MMMM |
Group: Members Joined: 15th Jan, 2011 Topic: 2 Post: 84 Age:
22
|
|
Posted on:15th Jan 2011, 3:21am |
|
|
wazifa for love marriage Assalam o Aliykum all members kaise hein aap sub?ma forum mein new hun ma ne bhi love marriage ka wazifa shro kia hai ma chahti hun aap sub bhi mujhe duaun mein yad rkein mere liye dua karein.shukriya |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:15th Jan 2011, 4:17am |
|
|
MMMM 1. islam maiN "love before marriage"allow nahi hai. opposite sex shadi k baad hi aik doosray say "love karsaktay" haiN, shadi say pahlay nahi
2. "love marriagea' ka yeh wazeefah apko kahaaN say mila hai. zara iski tafseel bat.laa.iyyeh... agar yeh wazeefah /iska tareeqah quran o sunnat say sabit hai tab to jaiz hai.lekin agar aisaa nahi hai (jiska imkaan zeyadah hai) to phir yeh wazeefah kghaah kissi nay bhi dia ho, ghalat hai.
3. agar apko kissi say "love hogaya" hai, yaa koi acha lagta hai aur ap oskay saath shadi karna chaahti haiN to iskay liyeh "islami tareeqah" ikhteyaar kijyeh... kissi wazeefah ki koi zaroorat nahi
4. islami tareeqah yeh hai k ap jiss say shadi karna chaahti haiN, oss tak yeh message bhijwayaiN k woh apkay ghar rishtah bhejay......issi taarh ap apni ammi, baRi bahan yaa kissi baRi azeezah ko yeh baat batlaa daiN.... agar apkay baRouN nay iss rishtah ko qabool kia aur dounouN gharanay razi hogaye to shadi hojayegi...agar aisaa nah howaa, laRka agree nahi yaa dounouN families agree nahi to phir ap yeh mohabbat ka chakkar choR daiN...
5. iss saray amal k dauran 5 waqt ki namaazouN maiN Allah say dua karaiN k agar yeh laRka apkay liye mustaqbil maiN acha ho to yahaaN apka rishtah hojaa.ay aur agar Allah k ilm k motabiq yeh apkay liyeh suitable nah ho to yeh rishtah nah ho..... direct Allah say dua karaiN
Allah apko behtareen rafiqay safar ataa farmaa.ay. aameen |
MMMM |
Group: Members Joined: 15th Jan, 2011 Topic: 2 Post: 84 Age:
22
|
|
Posted on:15th Jan 2011, 8:05am |
|
|
reply about love marriage wazifa Assalam o alikum, myrizvi ma aapki sari bhtun se agree krti hun our allah ka shukar hai ma ne hmesha jo manga Allah se he manga our jahan tak pyar ki bat hai ma ne parents ki marzi k beghair kbhi kuch nahi kia or es rishte k bare ma b parents ko pata hai our larkay k ghar wale rishta bhi la kar aye our larka bhi mere ghar walun ko pasand hai leken family ki kuch problems ki waja se mere ghar wale inkar kar rhe hein ma chahti hun ya mushklein khatam ho jaein es liye aap logon ko dua ka kaha kun k meri koe dost nyahi jo mere liye dua kar sake our jahan tak wazife ka tahlaq hai ma ne aap logun se he liya k isha k bhad 1100 bar (eyaa ka na badoo wa ayaa ka nastayeen drood sharif k sath)ma to ya es liye parh rhi hun k Allah mere raste ki har mushkil asan kare our meri madad karein Allah ta k meri mushkil hal ho our Allah meri dua kabool karein ma ne jab bhi jo bhi manga direct Allah se he manga. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:16th Jan 2011, 12:02am |
|
|
MMM Allah apki mushkilaiN asaan karay. ham sab ki dua'aiN apkay saath haiN. ap istekhara ki dua bhi paRhaiN aur apni dua youN maangaiN...Ay Allah agar iss rishtah maiN meray liyeh khair yo to iss rishtay ki raah maiN haail tamaam mushkilaat ko door farmaa....aur agar iss rishtah maiN meray liyeh khair ki bajaa.ay shar posheedah ho to meray liyeh iss say behtar rishtah ataa farmaa. |
