Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Piles Causes And Treatment

General Health   >>  Surgical Problem
 
 
 
samer Group: Members  Joined: 29th Jun, 2010  Topic: 3  Post: 23  Age:  26  
Posted on:10th Dec 2010, 12:25am
 

Piles Causes And Treatment

sir mri wife ko last 3 month se bary peeshab k bad kafi takleef hoti hai maqad main zakham ban jaty hain aur kal to peeshab k sath thora sa khoon bhi aya hai ham dono bohat pershan hain k kaheen ye bawaseer ki alaamat to nahin hain please hamari madad krein hamen kuch batayen is bary main.aap k liye bohat dua karein ge.aik aur baat k unhe teesry din ja k peeshab ata hai.


samer Group: Members  Joined: 29th Jun, 2010  Topic: 3  Post: 23  Age:  26  
Posted on:10th Dec 2010, 1:46am
 

bawaseer

sir main kabse aap ke ans ka wait kar raha hun aap ne sabke que ke ans de diye aur mujhy nahi dia sir ham bohat pereshan hain aur filhaal kisi doctor ke paas bhi nahi ja sakty to please aap hamari rehnumai farmayen .
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6348  Age:  35  
Posted on:10th Dec 2010, 5:39am
 

Piles causes and Treatment

 First of all woh sub foods jo constipation ka Bahisss bun sukty hen on say Avoid kurin, No rice , no white bread, no meat, just use Vegetables and drink plenty of water, esky sath sath ziyada time hard place pur na bathyin, or doctor say jaa kur consult kurin , abi yeh doctor he check kur kay btaa sukta hay ayaa yeh anal fissure hay yaa piles ki symptoms hen so kindly consult with doctor, 
samer Group: Members  Joined: 29th Jun, 2010  Topic: 3  Post: 23  Age:  26  
Posted on:10th Dec 2010, 11:11pm
 

piles

sir aap ki rehnumai ka bohat bohat shukria hamari tension kisi had tak kam ho gai hai lekin sir sirf aik masly k bary aur bata dein bohat meherbani hogi k ham 8 jan se pehly doctor k paas nahi ja sakty itni dair tak kisi doctor k paas na jana nuqsaan dey to nahi hoga aur dosra ham piles k baary main to janty hain k ye kesi bemari hai pr aap ne jo ye dosri bemari k baary main likha hai wo khaternaak to nahi wesy meri wife sirf paakhana k waqt e takleef hoti hai jild phat jati hai aur zakham ban jaty hain phir uske 4 ya 5 ghanty tak jalan hoti rehti hai phir kuch nahi hota.sir please sirf in tensions se free kar dein aapka bohat bara ehsaan hoga ham per.bohat bohat shukria.
samer Group: Members  Joined: 29th Jun, 2010  Topic: 3  Post: 23  Age:  26  
Posted on:12th Dec 2010, 11:38pm
 

piles

sir aapne mery pehly ans ka jawab de ker mujhy ehsaan mand kia apna lekin mery 2nd sawal ka aap ne abhi tak jawab nahi dia sir agar aap is pershaani ka hal bhi bata dein to bohat bohat meherbani hogi aapki.
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1940  Age:  47  
Posted on:13th Dec 2010, 6:32am
 

Samer

After stool pani ka aik tub le ker uss ko warm water se bhar dein aur uss mein 2-3 table spoon salt mix ker k kam uz kam adha gehnta baitha rehny ko kahein ,suba khali pait pani k adha glass mein 2 khany waly chumach isbaghol k daal ker 10 minutes tuk purra rehny dein uss k bhad iss shiraa ko pee lein,raat ko soty waqat half kg milk le ker uss mein aik gala sarra banana daal ker milk ko achi tarah se obaal lein jub uss ka sara russ doodh mein hal ho jaye to neem garam doodh ko pee lein
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6348  Age:  35  
Posted on:13th Dec 2010, 7:16am
 

Re

 ap ko chayeh doctor kay pass onko lay kur jayin, Piles alag cheez hay anal fissure alag problem hay, Piles anus kay arround veins ki swelling jo ho jati hay woh hoti hay jub kay anal, or anal opening kay arround cut, or Tear (phut) jany ko anal fissure kehty hen, we can say small tear or cut around the opening of the anus called anal fissure and piles is the swelling of veins around the anus, due this swelling the tissues of anal area (rectum and anus) start bleeding 
samer Group: Members  Joined: 29th Jun, 2010  Topic: 3  Post: 23  Age:  26  
Posted on:13th Dec 2010, 12:11pm
 

piles

aap ka main bohat bohat shukar guzaar hun k aap ne aoni itni masroofiat aur itny qeemti waqt main se time nikaal ker mery masly ko eham samjha aur mujhy tasali bakhash jawab diye aapki advices pe poora poora amal krenge inshaallah.thanks again.
zee25 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2010  Topic: 1  Post: 5  Age:  25  
Posted on:13th Dec 2010, 12:34pm
 

piles

WHAT IS FISSURE
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1940  Age:  47  
Posted on:14th Dec 2010, 12:16am
 

