pakistani hakoomat agar "open minded" ho kar tajzia kia jaey tau pakistan ma kabhi "hakumat" qaim hi nahi hui....
pakistan ma "hakomati numainday" zarur muntakhib hotay rahay ya biljabar atay rhay, magar jab bhi yeh numainday "hakoomat qaim karnay ki koshish kartay" tau inhay tokri ma phaink dia jata tha...
misal k tor par zulfiqar bhutto sahab ain us wakt jab pakistan par aik "dominent leader" k tor par ubharnay lgay thay, tau "aik pathar par zarab laganay walay thay"... magar iski nobat anay se pehlay hi unka anjam kia hua..?
us k bad yehi silsila "1999" tak jari raha......
lekin "is bar bar ki baghawat" ko stability denay k liay "musharraf sahab" ko "strong" kia gya...........
hamaray hi mulk ki siasat ma "kon sa hath" involve hai ?
ya yeh kaha jaey k ham logon nay "apni siasat" ma konsay "hath" ko involve kia hua hai???
pakistan ki government hamesha "international political scene" k reham o karam par chalti hai......
zardari sahab ki govermnent qaim hi "international political scenerio" par hui thi...... lehaza is government ki prediction bhi international halaat par hi ho sakti hai.....
pakistan ki history ma pehli bar "supreme court" nay "goverment ko azad" kranay ki koshish ki thi, jo abhi tak wohi jang lar rahi hai...... is jang ma apni government ko "apnay" logon k hawalay kiay janay ki koshish ki ja rhi hai...... ..... ...... is jang ka consequent result kia aey ga yeh aik question mark hai..... yeh pakistan ki sabiqa history se bilkul alag aik nayi situation hai..... magar filhal.... iftikhar chaudhry sahab ka palra, zardari sahab k muqablay ma bahuuut kamzor hai...... |