M Amin |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:16th Jan 2011, 6:47am |
|
|
Sis MMM
AoA dau hy k Allah Pak ap ki tamam preshaniyon ko apni khass rehmat sy hall kary ameeeeeeeeeen Myrizvi ne ap k liyai bohat he achi dua likhi hy Ap ne meri aik or post ( I don't want to merry) parhi Hoslah-afzai ka shukriya. Sis ap ki soch bohat achi hy ap jab tak Allah sy umeed rakhin ge ap ki tamam tar Preshaniyan hall hoti jain gi Sab sy barri bat hoti hy Parents ka addab jis Insan sy us k Parents Khush hoty hain us Insan sy Allah bhi khush hota hy Ap apny Parents ki bat manain kiyon k Parents kabhi bhi nahi chahty k un ki Olad ko kabhi bhi dukh ho wo hamesh apny Bachon ko us sy behtar deny ki koshish karty hain jo unhain milla ho Is bat ka andaza ap ko tab hoga jab ap MAA banain gein. Allah ap ki Duaon ko qabool kary or jo Wazefa ya koi or amal ap krti hain Allah Pak ap ko us ka Ajjar dy ameen.
One Thing More
Ager main apni past Life per aik Nazar dalon to Kam umar main hi mujh
per aik easa waqat aya tha k aik taraf wo larki jo mujh sy piyar karti
the wo or us ki Maa or yaqeen manain dosri tarf mera pora Khandan mery
Parents they or mujhy time diya gaya aik k Intekhab ka Me ny Himat na
hari Allah sy sachy Dil sy dua ki or apny Parents ka Intekhab kiya.
Alhamdulilh us k bad mujy jo ezat mili main bayan nahi kar sakta or us k
against mera aik or khawab hy aik manzil hy ager wo mujhy Manzil mujhy
hasil ho gai to Parents k bad mery liyai ager koi La-Zawal hy tu wo hy
or shayad main us waqat koi Jazbati faisla karta tu yeh sab kuch mujhy
na milta. Deep Thinking
|
MMMM |
Group: Members Joined: 15th Jan, 2011 Topic: 2 Post: 84 Age:
22
|
|
Posted on:16th Jan 2011, 9:32am |
|
|
reply from MMM AOA bhai teek kehte hein aap our meri dua hai k Allah aap ko zinadagi ki har khushi da jante hein ma hmesha se es bat pa yaqeen rakhte hun k ache insan k sath kbhi bura nahi hota ma hmesha apni taraf se joteek lage wo karti hun our ntejha Allah pa chor dati hun kyun k ma apne liye nahi dosrun k liye jena chahti hun.our ma bhot khushkismat hun es liye k mujhe aisa pyar mila jis k liye ezat he sub kuch hai our unun ne mera sath diya k ma sirf wo krun jo mere parents kehen aaj ma beshak akeli sehe par dil mutmehn hai k ma ne apne parents ko takleif da kar Allah ko naraz nahi kia our agar Allah hum se naraz ho to es ma bhi nuksan hmara he hota hai kyun k Allah ko hmari nahi hamein Allah ki zrorat hote hai.ma akeli ro lati hun laken parents k samne kbhi preshan nahi hoti.jante hein meri koi dost nahi kyun k kbhi kisi dost ki kami nahi mehsos hui par aj esas ho rha hai k aek dost zror honi chaeye.ma ne ya forum esi liye join ki k ma bhot akeli thi our phr socha pata nahi kab kis ki dua kabool ho jaye kyun k Allah se kbhi mayus nahi hona chaeye our ma ne hmesha Allah pa yaqeen rkha. |
M Amin |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:16th Jan 2011, 12:38pm |
|
|