Anal Fissure

Maqahd ka sakhat qabaz ki waja se matoram hona khatarnak sabit ho sakta he Anal fissure condition mein Maqahd ki andhar ki satah peechy ki taraf se le ker  phutt jati he qabaz ki waja se stool pieces mein pass hota he stool ka aik piece jab maqahd ki satah k sath takra ker guzerta he to iss se maqahd matoram ho jati he mardoon ki nisbat ye disease females mein ziyada hoti he iss se stool pass kerty waqat bleeding hoti he aur patient ko sakhat pain hoti he


samer Group: Members  Joined: 29th Jun, 2010  Topic: 3  Post: 23  Age:  26  
Posted on:17th Dec 2010, 4:56am
 

piles

sir aj phir aapko takleef de raha hun k aap dono k bataye huye ilaaj se meri wife ko jalan dard aur zakham ki takleefon se to nijaat mil gai hai lekin constipation khatam nahi ho rahi paakhana wohi 3 ya 4 din k baad aata hai agar aap uska koi baa asar ilaaj bata dein to ham aapke bohat bohat shukar guzar honge.thanks a lot.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6348  Age:  35  
Posted on:17th Dec 2010, 10:34am
 

Re: piles treatment

Must drink plenty of water avoid meat and rice, use brown bread must, vegetable are best , soup etc, fruit apple , amrood use kurin, exercise bhe zuroori hay,
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1940  Age:  47  
Posted on:17th Dec 2010, 9:27pm
 

Sameer

raat ko sony se pehly adha glass pani mein Milk of Magnesia ki 3-4 table spoon dal ker pee lein aur iss k sath hi aik glass neem garam doodh mein 2-table spoon ispaghol k hull ker k pee jayein inshallah constipation nahi raye gi green vegetables aur fresh fruits ka ziyada se ziyda istemaal kerein jo tarkeeb likhi he iss ki miqdar aur time mein agy peechy na hona
samer Group: Members  Joined: 29th Jun, 2010  Topic: 3  Post: 23  Age:  26  
Posted on:18th Dec 2010, 7:51am
 

thanks

G shukria isi tarkeeb k lihaaz se e use kreinge.allah aapko iska ajr-e-azeem ataa kary.
samer Group: Members  Joined: 29th Jun, 2010  Topic: 3  Post: 23  Age:  26  
Posted on:24th Dec 2010, 3:38am
 

piles

sir main aap dono ka shukria kin lafzon mein adaa kron k aap ke bataye huye ilaaj se meri wife Allah ka shukar hai ab theek ho gai hain saary masly hal ho gaye hain lekin aik baat aur hai jo main aapse pochna chahta hun k anal fissure kesy aur kiun hota hai isse dobara bachny k liye kia ehteeat karni hogi kin cheezon se avoid krna hoga k dobara ye bemari sar na uthaaye.thanks a lot again.bas ye uljhan bhi suljha dijeye.
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1940  Age:  47  
Posted on:24th Dec 2010, 10:48am
 

Samer

Allah tallah aap ki wife ko sehat aur tandrusti atta farmaye(Amin) Anal Fissures ziyada dair hard jaga baithy rehny chutt pati cheezein khany ziyada mirch masaly wali ishiya gosht waghira khany se samosy pakorry khany se aur garam taseer wali ishiya ka ziyada istemal kerny se aur chiknaee wali cheezon ko istemal kerny se peda ho jaty hein aap wife ko kahien k green vegetables aur fresh fruits ka ziyada istemal kerein white garnish kheera shalgham bandh gobi aur gajar k salad ko khany mein shomar kerein water ka ziyada se ziyada istemal kerein aur walk ko apni routeen mein layein
samer Group: Members  Joined: 29th Jun, 2010  Topic: 3  Post: 23  Age:  26  
Posted on:7th Mar 2011, 4:08am
 

again promlem

main aaj phir aap logon ko takleef de rha hun k meri wife ko phir anal ki takleef shuro ho gai hai aik month se wo bilkul theek ho gai thi per kal se phir unko takleef shuro hai kal paakhana k sath blood bhi aya aur kaafi e aya aaj bhi pakhana k sath blood aya per kam e tha aur dard bhi hai ham ne doctor ko bhi dikhaya tha unho ne medcine di thi jis se araam aa gaya tha doctor ne btaya tha k anal fissure mein behosh ker k kheenchty hain to theek ho jata hai per uski nobat nhi aai lekin kal aur aaj paakhana k sath blood dekh ker ham bohat pershan ho gaye hain k pehly bhi ye taklleef thi per blood kbhi nhi aya to aaj kiun hua ye plzzzzz help me doctors k kia masla hua hai meri wife k sath.main aapka bohat bohat bohat shukerguzaar rahoon ga.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:7th Mar 2011, 11:26pm
 

plzz help me

sir main kal se aapke jawab ka wait ker raha hun plzz kuch madad kejiye k ham kia karein.
samer Group: Members  Joined: 29th Jun, 2010  Topic: 3  Post: 23  Age:  26  
Posted on:7th Mar 2011, 11:31pm
 

plzz ans me

doctors sahib main ne kal aapko ye sawal bhaja tha lekin abhi tak aap ne mujhy jawab nhi dia plz bataye k meri wife k sath kia masla ho gia hai.
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012