rEp|~ Ghalat kism ki movies scenes,programs sites ,watching girl with lust etc, ye sab appse apki natural sexual life cheein leti hain aur akhir main nateeja ye hota hai k app shadi k kabil nahi rehte na ALLAH ko moun dikhanay k kabil, na apka dil mutmain hota hai na app ki sehat achi rehti hai.... agar app chahtay hain k achi married life guzar sakain tou in sab ghalat baton ko chordein aur ALLAH ko jo naraz kia hoa hai appne gunah wali baton main involve hokar usay bhi razi karain
har tarha ki gandi batain chornay ka tareka ye hai k sab se pehle ALLAH se touba kar k wada karain k main aenda ye sab gunah nahi karonga suchay dil se, .....touba kartay hi appmain automatically buraye ki taraf jo rughbat hai khatam hojaegi, aur gunahon se apka dil kala hochuka hai wo saaf hojaega.kala dil hi gunahon main lagta hai.
touba k baad hi baat khatam nahi hojati, appne phir wo sab kaam nahi dohrana hai phir se jo mein nay first line main batayen hain,
jab suchay dil se banda touba karleta hai tou namaz usay behaye aur buri baton se rok leti hai aur usmain control ajata hai, phir banday ko gunah ki batain buri lagnay lagti hain.....app namaz start kardain ge tou apka dil nahi karayga phir gunah karnay ko bashart ye k app touba pe kayam rahain warna app ye sab shaitaan k chonchlay kabhi nahi chorsaktay zindagi bhar. |