Sis MMMM AoA Sister thanks for pray for me Allah Pak ap ki duaon ko kabool kary ameeeen. Sister above post me ap ne likha hy k meri koi dost nahi hy'' Sister I think aik Larki ki sab sy bari dost us ki Maa hoti hy Maa wo Hasti hy jis ki mesal ap ko dunia me nahi mily ge ap koshish kiya karin apni Problums apni Mother sy share kiya karain Yaqeen manain ap ki prob easy hall hongi jesy Dhoodh (milk) me Pani. yeh mera tajarba hy . Dosron k liyai jeena '' Dosron ki Khushyon per apni Khushyan quban karna yeh aik bohat he bari bat hy Meri nazar me Dil ko sakon ya Dily Khushi ap ko tab hasil hoti hy jab ap dosron ko Choti Choti Khushyan dety hain. ''Jis Insan ko Shekast ka dar hota hy wo Haar jata hy''' Ap apny andar Confidance paida karin or Apni Tanhai ko masrofiat sy badal dain ap ki tamam tar preshani khatam ho jai gi Or umeed hy ap Namaz parhti hongi Allah sy dua kiya karin k Allah ap ko Dily Sakon aata famai ameeeen |
MMMM |
Group: Members Joined: 15th Jan, 2011 Topic: 2 Post: 84 Age:
22
|
|
Posted on:16th Jan 2011, 3:47pm |
|
|
reply from MMM AOA aap ne teek kaha maa sub se achi dost hoti hai agar maa dost ho to insan ko kisi or dost ki zarrorat he mehsos na ho par meri yehi problem hai meri maa meri dost nahi shaed wo mujhe smaj he nahi saken ya shaed es liye k parhe likhe our unparh insan ki soch ma fark hota hai.ma ne hmesha ya chaha k kise ko meri vja se taklef na ho aj bhi mujhe apni fkir nahi mere sath jo ho mujhe fkir hai to us insan ki jo mujh e toot kar chahta hai insanyat k rishte se bhi ma sochun to ya galat hai k meri vja se kisi ki zindagi barbad ho,nmaz ma regularly parhte hun warna to khud ma ulajh kar zehni mrez ban gaei hoti.khair duaun ma yad rakhye ga.Allah hmari madad kare our hum sub ki mushklein asan kare ameen. |
mayhooraaj |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2010 Topic: 14 Post: 160 Age:
|
|
Posted on:17th Jan 2011, 4:57am |
|
|
3 cheezein.... Pak kr rakho..1.Jism 2.Libas 3.Khayalat
Qaboo me rkho.... 1.Zuban 2.Nafs 3.Gussa
Yaad rkho... 1.mot 2.ehsaan 3.naseehat
hasil karo... 1.illm 2.Dua 3.Aitmaad
dhyan se uthao... 1.Qadam 2.Qasam 3.Qalam
Baqaydgi se perthe raho... 1.Namaz 2.Quran 3.Darood |
M Amin |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:17th Jan 2011, 12:17pm |
|
|
Sister
ap ne ''Khubsurat Batain'' me bohat achhi sharing ki hy thanks. vvvey nice. Ap k liyai aik or mashwara hy ( mujhy ye tu malom nahi k ap is me intrest rakhti hain k nahi but mery khayal me agr aamal karin gi to result '''+''' hoga ) Ap Handicrafts banaya karin is sy ye hoga k ghar k kam kaj k bad ap ki masrofiat is taraf hogi jis sy ap ko sochny ka waqat nahi milly ga jab ap ne koi aik cheez banai or wo dosron ko achi lagi tu ap phir ye hi sochian gi k ab kiya banaon k us ko log pasand karin..? Mera maqsad ap ko ap k asal Maqssad sy Ghafil karna tu nahi lakin ap ki preshani ap ki Tanhai ko dor karna zaror hy Or aik bat Zehan me bitha lain or is per yaqeen ki stamp laga lain k jo kuch ap k Naseeb me likh diya gaya hy Dunia ki koi Taqat usy ap sy door nahi kar sakti ( siwai Dua k ). ALL THE BesT
Sister
Above post ( re from MMM ) me ap ny bohat hi ajeeb bat likhi hy wo main
nai bataon ga ap khud note karin Itna Hopeless nahi hona chahyai Allah
naraz hota hy. |
MMMM |
Group: Members Joined: 15th Jan, 2011 Topic: 2 Post: 84 Age:
22
|
|
Posted on:17th Jan 2011, 2:18pm |
|
|
M Amin Bhai AOA bhai ma Allah se mayus to nahi hui mayus hoti to duaen kyun karti lekin aap khud he bta dein apko kya ajeeb laga mujhe to smajh nahi aai , ab aap kehein ge smajh smajh kar bhi jo na smjhe wo nasmajh hai par kya krun.apka mashwra bhot acha hai amal krun gi thank you.aap ajeeb bat bhi bta he dein.
