bravo82
|
Group: Members Joined: 13th Aug, 2009 Topic: 5 Post: 34 Age:
32
|
|
Posted on:28th Jan 2011, 2:33am |
|
|
Role Of Mustifa Kamal For Karachi development(Ex-City Nazim Karachi)
Aj Karachi ko banana mae Mustufa Kamal ka bhot bara hath hai .... Naimatullah na to sirif Candles lagai thi ... but jo bhi hooo MQM has made karachi ....
|
bravo82
|
Group: Members Joined: 13th Aug, 2009 Topic: 5 Post: 34 Age:
32
|
|
Posted on:28th Jan 2011, 2:37am |
|
|
MQM & PML N
kash MQM & PML N ek hojae ....
Bcz Shahbaz Sharif is a perfect Administrator . Mustafa kamal & Shahbaz sharif ek hojae to pura pakistan ko kahan sae kahan pocha dae ..... Bhaiyoooo plzzz ap bad language use mat karna for PML N & MQM kae liyae .. |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:28th Jan 2011, 3:15am |
|
|
nahi nahi bad leanguage q istemaal karni hay ..:) bulky aap ki yad'dashat k liye achi achi lenguage main buri buri batain kar laity hain ...:))
karachi main target killing PPP + ANP + MQM ki mushtraka government k saye taly ho rahi hay iss main koi choutha shreek hoo na ho laiken yeh teeno zaroor zimadaar hain iss liye aap yahan MQM ko b pakistan ka hamdard qarar nahi day sakty
punjab main aye roz dhamaky , firing waghaira k khuly aam waqiyat ho rahay hain jin main PPP + PML (N) ki mushtarka Government ka hath ho na ho laiken inn dono ki zimadari zaroor hay
lehaza aap yahan b kisi achy administrator k toor par kisi ki be jaa tareef nahi kar sakty ..to baat yeh bani k na MQM na PPP aur na PML (N) iss mulik ki wafadar ya hamdard hay iss liye agar inn main nachaqi rehti hay to b baat aik hi hay aur agar inn main salook aur ittehaad hota hay to b baat aik hi hay ...pakistani awam abb inn sab latairon sy tang aa chuky hain ..laiken jis din inn latairon ko dobara sy muntehab karny ki soch sy tang ageye uss din ka pakistan insha'allah aaj k pakistan sy buhat behtar hoga...:)) |
mustmust
|
Group: Members Joined: 03rd Dec, 2008 Topic: 12 Post: 149 Age:
29
|
|
Posted on:28th Jan 2011, 4:50am |
|
|
Agar Mustafa Kamal Bhai na hota to kya aaj Karachi Kasa hota ? Mostafa Kamal na hota tu karachi beijing hota , jo mostafa kamal nay keya osny apny Furaayzz unjaam deyeh, osy phely bhe jo nazaim thaa osny bhe bot kam kurway or ossy he aagy lay kur chulaa mostafa kamal yeh siyasat danoo kaa siyaasi hutkhundaa hota hay meah nay yeh keya meah nay woh keya essy phely waly nay koch ni keyaa just contraption ki etc
Karachi Shoro say he pakistan ka khobsorat tureen city hay or es pur hur dor-a-hukomat meah kam hotaa rahaa hay hotaa ayaa hay hota ray gah, mostafaa kumal ko he just credit dana bilkol theek nahi haa yeh keh sukty hen woh ek acha terrorist tah , or apny period meah bohut bundey murwaye or budmashi ki, |
i-salmaan
|
Group: Members Joined: 19th Jan, 2011 Topic: 1 Post: 181 Age:
|
|
Posted on:28th Jan 2011, 11:28pm |
|
|
MQM katal o gharat karne walay har jamaat mai mojood hain isliyai - MQM jo bhi hai jesi bhi hai - usne buhut kam arsay mai hi sabit kardia hai kay wo awaam ki amango pe pora utar sakti hai mustafa kamaal ki sorat mai - ye baat dosri jamatain sabit karne mai nakaam rahi hain - isliyain vote for MQM
mister must must - target karna hai to sab ko karo ek banday ko nahe sirf - nawaz shareef ko bhi karo target - pervaiz ilahi ko bhi karo aur baaki sab ko bhi.
