai. ab oska jeena marna yaheeN hota hai. woh husband ki ijazat k beghair apnay paidaa karnay walay, paal pos kar jawaan karnay walay maan baap tak k ghar nahi jaati... ab oski jannat aur oska jahannam...apnay husband say oskay behaviour say "munsalik" hojata hai (after Allah & Rasool saw)... husband ki marzi k beghair nah to ghar maiN kissi ko aanay deti hai aur nah khud kaheeN jaati hai... aur to aur bachpan maiN aik saath khelnay walay apnay qareebi male cousins tak say pardah / doori ikhteyaar kar leti hai....... ab woh poori ki poori..... as a whole... jism o jaan say, khayaal o rooh say apnay husband ki "ho" jaati hai.....issi ko to "wafaa.daari" kahtay haiN k "kissi aur" ka khayaal tak apnay zehan maiN nahi laati /nahi laa sakti, if she is a real wafaa.dar towards her husband.

kia koi mard /husband...... iss tarah apnay aap ko kulyatan kissi aurat /biwi k "hawalay" kar deta hai?, karsakta hai? islamically aisaa karneka paband hai? agar nahi aur yaqeenan nahi to woh sirf aur sirf apni biwi ka "wafaa.daar" kaisay rah sakta hai.... biwiyaaN to amooman apni saas o nandouN ko "naa.pasand" hi karti haiN... onhaiN yeh kabhi "acha nahi lagta (illa masha Allah) k oska husband apni aamdan apnay maaN baap, bahan bhai par kharvh karay....... aur agar husband apni khahish yaa kissi zaroorat mand khatoon say doosri teesri shadi karlay to... biwiyaaN ossay nah jaanay kin kin alqaabaat say nawaaznay lagti haiN...dunya maiN azal say...har mazhab o millat k mard aik say zayad shadiyaaN kartay chalay aa.ay haiN......goya woh apni (pahli) biwi say "wafadaar" nahi rahtay....... aur apnay husband ki yeh "be.wafayee" achi say achi aurat ko bhi "pasand" nahi....... saukanouN par to izhaaray naa.pasandeedgi ambeyaa AS ki biwiyaaN tak karti rahi haiN, jo dunya ki behtareen aurtaiN theeN...... ghaleban yeh baat aurat ki "jiballat" maiN shamil karkay oska imtehaan lia gaya hai k woh apni iss by-default "khasoosiyat k hotay howay Allah aur oskay rasool saw k ahkaamaat ko khush.dili /bay.dili say qabool karleti hai yaa yaksar inkaari hojati hai... issay 'qabool" karnay ka baRa ajar hai aur yaksaar inkaari par .... iss baray main quranic ahkaamaat aur ahaadees bay.shomaar haiN... aik mominah ko yeh kaisay zaib day sakta hai k woh "apni hi tarah" apnay shauher say bhi "apna wafaa.daar" honay ki tawaqqah karay /rakhay...... as a insaan donouN k haqooq baraabar haiN, as a muslim, Allah k nazdeeq bhi dounouN ka ajar mosaawee hai but as miyaaN-biwi dounouN k haqooq "equal" nahi...at least "wafaa.daari" k ziman maiN to hargiz nahi :)

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:23rd Mar 2011, 6:05am
 

Muslim girls likes

myrizvi bhai
aap ka point of view bilkul darust hae. lekin out of country rehtay huwe (specially in non muslims ) wafa aur jafa ki defination hi aur hojati hae :) yahaN mard ka wafa.daar hona yehi hae k woh apni bivi k sath sincere hae aur uski jagah koi aur raghbat ka samaan nahi rakhta. baqi jo ehkamaat Allah pak k haiN aur aik aurat k faraiz haiN un ko as it is hi accept karna chahiye. isi tarah mard k zimma jo family k faraiz O wajibat haqooq haiN unhaiN bhi as it is accept karna chahiye.