Don't start chatting here.
Moderator |
M Amin |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:17th Jan 2011, 4:04pm |
|
|
Bhai ki Behann WA-Salam Ager ap ko is me kuch ajeeb nahi laga tu koi bat nahi me ap ka Dil nahi torrta. Rahi Bat Samajhny ki to ''Behna'' Aik fiqra sab k liyai bhi istemal nahi kiya jata . Masha-allah ap pahly sy he Samajhdaar hain. Jab mery mashwary sy faida ho tu mujhy zaroor batana '' Behna'' or kahin akely me Ansu na bahti Rehna kiyon k sab ka ye hi hy Kahna Jo Kuch mango Allah sy mango kisi or sy mat kuch mangna kuch mat Kehna Meri liyai bhi dua karna Meri Behna.
Don't start chatting here.
Moderator |
MMMM |
Group: Members Joined: 15th Jan, 2011 Topic: 2 Post: 84 Age:
22
|
|
Posted on:18th Jan 2011, 1:35am |
|
|
To Moderator Sorry apko hamein notice dena para hum apas ma he ulajh gaye the aeinda aisa nahi hoga apko note dene ki nobat nahi aye gi.thank you |
M Amin |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:18th Jan 2011, 1:03pm |
|
|
Topic Will you talk these Topic
1> Kuch Log Khany k liyai jeety hain'' or Kuch Log Jeeny k liyai Khaty hain ( means )
2> Kuch Log 1 fit Oonch sochty hain'' or Kuch Log 1 fit Neecha sochty hain (means )
|
MMMM |
Group: Members Joined: 15th Jan, 2011 Topic: 2 Post: 84 Age:
22
|
|
Posted on:18th Jan 2011, 2:52pm |
|
|
Topic AOA bhai, ap ne question pocha ma koshesh karti hun asa ans dun jes se ap mutmehn hun . 1- means k duniya main kuch log aisee hote hein jo aram o skun ki zindagi guzarna he apna maqsad smjhte hein k khana pena our aish o aram he sub khuch hai aise logun ki zinadgi ka koi maqsad nahi hota na koi manzil, our kuch log aise hote hein jo sirf zinda rehne k liye khane ko zrori smjhte hein ese zindagi ka maqsad nahi bana lete ye log jene ka koi maqsad bnate hein apni manzil tah kar lete hein phr usi raste par chalte hein apni zindagi kisi maqsad k liye waqf kar dete hein duniya ma ane k maqsad ko smjhte hein.
2-means k khuch logun ki soch asi hoti hai jis ma bhrahai our tkabr aa jata hai yahni apni hesiyat se barh kar khud ko bhot buland maqam par smjhte huy sochte hein our kuch logun ki soch asi hoti hai jo k hmesha shak k dairay ma aa jati hai means ase log jo bolte to sumundar ki tarah hein par sochte talab ki taraha hein yahni bhot choti soch hoti hai unki.our choti soch ki vja se insan ko hmesha nuksan uthana parta hai kun k insan ki soch usk kirdaar ko zahir karti hai.
|
M Amin |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:20th Jan 2011, 7:05am |
|
|
I Think....... WA-Salam Sister very nice reply I would like 2 say some thing...... like ( Aik hi MAA k pait me sy paida hony waly 4 bachon ki soch aik jesi nahi hoti So what I thought........?)
