step by step poochaiN...ap ko jawaab milta rahega. ab tak jo ap nay poocha hai, oska jawab apko mil gaya hai.
agar apko softwares say interest hai...iss waqt bhi ap ghanTouN computer par bila kissi thakkan k kaam kar letay haiN, games /basic applications etc k elawah programming /trouble shooting bhi kuch nah kuch aati hai yaa seekhnay ka jazbah hai......aur ap BE software maiN admission k liyeh eligible haiN to zaroor admission lay laiN........india ki industry to iss main kaafi aagy hai...international market maiN bhi kafi scope hai.
lekin agar apko computers ka etna zeyadah shauq nahi to phir idhar nah aayaiN... simple mechanical, electrical, electronics etc maiN admission lay laiN...yeh evergreen technologies hai aur har industrial unit maiN inki hamesha demand rahti hai |