wafa.daari ki jo defination aap ne batai hae koi bhi mard us pe na to poora utar sakta hae aur na hi woh bound hae. balkay agar koi aurat aisa karna chahay tou woh na sirf apnay rishtay ki khoobsurti kho degi balkay mohabbat bhi kho degi. isliye apni mohabbat (shohar se) ko ta,afun se bachanay k liye mard ko aisi limitations meiN bound karna hamaqat hae .
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:23rd Mar 2011, 6:19am
 

simple muslim girls like

lekin out of country rehtay huwe (specially in non muslims ) wafa aur jafa ki defination hi aur hojati hae :) yahaN mard ka wafa.daar hona yehi hae k woh apni bivi k sath sincere hae aur uski jagah koi aur raghbat ka samaan nahi rakhta.

for a non-muslim (person /society), it's ok..... mera bhashan :) "muslims" or "claimed to be muslims" :) k liyeh thaaaaa lol

Sad_heart Group: Members  Joined: 10th Feb, 2011  Topic: 17  Post: 242  Age:  20  
Posted on:23rd Mar 2011, 6:21am
 

simple muslim girl

Re:My Rizivi
My Rizvi Bhai Please Bura Mat manna Magar shayad Mera sawal Apko samajh me nahi aaya ya aapka answer meri samajh me nahi aaya. Kiyon Ke mai ne bahot hi simple sawal pooch tha magar aap ne bahot hi COMPLICATED answer diya hai. Jitna bhi mujhe samjh me aaya aap ne Bahot hi acha answer diya hai Magar Bahot hi HIGH LEVEL LANUAGE mein. SO MAY I REQUEST YOU TO ANSWER IN SIMPLE LANUAGE?
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:23rd Mar 2011, 6:25am
 

Muslim girls like

maine muslims ki hi wafa aur jafa ki baat ki hae ji woh lives in non muslim coutries (even now a days in pakistan ) . Allah pak sab ko apni amaan meiN rakhay.(ameen)
Sad_heart Group: Members  Joined: 10th Feb, 2011  Topic: 17  Post: 242  Age:  20  
Posted on:23rd Mar 2011, 6:26am
 

simple muslim girls like

Re:My Rizivi
My Rizvi Bhai Please Bura Mat manna Magar shayad Mera sawal Apko samajh me nahi aaya ya aapka answer meri samajh me nahi aaya. Kiyon Ke mai ne bahot hi simple sawal pooch tha magar aap ne bahot hi COMPLICATED answer diya hai. Jitna bhi mujhe samjh me aaya aap ne Bahot hi acha answer diya hai Magar Bahot hi HIGH LEVEL LANUAGE mein. SO MAY I REQUEST YOU TO ANSWER IN SIMPLE LANUAGE?
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:23rd Mar 2011, 6:28am
 

likes of simple muslim girls

ANSWER IN SIMPLE LANUAGE? :)
umeed hae myrizvi bhai apnay faarsi shairoN ki translation ki tarah apnay reply ki salees urdu bhi mujh se nahi karwayeNgay :)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:23rd Mar 2011, 6:31am
 

simple muslim girls

sad_heart
asal maiN mera answer apkay sawaal k jawaab maiN nahi balkay Maryam ki reply k "jawaab" maiN thaa....... onhouN nay kahaa thaa k mard aur aurat dounouN apnay jeewan saathi ko apna "wafaa.daar" dekhna chaahtay haiN.

mera point of view yeh thaa /hai k biwi ko to apnay husband ka yaqeenan wafaa.daar rahna chaahiyeh...lekin practically MARD kabhi bhi (sirf) apni biwi ka "wafaa.daar" nahi rah saktaa... oski "zimmah.daariyaaN" aisee hoti haiN k woh biwi k saath saath apnay maaN baap, bahan bhai ka bhi "wafaa.daar" rahna parta hai... aur kabhi kabhi doosri shadi karkay dounouN biwiyoun ka "zimmah daar" ban jata hai...lehaza woh kabhi bhi (pahli) biwi hi ka ho kar nahi rah saktaa...yaani sirf oska wafaa.daar nahi rah sakta.