|
mustmust
|
Group: Members Joined: 03rd Dec, 2008 Topic: 12 Post: 149 Age:
29
|
|
Posted on:28th Jan 2011, 11:35pm |
|
|
Misuse of edit permission
Mostafa Kamal na hota tu karachi beijing hota meah nay likhaa taha agur mostafa kamal na hota tu karachi karachi he hota, jub kay kisi nay ess meah edit kur kay bejing ka ezafaa keya hay, jo ka oska huq nahi tah, esi tura phely bhe myrizvi kay bary meah mery comments ko edit kur kay gali likhi gahi hay, meri admin say reqest hay kay meri post ko ghult tor pur edit kurny waly moderator ko block keya jay,
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:28th Jan 2011, 11:50pm |
|
|
re Jinab Mostafa Kamal ko kis nay Target keya? Lakin just ek bundy ko credit dana bilkol theek nahi haa ulbuta Mostafa kamal Karachi ki history kay Best city nazim zuroor ray hen jo hur moshkil waqat meah office kay bujay awaam kay sath khury nuzur aay hen, i like his efforts for the citizens of Karachi
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:28th Jan 2011, 4:15pm |
|
|
mushkil waqat main sath daina aur muskil waqat ko samny daikhna ... re "jo hur moshkil waqat meah office kay bujay awaam kay sath khury nuzur aay hen"
han jo media ny dekhaya uss k mutabiq waqiya hi mustfa kamal muskil main logon k sath kharry nazar aye hain ..laiken jab bolten market main aag k shouly buland ho rahy thy aur log py dar py darjanon dukanon ko aag laga rahay thy tab b yeh mossof logon ko mushkil sy bachany ki bajaye muskil main giry logon k samny kharry thy ...:) |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:23rd Feb 2011, 5:28pm |
|
|
Shahbaz Shareef & Mustafa Kamal Mujhe b dono shakhsiyaat pasand hn mgr gher janibdari se dekha jaye tau na Shahbaz Shareef ne koi teer mar lia h aur na Mustafa Kamal ne aesa koi karnama sar anjaam de dia h ke dono ko ache administrators kaha ja ske. Albattah ye zarur kaha ja skta hae ke dono sahiban doosre kafi logoon se behtar h. Mustafa kamal lambay choray funds lene ke baud b Karachi ke citizens ko Barish ke pani se nijat tk na dilwa skay. Fly overs aur Roads zarur banwai gaieen jin ke mutallaq ex-city Nazim Naimatullah ka kehna hae ke unhun ne apne dorr main inn tamam projects ki manzoori de di thi aur initial funds b jari kr diye thay. Inn Fly Over ski mazbooti ka yeh aalim hae ke aik fly over tau Mustafa Kamal ke dorr main hi torr phorr ka shikar ho gya tha aur doosre main aik hafta pehle shagaf parr gya h. Baqi jahan tk doosre Development projects ki baat hae tau 9/11 ke baud bahir se bht zeyada foreign remittance aur Aid Pakistan ko Dollars ki shakal main di gai tau developmental projects shuru krna hr party ki majboori bn gya. Uss zamaane main ISD, KHI ke sath sath pooray Punjab main b bht zeyada infrastructural development hui. 9/11 se pehle Pakistan ka growth rate 2% se 2.5% tha jo ke 9/11 ke baud America ka ghunda ban'ne ke nateeje main 7%-8% tk b gya. Agr uss dorr main b koi party kaam na krti tau wo seyasat se pakki pakki out ho jati. Agr aaj log PML(Q) ya MQM ka name lete b hain tau uss main Musharraf ki mehrbaniyun ke sath sath Khula pesa hone ki wajah se inn parties ki taraf se kraye gye Development Projects b hn warna wohi MQM aaj b KHI ki leading party h aur hakoomati ittehadi h mgr development kahin nazar nahi aa rahi aur na hi Jurm, Qatl-o-ghaarat aur bhatta khori main kami hui h.
Doosre Sahib hamaray Punjab ke mojooda CM hn jo ke Badshah bnde hn. Dil kre tau itni worst economic conditions main b 30 billion se zeyada ka budget sasti roti ke name pr tandoosrun main jhonk dn aur agr dil kre tau DANISH phelaane ke name pr mojooda schools ya education level raise krne ki bjaye DANISH SCHOOLS pr arboon laga dn. Jitna aik Danish School pr Government expense kr rahi hae uss main taqreeban 30-40 existing schools ka infrastructure behtar bna kr unhen Model Schools ka darja dia ja skta tha jahan pr Ghareeb bachun ko muft taleem b di ja skti thi. Sasti roti project ka b sab se barra lateefa ye hae ke iss project ki monitoring krne ke liye hamaray Pindi ke aik MNA Helicopter pr phira krte thay aur roti 2 rupees ki krne ke liye Helicopter pr Crorun ka teeka laga krta tha. Shahbaz Shareef ne sab se pehle Police ki salaries double ki mgr na tau rishwat khatam hui aur na police culture change hua balkeh ulta mulki khazaane pr bojh parrh gya aur doosre soobun ko b police ki salaries barrhana parrein. Iss sab ke bawjood na tau Jurm control main hn aur na chori Daketi aur qatal kam huvay hn. Aaj b baqi soobun ki tarah har uss ache Officer ki transfer kr di jati hae jo merit pr chalte huvay ruling elite ka hukam maan'ne se inkar krta h.
Sab khoobiyun aur khaamiyun ke bawjood yeh haqeeqat zarur hae ke hamaray doosre polititians main agar Shehbaz Shareef aur Mustafa Kamal jitni spirit b peda ho jaye tau Pakistan mojooda Pakistan se bht behtar position main ho. |
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|