ishtiaaq
|
Group: Members Joined: 06th Aug, 2008 Topic: 38 Post: 81 Age:
30
|
|
Posted on:14th Mar 2011, 8:36am |
|
|
Recent Imbalance Concessional In Pakistan -Where Would Be End?
Salam to All Friends!
Dosto sabb se pehly to main aap doston se itna kehna chahon ga ke kaya aap sabb Moolak-e-Pakistan ke moujooda Halaat se khush hain? Dosto itny boury aur tabaah-kunn Halaat to shaaid oun moolkon mein b na hoty hon gay jo halaat-e-jang mein hon. Aur aik Hamaara Moolak hai jahan aaye roz najny kitny log apny hi logon ke hathhon mout ka ghaat outaar diye jaaty hain.
Poora Moolak bomb blasts se gounj raha hai, aur sabb se bhar kar Karachi mein jo target killing hoti hain oun ki misaal to poory moolak mein shaaid hi kahin aur milti ho.
Dosto kitny afsos ki baat hai hamaary Moolak ka Saddar, Prime Minister, Karachi mein moujood hon aur oun ki moujoodgi mein target killings ho rahi hon to aap hi bataaiye ke poory moolak ki Security ki kaya halat ho gi?
Afsos to is baat per b hai ke tamaam seyaasi partiyaan apny zaati mofaadaat ko poora karny ke liy aik dosry ki mminat tain kar rahi hain aur Aam Aawaam bechari Marr rahi hai.
Kaya kabi wo din b is Moolak mein aaye ga jabb Hokamraan apny zaati Mofaadaat ko chhor ka Aawaami mofaadaat ki baat karain gay?
Khuda Ke Liy! Aye Moolak-e-Pakistan ke naam nehaad Hokamraano is Ghareeb Aawaam ka kuchh socho, Ye Zindgi to aaj hai kall nahi ho gi Lekin apni Aakhiratt ko to sanwaar lo. Khuda Ke Liy!
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:15th Mar 2011, 4:31am |
|
|
Molk meah ammun o amaan ki Sorat-a-haal Apki Feelings Hur true pakistani ki feelings hen, lakin Budqismuti say Humary apny aahmaal ka nuteeja hay yeh sub jo Hum dakh ry hen, Jub tuk Pakistani Nation apni vote ka Jayizz istamal nahi kury gahi , ghult logo vote day kur onki favor kur kay onko Awano meah ponchaa kur apni tubaahi ka samaan khod pada nahi kury ghi tu Pakistan meah real leadership aay ghi
Aj kul Jetny bhe Leaders hen dur ussul yeh Leader or Rah nomaa Kehlany kay Laiq he nahi hen, Jinno nay Molk meah Fussad or Fetna burpaa kur rukha hay or Real problems say Awam ki tuwajaa hutaa kur onko choty choty siyaasi issues meah oljaa kur apus meah murwaa ray hen khod apny apny Bunglo meah bath kur yeh buri buri batin kurty hen, Allah Pakistan ko Soltan Sulah-ud-Deen ayoobi jessa Nedur Mojahid Leader ata kury jis nay Hur sazushi ka sur apny hatho say Qulam keya, Pakistan tu international sazushoo ka ghur buna howa hay, Pakistan ky doshmun kholy aam pakistan meah tubaahi muchaa ray hen or Hum on he say Dollers ki bheek maang ray hen or apni Khoddaari Gerwi rukh kur awaam pur loans ka boj bhe dalty hen, Allah hum ko Aqal o shaoor ataa kury or en zalim Hukumrano say pakistan ko Nejaat ataa kury, or pakistan meah aadul-o-insaaf ka bol balla kury jahaa Mojrim ko osky Jorm ki suzaa mily or Crimes pur control ho, |
ishtiaaq
|
Group: Members Joined: 06th Aug, 2008 Topic: 38 Post: 81 Age:
30
|
|
Posted on:15th Mar 2011, 7:29am |
|
|
NA RAHY BANS NA BAJY BANSURI! Dosto wasiy main aik baat kahon
to roz roz Aakhbaraat mein Aawaam ki tabaahi aur barbadi ki khabrain parh parh
kar main to aisa oulhajj gaya hon ke na chahty howy b Dil se yehi
Doua nikalti hai ke Aye Allah Japan jaisa aik Tsunami Pakistan mein b bejh de
jo is saary Moolak ko safha-e-hasti se hi mita dey. Keon ki agar is moolak ke
Hokamraan boury se boura kaam kar rahy hain to Aawaam b itny behiss ho chuky
hain ke Hakoomat ke khilaaf Awaaz-e-Baghawat bulanndd nahi karty. So behter hai
ke Allah hi hum sabb ka Insaaf kar dey.