1st Quest II part > Kuch log easy hoty hain jin per bohat se Zimmadariyan hoti hain In logon ki soch in ki Khushi In ki Mahnat In ka presant dosron k liyai Feture hota hy Dosron ki success in ki success hoti hy jasy Ghar ka bara Fard. ye sirf apni Zaat k liye nahi sochta balky pory ghar k liye sochta hy Isi tarha DIYA (Charaagh ) is ki roshani kamry me to hoti hy mager is k apny neechy nah hoti. Easy log Khamosh Mzeezaj Sabitt Qadam At-tal faisla karny waly or bohat hi Sabir hoty hain.
2nd Questiojn> Kuchh log 1 fit oncha matlib Hameesha Damagh sy kam lety hain soch samajh kar faisla karty hain Bohat hi samajhdar hoty hain Bat ko sun kar Us bat ka Pora Pora Naap Tool karny k bad Jawab dety hain Jald Baz nahi hoty Ghoor-o-Fikar in ki Fitrat me shamil hota hy
Kuch log 1 fit neecha matlib Dil ki bat manty hain Jazbati hoty hain Jazbati Faisla karty hain Jald baz hoty hain in ko kuch gharz nahi hoti k hamary faisly ka anjam kiya hoga kiyon k ye Atonce faisla karty hain or in k aksar faisly bad main Pachtawa ban jaty hain Ye Ne-Darr hoty hain or dosron ko bohat khush rskhty hain ( Its my Thinking )
Plz continue ( Insan ki soch us k kirdar ko zahir krti hy.'' its part of ur last post ) |
MMMM |
Group: Members Joined: 15th Jan, 2011 Topic: 2 Post: 84 Age:
22
|
|
Posted on:20th Jan 2011, 9:45am |
|
|
Insan ki soch us k kirdar ko zahir krti hy. Assalam o Aaliykum bhai aap ne bilkul teek kaha our mujhe yaqeen tha mujh se kehen acha answer apk pas hoga.our ya bhi teek hai aek he maa ki olad aek dosray se bhot alag hoti hai unki soch pasand napasand bhot alag hoti hai.har insan ka apna nazriya hota hai zindagi ko dekhne ka apna apna andaz hota hai our zarrori nahi hota sub es se itfaq karein
our insan ki soch usk kirdar ki tarjumani karti hai insan apni soch se apna andar dosrun k samne zahir karta hai es liye insan ki soch ma pakizgi ka hona bhot zrori hai. our soch ka tahlaq agar dil our rooh se jhurha ho to yaqeenan wo soch bhot achi hoti hai,soch aine ki manind hai jis tarha aina insan ki zahiri tasveer dekhata hai esi tarha soch insan ka andar dekhati hai.soch insan k andar ka aks hoti hai. |
M Amin |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:21st Jan 2011, 11:06pm |
|
|
Pass-e-Aaina WA-Salam Sister bohat shukriya very good thinking and very nice ans. Dua hy k Allah ap ki or tamam musalman Behan Bhayon ki tamam ter Preshaniyaon ko apni Khass Rahmat sy hall kary ameeeeeen. Sister '' Insan ki soch us ki Soch ki tarjumani karti hy'' Allah Pak ne her insan ko Aala sy Aala Zehan diya hy or phir har insan ko Lafzoon k Chunao ki taqat di hy yeh Insan per depand karta hy k wo kaisy Lafzon ka chunao kary Kuch log easy hoty hain jin ka Intezar kiya jata hy k wo aain gy tu Mahfil shuru hogi wo aain gy tu Baat shuru karin gy wo aqain gy to Opening hogi pahly Un sy Mashwara kar lain phir Faisla karin gy Is ki Ba-Nisbat kuch log easy hoty hain k chorro jee isy jany do phir baat hogi wo aa raha hy abhi chupp karo Is sy kiya pochhna ap kam shuru karo etc. Yahan me ap ki bat ko continue karon ga k Un k Alfaz k Chunao un k kirdar ki Tajumani karta hy.