hope k ab apko meri baat samajh maiN aa gayee hogi...ooper ki replies maiN kuch mushkil wordz aa gaye thay...sorry for that

Sad_heart Group: Members  Joined: 10th Feb, 2011  Topic: 17  Post: 242  Age:  20  
Posted on:23rd Mar 2011, 6:49am
 

muslim girls like

Sorry My Rizivi
Sorry My Mistake. mai Hi Nahi samjh paya ke aap Mujh se Nahi Maryam se mukhatib the. Sorry for that.
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:23rd Mar 2011, 6:55am
 

simple girls like

sad heart bhai
aap apni post ko double click kartay haiN ? ya back page pe jatay huwe resend kar detay haiN ?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:23rd Mar 2011, 6:56am
 

simple girls

no problem
waisay ap iss thread k starter haiN...lehaza indirectly har reply apkay liyeh bhi hai. hope k ab apko meri baat samajh aa gaye hogi
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:23rd Mar 2011, 7:06am
 

sipmle muslim girls like

- maine muslims ki hi wafa aur jafa ki baat ki hae ji woh lives in non muslim coutries (even now a days in pakistan ) .

(*) agar muslims bhi aisa samajhtay haiN (aur yaqeenan samajhtay haiN) to islamically ghalat hi samjhtay haiN...

- Allah pak sab ko apni amaan meiN rakhay.(ameen)

(*) goya ap bhi yehi samajhti haiN k WOH ghalat samajhtay haiN ...hai naa :)

sad_heart bhai:.....ab aap iss samajh samajh ki gardaan say kuch aur nah samajh baiTh.naa lol

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:23rd Mar 2011, 7:13am
 

simple muslim girls like

ab to aap ki baat meiN bhi nahi samjhi k kon kiya samajhta hae :) ya phir maiN apni baat wazeh karnay se qasir rahi huN.

aap ne jo bayan kiya woh mard k haqooq O faraiz k wajibaat haiN & he has to do that. after marriage aurat pe apnay parents ya family ki zimmdari nahi rehti balkay us k liye husband ki ata,at afzal hae. jab k wafa aur jafa ki defination meray point of view se different hae :)
Sad_heart Group: Members  Joined: 10th Feb, 2011  Topic: 17  Post: 242  Age:  20  
Posted on:23rd Mar 2011, 7:17am
 

REPLAY TO MY RIZVI

Apki SAMAJH SAMAJH ki Gardaan Meri SAMAJH me aa gayi magar Aap is SAMAJH ka kuch Ziyada hi use Kar rahe hain. Is Liye Aap Apni SAMAJH Ka utna hi use karien jitna Apki SAMAJH khud Ko SAMJHNE Aur doosron ko SAMJHANE ki Ijazat deti ho. Lagata Hai apko SAMJAH me Aagaya Hai Meri SAMAJH se. AM I RIGHT?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:23rd Mar 2011, 7:21am
 

muslim girls like

bahoot khoob
samajh samajh k jo nah samajh sakay, meri samajh maiN woh naa.samajh hai :)

lekin apto masha Allah khasay samjh.daar niklay... bus bhai kabhi kabhi lafzouN ki saudaagari karnay lagtaa houN...lafzouN say bahoot poranah yaranah jo hai lol

Sad_heart Group: Members  Joined: 10th Feb, 2011  Topic: 17  Post: 242  Age:  20  
Posted on:23rd Mar 2011, 7:30am
 

What a simple muslim girl likes

Come back on Topic
Aap ne waise bhi Topic ko khasa divert kar Diya hai to Ab kam ki baat kijiye Mera Matlab mere question ka Answer dijiye.
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:23rd Mar 2011, 10:50am
 

Simple muslim girl

Mard aur Wafa :)
abhi baiThay baiThay Fakhira Batool aik shair yaad agaya to mard aur wafa ki baat bhi samajh meiN agai :)

aaj phir hatheli pe, maiN Hina se likhoNgi,
phir wohi puraani baat
mard kuch bhi ho lekin
baa.wafa nahi hota
1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013