Keon ki Na to in Hokaamraano nay hi apny aap ko theek karna hai aur na hi
Aawaam nay hi apny ander Shaa’oour bedaar karna hai. So behter hai na rahy “NA
RAHY BANS AUR NA BAJY BANSURI” |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:16th Mar 2011, 3:47pm |
|
|
Re:Khuda Ke liy!
Allah pak se insaf nahi us ka reham mangna chahiye. jab insan duniya meiN fasad phelatay haiN, buraiyaN kartay haiN. Allah ki nafarmani kartay haiN aur Allah pak k hukmoN ko toRtay haiN tou zameen Allah pak se poochti hae k kiya meiN inhaiN nigal na jaoN ? asman poochta hae k meiN in pe baras na paRoN ? pani (samundar) kehta hae meiN in pe ghalib na ajaoN ? to Allah pak unhaiN farmata hae k kiya yeh tumharay banday haiN ? agar tumharay banday haiN to inhaiN gharq kar do lekin agar yeh meray banday haiN tou maiN in ki tauba ka in k palaT anay ka intezar karta huN.
akhbar agar tarah tarah ki batoN ko mirch masala laga kar na batayeN to un ka akhbar kaise bikkay ? halat e hazira pe nazar hona achi baat hae lekin is qadar frustration phela dena ya frustrate hojana k apnay hi mulk aur logoN k liye is tarah ki dua ki jaye yeh kahaN ki danishmandi hae ? agar tou insan kisi doosre insan ka malik ya qadir hae to us k liye saza tajveez kar sakta hae lekin agar sab Allah ki makhlooq hae aur Wohi Qadir hae tou phir Allah pak se mayoos na hoN balkay sidq e dil k sath un logoN ki bhalai k liye dua karaiN jo masoom aur begunnah haiN aur na haq zulm ka shikar horahay haiN. Allah pak hum sab ko izzat ki zindagi aur izzat ki maut de (ameen)
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7734 Age:
55
|
|
Posted on:16th Mar 2011, 4:01pm |
|
|
insaan, fasaad, zameen aur aasman masha Allah baat to bahoot khoob.soorat aur mabni bar haq hailekin
iss maiN chouNkay Allah ka zameen o aasmaan say mokaalmah batlaay gaya hai to kia hi acha hota k iss mokaalmah ki "sanad /hawalah" (quran o hadees say) bhi darj kardia jata ... agar yeh "symbolic mokaalmah" nahi balkay "true diaologue" hai to |
Mufti
|
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 5 Post: 775 Age:
40
|
|
Posted on:16th Mar 2011, 7:17pm |
|
|
myrizvi iss maiN chouNkay Allah ka zameen o aasmaan say mokaalmah batlaay gaya hai to kia hi acha hota k iss mokaalmah ki "sanad /hawalah" (quran o hadees say) bhi darj kardia jata ... agar yeh "symbolic mokaalmah" nahi balkay "true diaologue" hai to
------------------- Aap Quran ko kab se maananay lag gaye janab :p |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:17th Mar 2011, 4:17am |
|
|
Mr. Mofti Id apna ap nay Mofti kay nam say bunaya howa hay or batin or soch or fikur apki Moftiyoon jasi nahi hay, Mofti or Mofti ki id meah Furq apky replies say saf zahir hota hay, Myrizvi nay apko theek pachana tah, nam kay mofti , Myrizvi one and only Member hay jo Islamic education kay Mehyaar pur pora oturtaa hay, Baqi mofti or allama kay ids buna kur ap Firqa wuraiyat tu phala sukty hen Questionor ko right answer Quran or Sonnut ki roshni meah ni day sukty,
|
ishtiaaq
|
Group: Members Joined: 06th Aug, 2008 Topic: 38 Post: 81 Age:
30
|
|
Posted on:17th Mar 2011, 7:11am |
|
|
Aik Haqeeqat! waisy kaehty hain Deen ke mamly
mein jis cheez ka pata na ho ous per baat nahi karni chahiye lekin main yahan
sirf aik Haqeeqat ka zikar karny laga hon.
bari maazratt ke sath mujy Oun Paeghamber (A.S) ka to pata nahi lekin Oun ki
Qoum mein ous waqt ki tamam bouraaiyan paai jati thhin Yahan takk ke Oun
Paeghamber (A.S) nay Allah se ous Qoum ko Tabaha-o-Barbaad karny ki Doua kar
di, Allah nay Oun ki Doua qabool ki aur Farshiton ko Hokamm diya ke is Qoum ko
Tabaah-o-Barbaad kar do.
