Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Sexual Intercourse - Can It Change Religion?

Religion and Sex   >>  Religious Rules For Sex
Old Age
Sex in Old Age
Sperm Count
Increase Sperm Count Naturally
Male Semen Production
Increase Sperm Count, Mobility, and Motility
Male Fertility
Increasing Male Fertility
SSUMAIR Group: Members  Joined: 17th Nov, 2010  Topic: 5  Post: 15  Age:  23  
Posted on:18th Nov 2010, 7:05am
 

Sexual Intercourse - Can It Change Religion?

salam ye sawal kisi ki ne mujhse pucha kindly reply:

agr koi non muslim kisi muslim k saath shaadi krta hai ya humbistar hota hai to us non muslim k religion pr fark padta hai?kya wo muslim kehlayega?

thanks

 

 

reply soon




Doctor K K Group: Members  Joined: 02nd Apr, 2009  Topic: 25  Post: 1969  Age:  36  
Posted on:19th Nov 2010, 4:04am
 

Sexual Intercourse - Can It Change Religion?

I don't think so in this way any impact would develop on the religion of a person.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6606  Age:  54  
Posted on:4th Aug 2011, 1:54am
 

ali bhai

1. hindu khawateen ko allowed hai k woh muslim mardouN say shadi karay

2. muslim mardouN ko allowed nahi hai k woh hindu khawateen say shadi karaiN

above donouN statement apni apni jagah durust hai... dunya k kissi bhi mazhab maiN shatd ghair mazhab say shadi karna mana nahi hai

albattah sirf Islam maiN yeh pabandi hai k muslim men n women non-muslims say shadi nahi karsaktay except k muslim mard yahoodi aur christians women say shadi karsaktay hain...

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 45  Post: 2456  Age:  48  
Posted on:4th Aug 2011, 4:17am
 

non muslim se shadi

Quran aur hadees main wazeaa hai k mushrik merdon aur aurton se shadi jaiz nhn

ehl e kitab se jaiz hai lakin aj k ehl e kitab bhi sab k sab mushrik hain kiun k cristiens ne church main EESA AS aur MARYAM AS k idols rakhay hain

isi terah yahoodi bhi AZIZ AS ko Allah ka beta mantay hain

is liyay fi zamana koi bhi non muslim mushrik ko had s ebaher nhn hai

meray history teacher ne kabhi mujhay class main bethnay nhn diya tha kiun k main ne poocha tha k AKBER ki shadi JODAH BAI se hui thi jo islam main jaiz nhn is liyay JAHANGEER to najaiz tha bas usi din se main class se out

:) :) :)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6606  Age:  54  
Posted on:5th Aug 2011, 2:20am
 

WEHSHI Bhai

iss maiN ulema ki 2 roy hain ... i mean k christians /jews females say shadi karnay k baray maiN

1. aik group ka kahna hai k as per quran ... mushrik aurtouN say shadi karna manaa hai except christians n jews.

2. doosray group ka kahnaa hai k sirf on female christians n jews say shadi allowed hai jo shirk nah karti houN

wazah rahay k 1st categ walay kahtay hain k har qism k christians /jews females say shadi allowed hain... in donouN mazaahab k elawah "kissi aur" mushrikah say shadi allowed nahi

ab chouNkay 2 roy maujood haiN lehaza ap kisis bhi aik roy ko qabool karsakta haiN...aur doosri roy ko follow karnay walay awaam k khilaaf kuch nahi kah saktay......nah hi ham yahaan in donoun roy main say kaun durust hai, kaun ghalat hai par bahas karsaktay haiN...nah to forum iska motahammal hosakta hai nah ham :)

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 45  Post: 2456  Age:  48  
Posted on:5th Aug 2011, 5:59am
 

myrizvi

aap ki bat theek lakin humaray liyay Quran ki bat eham hai ulama ki raai se

jab quran aur hadees ne mushrik ka lafaz use kiya to takhsees nhn k jews n cristien mushrik is list main nhn balkay lafaz mushrik apni wusat main yahan tak hai k ager kisi ne Allah ki sifaat main kisi ko shareek kiya , kisi ko Allah jesa jana ya kisi ne Allah ki powers main kisi ko shareek banaya sab mushrik hain ab woh musalman hi kiun na hon jesa k humaray musalmanon bhi to hain na jo shirak ki had tak kisi se aqeedat kertay hain

is liyay main ne sab ko mushrik main gina tha aur nikah k liyay jaiz nhn samajhta
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4304  Age:  38  
Posted on:5th Aug 2011, 6:08am
 

Kafir, Mushrik and Muslim

re: "jesa k humaray musalmanon bhi to hain na jo shirak ki had tak kisi se aqeedat kertay hain "

ji haa yaha tu sab hi kafir aur mushrik hai. Musalman tu sirf aur sirf aik hi firqa ke log hai. Apne Mia Mitthhoo.
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 45  Post: 2456  Age:  48  
Posted on:5th Aug 2011, 10:24am
 

Kafir, Mushrik and Muslim

andhon main kana raja
hahahahahahahaha
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6606  Age:  54  
Posted on:7th Aug 2011, 1:24am
 

agreed with Bewaqoof Bhai

Bewaqoof Bhai ki baat tirmizi shareef ki aik hadees k ain motabiq hai...hadees ka mafhoom hai k.... bani israeel k 72 firqay thay to meri ummat k 73 firqay hongay aur sab k sab jahannami hongay, sewa.ay aik firqay k.... sahaba RA nay poocha, woh kaunsa firqah hoga jo jannat main jaayega... aap saw nay farmayaa: woh jo meri aur meray sahabah RA ki pairwi karega.

WEHSHI Bro:

kia christians aur yahoodi, Nabi saw k daur maiN "mushrik" nah thay. yaqeenan woh oss waqt bhi as a qaum, shirk maiN mobtalaa thay...oskay bawajood oss waqt allah ka farmaan aayaa k "ahlay kitaab khawateen" say muslim ka nikaah jaiz hai. kia aisaa nahi hai

main aaj ahlay kitaab khawateen say nikaah ki targheeb nahi day rahaa...meray nazdeeq iss say behad samaji o seyasi khamiyaaN janam leti haiN aur hamain aisaa nahi karna chahaiyeh...lekin agar koi aj aisi shadi karleta hai to ski shadi ko najaaiz /haram declare nahi kia jsakta.

goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7336  Age:  32  
Blocked
Posted on:7th Aug 2011, 4:31pm
 

kiya ehlay kitab larki ka muslaman hona zarori ha?

rizvi bahi aik bat batain EHLAY KITAB female kay sath shadi kernay say phlay uskoo MUSLAMAN kerna zaroori ha..
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6606  Age:  54  
Posted on:8th Aug 2011, 12:37am
 

goodman

agreed with alirajput ... ahlay kitab female agar mosalmaan nah bhi ho to oss say shadi karna JAIZ /HALAL hai

lekin afzal yehi hai k ap ossay mosalmaan karkay oss say shadi karaiN takay apkay bachay ki tarbiat islami tareeqay say mumkin hosakay

1
Teenage Abortion Dangers
Teenage Abortion Dangers - Warning For Teens And Parents
Tragedy of Abortion
Abortion - the Untold Tragedy of Abortion
Myths About Abortion
Mysterious Myths About Abortion
Abortion And Reletionship
How Abortion Can Affect A Relationship
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us Last Updated: 28th March 2013