Aaina. Insan ko Hamesha us aainy me apni shakal nazar aati hy jis ki back side black hoti hy matlib aik tarf to wo apni zaat ka apny zameer ka apnysoch ka apny ap ka mawazna karta hy is k bar-akss back side us insan ki andar ki wo tamam ter burayon ko zahir karti hy or yeh tarjumani sirf un logon ki hoti hy jin ka ZAMEER zinda hota hy ( Sister I am sorry to say mujhy kuch ziyada bolny ki aadat hy ) |
MMMM |
Group: Members Joined: 15th Jan, 2011 Topic: 2 Post: 84 Age:
22
|
|
Posted on:21st Jan 2011, 12:39pm |
|
|
Alfaz Assalam o Aliykum aap ne jo kaha teek kaha ma har baat se itfaq karti hun.our alfaz ki ehmiyat to hum log kbhi zindagi ma smajh he nahi sakte hamare alfaz ka kirdar bhot ehmiyat rakhta hai hamari soch ko zahir karne ma kbhi alfaz ka chonao karte huy hum smajh he nahi sakte ye alfaz hmari baat ko pori tarha beyan kar saken ge k nahi our ye "lfaz" kehne ko mamuli sa word lagta hai par en lafzun ki qadr wohi smajh sakte hein jo kuch kehna chahein our unein kbhi lafz our kbhi mouka na mila ho our unk kheyalat unk andr he reh gaye hun ,es baat ma bhot gerai hai shaed koi armaan bhi,our jab insan kuch kehna chahta ho keh na sake ye dard bhi ajeeb hota hai.insan bhi ketni ajeeb cheez hai kisi ko smjhe to pal bhar ma smajh la na smjhe to sari zindgi sath rehte huy bhi na smajh sake.alfaz ki gerai aksar log smajh nahi sakte our aksar dil ki gerai alfaz ma keh nahi sakte par alfaz anmol hote hein jo insan alfaz ko chunne ka hunr seikh la wo kamyab hai meri nazr ma, insan kobolna seikh ma aek saal lagta hai par kon se alfaz kahan estmaal karne hein ye seikhne ma umar lag lag jati hai.hmare alfaz ki methas insan ka adha ghum dor kar deti hai .
our rhi baat zyeda bolne ki to aap bolte to hein bolna khamoshi se kehen acha hota hai aksar khamoshi insan ko ksorwar bana deti hai so bolte rehein meri tarha khamosh na rehye ga. |
M Amin |
Group: Joined: 31st Dec, 1969 Topic: 11 Post: 175 Age:
|
|
Posted on:23rd Jan 2011, 8:04pm |
|
|
Khamoshiiiiiii AoA Sister !
> Khamoshi Eman ki alamat hy
>Jo chup raha us ne nejat pai
> Aik chupp 100 sukh
> Khamoshi Izhar-e-Nafrat ( ghussa ) ka behtareen zarya hy
Yeh bat bhi theek hy k Jab tak insan boly ga nahi usy us ka Haqq nahi mily ga.
Ap k pass ''Ap ko apni baat samjhany k liye bhi Fann hona chahye. Lafzoon ka Hair Phair inSAN ki Zindagi badal deta hy. Duniya me zuban jesi Meethi or Zuban jesi Taizz ( sharp ) koi cheez nahi hy lakin in dono baton me farqq karny k liye hamain Alfaz ki zarorat hoti hy.
Apny andar Mayosi Chota pann Tanhai Khamoshi jesi cheezon ko jagah deny sy Insan apni zindagi ka asal maqsad kho bethta hy Yeh zarori nahi k Insan jis cheez ki tamana kary wo usy lazim mill jai Zindagi tu is cheez ka nam hy k jo phool ap apni Bagh me lagan chahty hain wo dosry Bag main dosry pholon k sath bohat khush hy Ap bass itna karin k us phool ki pattiya koi na torry nahi tu wo Murjha jai ga Or us phool ko har nai subha aik nayi hansty muskuraty chahry k sath piyar ki mahakti sansson sy Subha-Bakhairt kahin. All the BesT |
|