Farshiton nay kaha YA ALLAH is qoum mein aik Insaan aisa hai jo apny houjjray
mein beth kar din raat Teyri Hamdd-o-Saa'na bayan karta rehta hai to AE ALLAH
ous Insaan ka kaya kiya jaaye?
To ALLAH nay kaha ke ous ko b dosry logon ke sath hi gharaqq kar do, Mujy is
Insaan ki Hamdd-o-Saa'na se kuchh lena dena nahi jo khud to aik Houjjray
mein beth kar din raat Meri Hamdd-o-Saa'na bayan karta reha Lekin Dosry
logon ko is ki taleem nahi di.
So Allah ke Farshiton nay ous qoum ko jo ke 2 Pahaaron ke beech Abaad thhi ous
ko ounhi Pahaaron ke neest-o-nabood kar diya.
Aub aap hi baataiye aisy Deen Daar aur Naam Nehaad Naik logon aur
Oulma-e-Karaam ka kaya faida jo Aawaam mein ye Shaa'our hi bedaar nahi kar saky
ke Zalim ka hath na roknay wala b Zalim hai. aur agar Aawaam nay in naam nehaad
Hokamraanoun ke Khilaaf kallmaa-e-haqq aur Aalamm-e-Bhaghawatt bulandd na kiya
to phir in ki Halatt b gali ke ous kutyy se bhar kar kuchh nahi ho gi jis ko
harr aata jaata insaan pathhar marta hai ya gussy se darra dhamka kar bagha
deta hai.
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:17th Mar 2011, 2:14pm |
|
|
haqeeqat ki haqeeqat.
myrizvi bhai :meray paas is ki sanad nahi kyuN k maine yeh speech meiN suna tha . aur is mukalmay ka andaz samjhanay wala sa hae na k as it is. Mufti bhai : kisi muslim (momin) ka yeh shewa nahi k jo baat apnay liye pasand na karay, woh kisi doosre muslim k liye kahay & i hope so k aap ko yeh baat samjhanay ki zaroorat nahi . Ishtiaq bhai: yeh waqia maine bhi suna huwa hae lekin ilm nahi k kis qaum k baray meiN hae (shayad Hazrat Loot As ki qaum k hawalay se hae UnhoN ne apni qaum k liye bad,dua ki thi aur woh qabool hui . un par 7 din tak azaab raha aur 7 qisam k azaab nazil kiye gaye . aaj bhi us qaum pe azaab ki surat Thehri hui hae. dead sea Qaum e loot k uper waqia hae ) jahaN tak logoN meiN shaoor be.daar karnay ki baat hae to yeh sirf ulemah ka kaam nahi . yeh ummat ummat e wasita hae aur poori ummat ki yeh zimmadari aur farz hae k woh amar bilmaroof O nahi anilmunkir kartay rahaiN. (wakazalika ja,alnakum ummatan wasata) maulna Ilyas sahib ne tableegh ka kaam start kiya tha aur sab ulema ko yeh niyat karai thi k Allah ka pegham duniya k akhiri konay tak pohnchayeNgay. duniya meiN shumal ka akhiri kinara Norway hae . Alta akhiri shehar hae yahaN somaliya k 70 muslims rehtay haiN aur wahaN se bhi jamaitaiN nikalti haiN . is se agay 5 ghanTay ka motor pe safar hae jahaN end of the world hae . yahan tak jamaataiN pohnchi haiN aur azaan bhi di aur 3 nimazaiN bhi ada ki. janoob meiN cape town hae yahaN bhi tableeghi jamaataiN pohnchi haiN. yeh sab batanay ka maqsad sirf yeh hae k tableegh ka kaam sirf Pakistan meiN hi nahi duniya k akhiri konay tak pohncha aur phela hae. baqi hidayat talab karnay se milti hae. afsos ki baat tou yeh hae k hum log manzil ko tou bhoolay hi thay us manzil pe janay wala rasta bhi bhool gaye. kabhi lauT ayeN to poochna, nahi dekhna unhain ghaur se + jinhaiN raastay meiN khabar hui k yeh raasta koi aur hae
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|