I can't reply, why? Qasim Bhai!
parsouN hi wapsi howi hai, kal filed par agaya aur baRa busy din guzra. aj login howa houN. apka bahoot bahhot shukarya k apnay yaad rakha.
s4u aur husna ko meri taraf say hajj mobarak ho.
jin jin logouN nay dua ki darkhast ki thee onsab k liyeh bilkhasoos aur tamam members k liyeh bilamoom dauraanay haj dua ki gayee. raseed haazir hai :)
(PS: maiN kissi bhi post maiN reply nahi kar paarahaa...lehaza majbooran new thread maiN 'reply' kar raha houN...ab chouNkay aisaa 'mustaqil nahi kar sakta...lehazaa jab tak yeh forbidden wala maslah hal nahi hojata, maiN 'rest' karta rahouNga:) |